Bin maange saleekha bakhsha, Bakhubi sanwara tarasha,
Kayi azim lamhe kharch kiye,Is qadar insan banane mein,
Dastoor-e-ilm roshan kiya, Zindagi gulshan banane mein,
Hidaayat aapki be-hisab, Ehsan-o-karam be-shumaar hai..
Jo humein is qaabil banaya, Is maqaam pe laake tehraya,
Wo sirf-o-sirf aapse mili seekh,Aapka funkar-e-hunar tha,
Aaj meri ye raunaq, Aap hi ke waqt-o-mehnat ka asar hai,
Aapne farz nibhaaya,Magar shukr-e-qaraz abhi baaqi hai..
Jo kuch mila hai, Woh sirf ilm nahi, Jeene ka dastoor tha,
Seekha hua har dars, Aaj bhi dil mein taaza-ba-taaza hai,
Arzi hai khuda se, Ye ehsas yunhi umar-bhar qayam rahe,
Jo kuch bhi hun aaj, Usmein apka barabar hissa baqi hai !

No comments:
Post a Comment