Thursday, June 4, 2026

Zulfon mein chupe kayi raaz !

 


Teri kaali zulfon mein chupe kayi raaz, Labon se kanon tak safar kar gaye jo alfaaz,

Palkon pe latein ubhri belon ki tarhaa, Jalwon ko tere odh liyaa husn ne puri tarhaa,

Labon ki misri mein ghul si gayi har baat, Waqt ke qurb mein pighal gayi saari raat,

Teri nazron ne chu liya lamhe ko, Darmiyan-e-khamoshi ishq yun odh gaya humko !

Shaam ne odh li khamoshi !

 


Palkein jhuki shaam ne odh li khamoshi, Lab muskura diye khil uthaa mausam-e-gulab ka,

Tere roobaru waqt sajde mein utar sa gaya, Jaise chaand utar aaya ho dariya-e-mahtaab ka !

Larazti ungliyaan sametna !

 

Zulfein bikhri palkon pe, Dil ko ik lamha bhi qatra qaraar na aya,

Jaise abr ne mehtab-e-noor ko, Daaman-e-falak mein chupa laya, 

Chashm-e-mast pe gesuyein bikharna, Larazti ungliyaan sametna,

Beikhtiyaar si hoke nigaahon ne,Pehli dafa sajda-e-sawaab paaya!

Sharab-e-junoon paya !


Har simt, Sharbati nigahon mein sharab-e-junoon paya,

Qurbat-e-pehlu, Jahaan bhar kaa chain-o-sukoon paaya,

Mit gaya har guroor, Teri ik nigah-e-jhalak ada ke sadqe,

Na jaane kaise,In behaya nigaahon ko tera hi qaraar aya,

Bin maange duaa, Jaise rizq-e-khuda roobaru utar aaya !

Tuesday, June 2, 2026

అసలు అహర్నిశం !


అసలు అహర్నిశం, మాటలు అనర్గళం,

కన్నీటికి కాంతి తోడు, చీకటికి వెలుగు నీడ.


ఆశకి హద్దు వద్దు, బాధకి ఓదార్పు ముద్దు,

గెలుపుకి గమ్యం సాటి, ఓటమి పరుగు దాటి.


తపనకి తపస్సు శ్రేయస్సు, మనసుకి మేధస్సు,

అడుగేస్తే ప్రతి స్వప్నం సాకారం, కాదేది నిరాకారం.


నీవే నీకు నిదర్శనం, నీకుసాటి లేరు ఎవరూ,

నీవే నీకు నీడవు, నీవే నీకు జన్మాంతం తోడవు.


నీవే నీకు మేలవు, నీవే నీకు శత్రువూ,

నీవే నీ జీవనానికి, ఆది అంతం, ఇదే సత్యం.

Saturday, May 30, 2026

Honton pe ghuli shaam ki shabnam !


Tere honton pe ghuli shaam ki shabnam, Bujhe jalte chirag madham madham,

Phoolon ki reshmi taab dabi daanton tale, Bikhre os ke qatre marham marham,

Chookar hont hawaa hui gulshan, Khil uthaa har samt manzar chaman chaman,

Rimjhim rimjhim baarish mein pee gayi nazrein,Par naa bujhi pyas-e-jahannum !

Zulfon ne mod diya rukh !


Teri zulfon ne mod diyaa rukh meri nazron ka,

Kya bataun haal us nasha-e-ishq marhalon ka,

Hawa ne jo behijab kiya aahista tere naqab ka,

Mehka rooh-e-zarra teri khushbu-e-shabab ka..


Labon pe bikhre gesuon se tapke jam-e-itr qatre,

Didar-e-tareef mein mehrum-e-hosh kho baitha,

Mukammal peekar chadha nashaa arson bhar ka,

Jaise waqt thehar gaya ho kisi haseen-e-asar ka...


Teri zulfon ka lipatna yoon ruksaar ki dehleez par,

Jaise saaya-e-sham utar aaye haseen tabeer par,

Padhta raha tujhe har adaa-e-harf mein chupkar,

Ishq pirota sa khwahish-e-shabnami resham par !


