Monday, April 27, 2026

Lamhon ke guzar jane mein!

 


Tamam zindagi izzat ki, Shohrat kamane mein,

Saaya tak palat jata hai, Pal bhar fasaane mein,


Armani khwahishein uljhi, Jismani khazaane mein,

Mukammal kafan ka sath, Zamana chod-chad mein,


Chaalis qadmom ka fasla, Is haqiqat ko janne mein,

Duniya bhula deti hai, Lamhon ke guzar jane mein!

No comments:

Post a Comment