Thursday, October 15, 2026

Khaak-e-Umeed !


Zindagi par se hi jab aitbar uth gaya ho, To bhalaa insani makhluq ka kya hai,

Arson se sajaaye the palkon pe khwaab beshumaar, Aaj unki taabeer kya hai,

Bas intezaari mein hi guzaar di tamaam umar, Ek-tarfaa aas-e-chhahat mein,

Us besabr intezar-e-anjam mein,Azeem lamhon ke ziyaan ka kaffara kya hai..


Baithe the jholi bhar ummeed ki dehleej par,Lamha bhar hi sahi dar toh khule,

Guzar jaati subh-o-shaam nigahon darmiyan, Aakhir mudkar dekhta kaun hai,

Hayaa bhi sharminda hai haay se, Itnaa bura haal kabhi kisika hua kahaan hai,

Na jane kis maqsad se khuda ne bheja yahan,Ye taqdeer hai ya naseeb ka khel..


Yahi sonchkar khayaal cheekh uthtaa hai, Ye dil-e-haal sunne wala kahan hai,

Apne hisse ka rona toh hum kabka ro liye,Ab dard bhi ho to shikan nahin hoti,

Gham ne chehre par aisi khamoshi likh di, Pehle sa andaz-e-bayan kahan hai,

Hasratein chhupaaye kafan mein,Har simt apne hi wajood ka mazar talaashte..


Koi na samjha dil ki uljhan, Khaak hai jo mukammal sametne ko tayyaar hai,

Magar khule kaise girah-e-jazbaat, Jo har taar mein ulajh rooh-e-giraftaar hai !



Thursday, October 8, 2026

Fan Ka Chiraagh !

 


Kayi fankaaron ko dekha, Kayi kirdaaron mein zinda-dili dekhi,

Magar hunar-e-adaakari mein,Aap jaisaa aaj tak koi naa dikha,

Aankh ke jhapakte hi badal jaate hain,Aksar vo chehre-e-alam, 

Aapke roobaru,Bhatki hui shaksiyat ko apnaa wajood mil jaata..


Aapki buland sadaa-e-rubaab, Lehje mein aisa jadu-e-asar tha, 

Ke lafz sirf kahe nahin jaate,Dil ko cheer kar androoni utar jaate,

Aapki zaat-o-sifaat aur apke ohde ka,Woh ba-waqaar milan tha, 

Jo har kashish-e-guftagu ko nayee rooh-e-hunar aata kar jaata..


Aapki sirf ek jhalak-e-huzoori, Rangmanch ko jaan bakhsh deti, 

Paikar-e-junoon ko sirf ada nahin kiya, Usmein mukammal jiya,

Kabhi dard ban kar ubhre,Kabhi shiddat-e-ehsaas ki lau bankar,

Khamosh isharon se sab keh gaye, Jo kabhi alfaaz na keh saka..


Kaun hai akhir tarz mein doob,Apna aks peshkash se ubhar laya,

Jis shakhs ne fan ko sirf peshaa nahin,Ibaadat-e-amal sa maana, 

Vo parda uthne par nahin, Parda girne baad bhi dil mein samaya,

Andaz-e-Izhaar naslon ke dilon mein dastan-e-umar sa reh gaya..


Aapse seekha humne andaaz-e-bayaan par ikhtiyar kya hota hai, 

Lafzon mein jaan phoonkna, Jazbaat ko pehchanna kya hota hai,

Zindagi ki soorat kirdaron ki nigah-e-nazar se bakhubi samajhna, 

Aur sukoot-e-lab mein posheeda afsan ko padhna kaisa hota hai..


Mehfil ko zaroor tanha choda, Uski dehleej par sada chavi milegi,

Kisi jhalak mein aapki goonj, Tanhayi mein aap hi ki sohbat milegi,

Aapki azmat-e-khidmat se, Mazar-o-kafan faqr se roshan hogaa,

Nana ji..

Bin aapke sahn suna rahega,Jabtak parda-e-kahani zinda rahegi !