Monday, May 18, 2026

Khamoshi ki deewaron ne ujhaad diya hai !


Jabse kabootaron ne tera rukh kiya hai, 

                   Mera ghar-aangan sab soona kar diya hai,

Har roz chhat par mehfil sajti thi jo kabhi, 

                   Aaj teri dehleez par basera kar liya hai..


Kal tak chahchahahat se abaad jahan, 

                    Teri rehmat-e-shifaa ne sunsaan kar diya hai,

Guzarte yahin se aaj bhi chupke se, 

                    Par meri sadaon se khud ko anjan kar diya hai,

Daane-pani ki chaahat mein gunjta har kona, 

                    Aaj sannaton ne ghar ko gher liya hai..


Woh mehfil jo raunaq bhari abaad thi, 

                    Aaj khamoshi ki deewaron ne ujhaad diya hai,

Tere ishq-o-jashn ki mehak ne shayad yun, 

                    Meri tanhai ko ab aur gehra kar diya hai. !    

Saturday, May 16, 2026

Kis baat ka maatam manate ho !


Raakh par maghfirat ki duaayein sajate ho,

Taaza phulon ko ashkon mein murjhate ho,

Kaash ek lamha milta, Main zinda ho uthta,

Ik anjaan haqeeqat se, Waaqif-e-raaz hota..


Kyun sannaton mein khoyee hui aas jagate ho,

Cheekh haal-e-zakhmon ko gehra ubharte ho,

Bejaan lamhon mein kyun saansein bharte ho,

Dafan ehsason pe khwahish-e-kafan odhte ho..


Be-rooh jismon par tasalli ke aansu bahaate ho,

Bujhte chirag pe ummeed ka tel zaaya karte ho,

Waqt-e-mohabbat nafrat ki gardish mein guzar,

Mazar-e-deedar kis baat ka maatam manate ho !

Rehmat-e-noor utar aaye !


Ye pal zindagi ke yunhi nikhar jayein,

Lamhe khamoshi mein sanwar jayein,

Aadhe-adhure khwab bune the kabhi,

Hazaaron khwaahishein talab thi jinki,

Aaj taabir-e-haqiqat yun lipat jaayein…


Badee talab arse se deedar-e-khuda ki,

Dua-e-asar se rehmat-e-noor utar aaye !

Zakhm-e-dil ka marham nahin !


Shak ka ilaaj, Zakhm-e-dil ka marham nahin,

Imtihaano Nuskhon se darindagi dhulti nahin, 

Dard-e-gham ka likhaa har kissa mitta nahin, 

Mukammal toota insan, Pehle sa judta nahin !

Dil yoon tanha na tha !



Dil yoon tanha na tha, Maayus is kadr na tha,

Bhula-bhatka tha,Zindagi se thukraya na tha..


Ab khudi se uljhaa, Khudee mein bhatkaa hun, 

Khud se rooth, Rooh bhar tootkar bikhra hoon, 

Tanhayiyon mein gum,Wajood mein simta hun!

Baap ke ehsas se aabad jee uthta hun!



Gham ke ashkon mein dubta hun,Jab haqiqat se rubaru hota hun,

Aaj bhi woh pal yaad hai, Jo teri paidaaish mein mehak uthaa tha,

Chulbuli natkhati harkaton se, Ghar-aangan muskan se bhara tha..


Maa ki aanchal bhari loriyan, Baba ki peeth par lakhon sawaariyan,

Nana-Nani ke laad mein pala tha,Dada-Dadi ke dular se dhula tha,

Waldain ki khalis muhabbat mein,Chain-o-qarar bhi jaan-nisar tha..


Waqt ne nazron par parda daal, Khamoshi ka sa kohra bichha diya,

Budhapa qareeb aane laga,Kamzor nazar mein waqt thaharne laga,

Jo Baba ki rat lagaye tha, Aaj roobaru bhi nazar-andaaz karne laga..


Meri aulaad ke is taghaful se, Khalish andar hi andar se khane lagi,

Dil ke sunsan sannaton mein,Khamoshi ansuon mein pighalne lagi..


