Har simt, Sharbati nigahon mein sharab-e-junoon paya,
Qurbat-e-pehlu, Jahaan bhar kaa chain-o-sukoon paaya,
Mit gaya har guroor, Teri ik nigah-e-jhalak ada ke sadqe,
Na jaane kaise,In behaya nigaahon ko tera hi qaraar aya,
Bin maange duaa, Jaise rizq-e-khuda roobaru utar aaya !

No comments:
Post a Comment