Saturday, June 20, 2020

Jarehaana qaum parasti !!

Watan ke naam par hum nau jawan, Ab qurbaan ho gaye,
Jarehaana qaum parasti, Gairon ke jaal mein phans gaye, 
Ghar se sabse door kahin, Sunsan waadiyon mein so gaye,
Desh latdta raha, Tarafdari man-mutaavi bhedbhav mein,
Aakhri saans tak..
Inhi desh wasiyon ke khatir,Jad-o-jehad mein shahid hue !!  
   

Wednesday, June 17, 2020

Arise Awake And Stop Not Till The Goal Is Reached !!

Hataash ho jaunga, Nirash ho jaunga..Tanha sunsan galiyon mein gum jaunga,

Khud ke aansu ponch, Zakhmi dil daboch..Khub dhilasa-haunsla bhar aaunga,

Aake waapis aisi seerat jagaaunga..Sab taar taar, Naam-o-nishaan kar jaaunga !!



Monday, June 15, 2020

Jab tak chalti hai koi parwah tak nahin karta !!

Ghadi ke kaante maafiq ho gayi hai zindagi,

Raftaar mein raftaar pakad dauti ab zindagi,

Jab tak chalti hai koi parwah tak nahin karta,

Par jo rukti hai har koi beparwaah ho jata hai !!



Sunday, June 14, 2020

Na jaane chupi hui kya garaz thi !!

Na jaane chupi hui kya garaz thi, Ankahi vo kaisi khalish thi,

Naa haal-e-dil kisi ne pucha, Naa dard-e-zubaan kisine suna,

Jutaye sare ghumon ko,Raz-e-dil mein kafan kar chale gaye,

Muskuraahat ki chadar odhe, Tamaam aanuson ko pee gaye,

Sunsaan raat mein,Tamaam zillaton ko dafan kar chale gaye,

Janaaze se bhare maatham mein,Apnon ko alwidaa kar gaye !! 



Saturday, June 6, 2020

Aye Insaan...Maine kya bigaada tha?


Aye Insaan... 
Maine kya bigaada?, Apne raaste ka, Mujhe kanta kyon banaya?, 
Bejhijhak apni raah bin garaz chali jaati,Tere chanv tak na aati, 
Kyon tune laachar kar daala, Apne swaarth ka anjam bana dala, 
Jhutha niwala khilaa, Mujhe mere masum ko behaya maar dala.. 
Accha hua.. 
Vo mere kafan mein lipat gaya, Bhale us naadan ko kya pata tha, 
Baahri duniya mein intezaar karta, Insani darinda koi khadaa tha.. 

Na khudaya, Na koi aur us dard bhari peeda mein saath raha tha, 
Wajud janta ha..Dil ghut ghut, Kaise aansuon mein beh gaya tha.. 
Nihatthe bebas main,Zakhmon ko paani mein chupakar khadi thi, 
 Logon ki aah wahi mein,Kamzor apni bahon mein khud ja giri thi… 

Ye dharti ambar-chaand-sitaare, Main bhi to in sab ki haqdaar thi, 
Na jaane kyon bharosa kiya, Tere hath ka jhutha niwala khaya tha, 
Aye insaanon.. 
Kisi aur ke saath ye sulook na karna, Behuda sa beinsaaf naa karna, 
Bhalaayi na karsako,Par kabhi anjan ke sath,Bura anjam naa karna !!