Wednesday, October 21, 2009

Mann Baanwra...

Mann baanwra na jaane kahan kahan ghuma raha hai,
Haseenaon ke bageeche mein yun bhatka raha hai,
Dikhe koi kali, Akhiyan mein bithake,
Kheench le chale uski aur, Meri nazar se use sajakar,
Uski mehak mein dubakar, Phir ishi nashe mein girakar,
Baandhne lage dil ki dor, Phir usi pal dikhe koi aur,
Kheench le chale uski bhi aur,
Na jaane kab tak yunhi phirayega mujhe har aur,
Bandhega har ek se is bhanwre ki dor, Jab karta hun thodi gaur,
Jaanta hun na mila hai abtak mujhe koi chor,
Bhar diya hai mere har taraf shor,
Aye mann baanwra mila do mujhe ik aisi khoobsoorat kali se,
Ons ka boond bankar saje rahoon saka jispe,
Usi ke liye Jioonga, usi ke liye maroonga...

Maahe Ramzaan...

Phir maahe ramzaan aaya hai,
Khuda se toha bankar aaya hai,
Apni rahmaton ko barsaane aaya hai,
Khuda ke aur kareeb le jaane aaya hai,
Har waqt uske ibaadat mein masroof rakhe aaya hai...

Subah se lekar shaam tak zikr karte rahe,
Apne aakhirat ki sada fikr karte rahe,
Uski puri tayyari karte rahe,
Har pal burai se darte rahe,
Aur teri farman ka amal karte rahe...

Meri galtiyon se mujhe maaf karde,
Beshumar nek bandon mein mujhe shamil karle,
Jab tak zinda rahunga roze rakhunga,
Use mein reh kar aur teri zikr mein,
Rooh kabz karna pasand karunga...

Roze rakhne ki ijazat farmai,
Bhook se parhez, Pyaas se parhez,
Acchi cheezon se parhez rakha,
Aur apni niyamaton se nawaze rakha,
Jis din main roza nahin, samjho meri jaan nahi...

Bure khayal, Bura dekhna,
Bura bolna, Bura karna,
Inse mehfooz rakha aur ibaadat mein masroof rakha,
Har tarah ki burai se pak ho gaye hain,
Teri zikr mein saare gunah maaf ho gaye hain...

Raham kar, karam kar,
Har bala humpe se dur kar,
Duaon ko kubul kar, Gunahon ko maaf kar,
Is ramzan maheene ki badaulat,
Saal bhar zikr karne ki taufeeq ata farma,
Is par chalkar zindagi guzarne ki taufeeq ata farma...

Chand Naghme...

Daulat kabhi kisiki amanat nahi hoti,
Shohrat kisiki mohtaaj nahi hoti,
karni padti hai har ek ko Shafaqqat,
Vaise muqaddar har ek ki pehle se banai nahi hoti...
---------------------
Muqaddar se masruf hokar apnon se anjan rehkar,
Chain se bhala kaise jiya jata hai,
Dil ko yun cheerkar bedardi ka zehar bharkar,
Berehme se kaise pal pal zinda rakhkar mara jata hai...
-----------------------
Tumse dosti ko hamari majburi na samjho,
Har pal tumhara khair chahne walo ko gairon mein na gino,
Hamein chahne wale bhi kayi hain duniya mein,
Yaari ko kayam rakhne ki koshish ko lachari to na samjho...
----------------------
Haseenayein to kayi hain duniya mein,
Par unsab mein vo baat nahin,
Vaise chandni to har raat aati hai,
Par chaudahvin rat ki chandni ki to baat hi nahi...

Ankahi Baatein...

Lafzon par kuch ankahi baatein hum sun sakte hain,
Aap ke dil ka haal bin bataye hum jaan sakte hain,
Usmein chupa ehsaas pehchaan sakte hain,
Bhale hum roz na milen, Baat na kar sakein,
Par Khayalon mein meri dhadkenein,
Roz tumse baatein kiya karti hain...

Meri Aahatein har pal tumhein yaad kiya karti hain,
Meri duaein tumhaare naam se suru hoti hain,
Aur phir usi se puri hoti hain,
Ye ek dil ka rishta hi hai,
Jisne hamein baandh rakha hai, Yun hamein saath rakha hai...

Dukhana hamein nahin aata...

Kisike dil ko dukhana hamein nahin aata,
Hamein to bas hansna aur hansana aata hai,
Dil khol kar char lafz baat karna ata hai,
Aapko hansane ki kash-ma-kash mein,
Agar kuch anjane mein keh diya,
Ya ankaha kuch bol diya,
Hamein tahe dil se maaf karna,
Aapki khushi hamari khushi hai,
Ab khushi se muskurao,
Taki hum bhi muskura sakein,
Chain ki saans le sakein...

Sabkuch Tu...

Anjaan hai teri ye viraasat,
Aur teri ye shakhshiyat,
Saat aasmaanon par hai teri hukumat,
Shaandaar hai teri ye khudrat,
Kar de har pal hum sabki hifaazat...

Chin gayi hai mujh se meri tarbiyat,
Nahin hai mujh mein inaayat,
Hai mujhe teri zaroorat,
Tu hi hai meri amaanat,
Na jaane kab aayegi qayaamat,
Kab hogi meri yahaan se rukhsat...

De de mujhe tu itni hidaayat,
Bhar de mujh mein itni nazaaqat,
Kar de mujh par aisa karaamat,
Ke karta rahoon har parl teri ibaadat,
Karta rahoon zindagi bhar teri hi kidmat...

Ikhlaas ki daulat se malaamal farma,
Khushu-khuzoo wali namaz ata farma,
Badon se izzat choton se muhabbat,
Sabse acha pesh aane ki taufeeq ata farma,
Tera dar tera khauf ata farma...

Teri kayinat vakyi shandar hai,
Tu hi saaton zameen aur aasmaan ka malik hai,
Tu hi khaalikh hai, Tu hi raahil hai,
Tu hi yaaseen hai, Tu hi Rahmaan hai,
Har naam tera har cheez mein tu hai...

Tujhse hi ye kayinat hai,
Tujhse hi sabkuch hai,
Tu jo hai to khushi aur dil ko aram hai,
Tu nahin phir kuch nahin,
In saanson ka chalna tumbin nahin,
Mera aur jeena mumkin nahin...

Kamiyabi ka Jashn...

Aapka haal janne hum ye paigaam bhej rahe hain,
Jawab nahin bhi aaya to hamein koi gila nahin,
Kyonki meri rooh mujhse keh rahi hai,
Aur hum ye jaante hai,
Ke aap jahan bhi hoge sahi salamt rahoge,
Har pal muskurate rahoge,
Apne ashiyane ki banai mein pal pal masruf rahoge,
Hamari khushaamdeed sada aapke saath hai,
Ek na ek din aapko kamiyabi zaroor hasil hogi,
Aapka ashiyan hamari duawon se sajega,
Aapki kamiyabi ka jashn gulab ke phulon mein bahega,
Bas yehi ik arzu baaki hai,
Aur yehi khushi bankar mere dil mein abhi baaki hai...