Yadein zarur aafat deti hain, Par ab dard chupana fitrat ban gayi hai, 

Tutkar bhi mazbut judta hun, Baap ke ehsas se aabad jee uthta hun!

Masoom (1983) | Tujhse Naaraz Nahi Zindagi !



https://youtu.be/Pc8_TDHMdis

https://gaana.com/lyrics/tujhse-naraz-nahin-zindagi-3

Doctor Chakravarty (1964)| Naa Hrudayamlo !



https://youtu.be/89Ki6O8iPSU

https://swaraala-pallaki.blogspot.com/.../blog-post_1.html 

Monday, April 27, 2026

Lamhon ke guzar jane mein!

 


Tamam zindagi izzat ki, Shohrat kamane mein,

Saaya tak palat jata hai, Pal bhar fasaane mein,


Armani khwahishein uljhi, Jismani khazaane mein,

Mukammal kafan ka sath, Zamana chod-chad mein,


Chaalis qadmom ka fasla, Is haqiqat ko janne mein,

Duniya bhula deti hai, Lamhon ke guzar jane mein!

Sunday, April 26, 2026

Aaj guzra hun gali se !



Aaj guzra hun gali se,Tere Roze-e-ehteram se,

Ik masnun chaah, Rubaru mil jaaye tu kahin se,

Dil mukammal paak, Dhulkar jhalak-e-falak se,

Tanha rooh nikhar aaye, Teri rahmat-e-asar se..

Karta hoon ird-gird phere,Usi khidki-dehleej pe,

Paake har saya tera,Bharlun sabar teri sarab se,

Jeelun ek aur lamha,Mehfuz ehsas-e-khayal se,

Dil ki tasalli be-bayaan, Hazaar didar-ye-lutf se !

Sunday, April 19, 2026

Sirf-o-sirf kafan, Aur kuch na kharch kar sake !


Khudka khayal rakhna tha, Ba-umar kamane mein masruf ho gaye,
Sehat ne jab mukammal saath chhoda, Dawaa-ye-mareez ho gaye,   
Akhir jab marham-e-ehmiyat ka ehsas hua, Bahut der ho chuki thi, 
Kamaayi daulat se sirf-o-sirf kafan, Aur kuch naa kharch kar sake !
                                                                                


 

Monday, March 16, 2026

స్త్రీ మహిమ అపారం !

 


ఈ ప్రియమైన లోకానికి ఆది అంతం – స్త్రీ రూపం,

నిలువెత్తు సత్యం, నిజ స్వరూపం – స్త్రీ మహారూపం.

అహర్నిశల గుండె చప్పుడు – జీవన స్వరూపం,

సృష్టి సమస్తం నడిపించే – ఆదిశక్తి మహారూపం.


ఇంటికి అందం, ఆధారం – స్నేహ స్వరూపం,

ఇల్లంతా వెలుగు, నీడ – మమతా స్వరూపం.

దీపమై దారిచూపే దివ్య కాంతి – ఆశా రూపం,

స్నేహమై నిలిచే నిత్య శక్తి – ప్రేమ స్వరూపం.


మాతృత్వానికి మధుర ప్రతిరూపం – అమ్మ స్వరూపం,

జాలి, దయ, కరుణల నిలయం – మమతా రూపం.

అమ్మ ఒడిలో అమృత లాలనం – ఆనంద స్వరూపం,

భార్య ప్రేమలో అనంత గాథలు – ఆప్యాయ రూపం.


అక్కగా అండ, చెల్లిగా చిలిపి చైతన్యం – స్నేహ స్వరూపం,

అనుబంధాల ఆభరణం – అపూర్వ సౌందర్య రూపం.

సహనానికి సముద్రం, శక్తికి శిఖరం – ధైర్య స్వరూపం,

త్యాగానికి తారకం, ప్రేమకు పరిమళం – కారుణ్య రూపం.