Wednesday, October 7, 2026

Tere unn surkh labon par


Jab pheraa par-e-taa’oos tere unn surkh labon par,  

Laraaz uthi teri adaa, Machal uthaa husn-e-hayaa,  

Reshmi par ke narm lams ne jab gudgudaya tujhe,  

Thar-thara simat gayi, Labon ne labon ko aa lapka..


Be-ikhtiyaar si aaghosh mein tu yoon aake lipti,  

Rukhsaar pe tera rang-e-sharm aur ubhar nikhra,  

Larzish-e-jaam labon par qurbat-e-raaz saja tha,  

Khwahishon ke sailab mein sukoon umr bhar ka..


Teri chuan ne haseen lamhe ko la-zawal kar diya,

Be-jaan rooh mein ho jaise jaan-e-rang bhar diya,

Jo sukoon teri us giraft mein jism-e-naseeb huaa,

Uska raai bhar mol chuka sakun,Itna raees na tha..

Friday, October 2, 2026

Kirdaar jaaniye janaab !

 

Shakhsiyat se pare, Kirdaar jaaniye janaab,

Watan ke waste, Unki khidmat pehchaniye,

Laakhon qurbaniyon se mili hai ye aazaadi,  

Har jazbaa-e-watan,  Har nisaar ko jaaniye,

Bhale woh Gandhiji ho,Ya ho Shastri sahab,

Naam se nahin..

Unka Khulus-e-watan,Kidmat-e-nur maniye!

                                                                                 

Dhoop Ka Saaya !

 


Paseena kamane nikle the,Bheed bhare bazaar mein,

Dhup ki shiddat ko jana, Aaram bech kar jo guzre the, 

Raaste mein mili thi zindagi,  Usne hans kar ye kahaa..  

Kidhar chale ho?

Aaj phir udhar hee, Jahan kal sarasar neelam hue the..


Maine palat kar jawab diya..

Pet bharne ke waaste, Aulaad ke parvarish ki khaatir,  

Yun hi jujhna padta hai, Jeete-jee tadapna padta hai,  

Apne armaan girvi rakh, Unke khwaab sanwarte hain,  

Bachi roti adhi khake,Unke niwale bharne padte hain..


Bhale shikan na ho chehre par,Bhuke pet se puch lena,  

Bharpet ek niwala halaq se utare,Kayi arson beet gaye, 

Aksar sirf paani se, Khali pet hi tamaam raat guzari hai,  

Farzandon ke samne, Behte aansu hansi mein utari hai..  


Ek din ki hee zindagi hai, Bas aaj guzaarna chahte hain,  

Isi aaj mein jeete hain,Isee aaj mein marham paate hain, 

Kal ka kyaa pataa, Subah hogi bhi ya nahin kise khabar,  

Aankh jhapke darmiyaan,Haalaat palat jayein kise pata..  


Isliye aaj ki chaah mein hi,  Kal ki umeed basaa lete hain,  

Chirag sa jalkar, Ahl-e-khana ke liye saaya ban jate hain,  

Hum gareeb zarur hain, Magar jazba-e-hayaat zinda hai,  

Kal ka bharosa nahin, Aaj sanwarne ka haunsla zinda hai..




Arzu behaya si ek aur baar


Zulfon ne jab chhedaa zikr-e-tareef tera,

Itr sa mehak utha fizaon bhara har pehra, 

Mulayam galon par jo bikhre reshmi taar,

Mahtab ne odh li ho shabnam beshumaar..


Baa-qasam, Jab bhi hua manzar-e-deedar,

Nigah thehri, Shagufta labon pe jaan-nisar,

Har rukh ne jo kiya khoobsurti ka ba-izhar,

Dil noor-e-chashm pe vaar-vaar zaar-zaar..


Gesūon sang, Shaam-e-mast yun dhalti rahi,

Rukhsar ki roshni mein, Vo raat pighalti rahi,

Aur bayan kitna karun,Us husn-e-benazir ka,

Jitni baar koshish ki, Usse nazrein hatane ki, 

Har dafa arzu behaya, Kehti bas ek aur baar..