అడుగడుగునా అడ్డంకులెదురైనా – అజేయ ధైర్య రూపం,

అచంచల సంకల్పంతో ముందుకు సాగే – సంకల్ప శిఖర రూపం.

కన్నీటి బాధలను ఆశల కాంతులుగా మలిచే – అక్షయ సహన రూపం,

కష్టాల గిరులను విజయ గాథలుగా నిలిపే – అపరిమిత శక్తి రూపం.


లోకంలో కలకాలం నిలిచే ఆశ, ప్రేమ, నేస్తం – స్త్రీ రూపం,

అన్నిటికీ ఆధారం, ఆత్మస్వరూపం – స్త్రీ రూపం.

నడిపించే దైవ చైతన్యం, కాపాడే కరుణ – స్త్రీ మహారూపం,

నిలబెట్టే ధైర్యం, నిలిచే మమత – మహిమ అపారం !

స్త్రీ మహిమ అపారం !

మాటలు రాని తరుణం, వారి త్యాగం వర్ణనాతీతం…

కనురెప్పలలో కన్నీరు, అమాంతం బాధను దిగమింగు..

దైవానికి ప్రతిరూపం, సమిస్ష్టి సృష్టికి ఆదిమూలం..

అమ్మగా, అక్కగా, చెల్లిగా, అమూల్యమైన ఆ స్త్రీత్వం..

వారందరి ఆశీస్సులతో, దీవెనలతో ఈ జన్మ ధన్యం…

మహనీయ స్త్రీలకు వందనం — జన్మంతా పూజ్యం !



Tuesday, March 3, 2026

Madan Salla !


 



Rajaram Parimi !

 




స్త్రీ మహిమ అపారం | Stree Mahima Apaaram !



ఈ ప్రియమైన లోకానికి ఆది అంతం – స్త్రీ రూపం,
నిలువెత్తు సత్యం, నిజ స్వరూపం – స్త్రీ మహారూపం.
అహర్నిశల గుండె చప్పుడు – జీవన స్వరూపం,
సృష్టి సమస్తం నడిపించే – ఆదిశక్తి మహారూపం.

ఇంటికి అందం, ఆధారం – స్నేహ స్వరూపం,
ఇల్లంతా వెలుగు, నీడ – మమతా స్వరూపం.
దీపమై దారిచూపే దివ్య కాంతి – ఆశా రూపం,
స్నేహమై నిలిచే నిత్య శక్తి – ప్రేమ స్వరూపం.

మాతృత్వానికి మధుర ప్రతిరూపం – అమ్మ స్వరూపం,
జాలి, దయ, కరుణల నిలయం – మమతా రూపం.
అమ్మ ఒడిలో అమృత లాలనం – ఆనంద స్వరూపం,
భార్య ప్రేమలో అనంత గాథలు – ఆప్యాయ రూపం.

అక్కగా అండ, చెల్లిగా చిలిపి చైతన్యం – స్నేహ స్వరూపం,
అనుబంధాల ఆభరణం – అపూర్వ సౌందర్య రూపం.
సహనానికి సముద్రం, శక్తికి శిఖరం – ధైర్య స్వరూపం,
త్యాగానికి తారకం, ప్రేమకు పరిమళం – కారుణ్య రూపం.

అడుగడుగునా అడ్డంకులెదురైనా – అజేయ ధైర్య రూపం,
అచంచల సంకల్పంతో ముందుకు సాగే – సంకల్ప శిఖర రూపం.
కన్నీటి బాధలను ఆశల కాంతులుగా మలిచే – అక్షయ సహన రూపం,
కష్టాల గిరులను విజయ గాథలుగా నిలిపే – అపరిమిత శక్తి రూపం.

లోకంలో కలకాలం నిలిచే ఆశ, ప్రేమ, నేస్తం – స్త్రీ రూపం,
అన్నిటికీ ఆధారం, ఆత్మస్వరూపం – స్త్రీ రూపం.
నడిపించే దైవ చైతన్యం, కాపాడే కరుణ – స్త్రీ మహారూపం,
నిలబెట్టే ధైర్యం, నిలిచే మమత – మహిమ అపారం.