Tuesday, May 26, 2015

Na ye mazhab tune chuna hai...

Na ye mazhab tune chuna hai, Naa mazhab tujhse bana hai...
Phir kyon..Mazhab ki baat lekar,Rehta har pal pareshan hai?...
Mazhab se badhkar insaaniyat,Naa kuch aur bas insaan hai...
Mazhab ke naam pe dehshat gardi, Kis rab se tune suna hai?..
Bewajeh masoomon pe ye berehmi, Kis mazhab ne kaha hai?..
Tu insan nahin..Tu insan nahin..Tujh mein basaa shaitan hai..
Tuu bhala, kya insaan hai??..,Tuhmein kahan, ab insaan hai??..
Tuhmein kahan, ab insaan hai??..,Tuu bhala, kya insaan hai??..

Barson guzar gaye hain mere...

Barson guzar gaye hain mere, Ik kal ke intezaar mein..
Palkon pe simat gaye laakhon pal, Isii talabgaar mein..
Kal ko banaate tarashte, Hazaron aaj beet gaye hain..
Zindagi ke imtehaan mein, Kayii laaj choott gaye hain..
Waqt ke kagaar par..
Hai dastak deta hua ghadi ka kanta,Kal ki fiarak mein..
Dil umangein bhare, Hai le udaa phir isiki talash mein !!

Zarr se bhi reshmi, Hain zulfein ye teri...

Zarr se bhi reshmi, Hain zulfein ye teri,
Sone ke ashrafiyon see, Palkein ye teri,
Tere deedar mein malhar,Nazar ye meri,
Dil hua hai neelam, Zalim ek ada pe teri...

Nazar meri chaahe sohbat,Nazar se teri,
Baandhe ik resham si dor, Falak se teri,
Dil talabgaar,Pal pal badhti talab se teri,
Iski har khwaahish..Har sifat..Hai ab teri !!

Though we all r different but one & the same!!

Ek ankahee si daastaan ko, Dil mein liye..
Dabe se razon ko, Bematlab bunte chale..
Khwabon mein,Sari qaainat samet chale..
Khuda ki banayi nek makhlooq..
Duniya mein,Apna maqaam banaa chale..

Mazhab matlab kayi, Par ek vahi insaan..
Harek ki apni pehchan, Nek apna wajud..
Kayee ansuljhe raazon aur paheliyon se..
Ghiree hai, Ye ajubee si duniya tamaam !!

Jo meri bandgaani hai, Vo teri meharbani hai...

Jo meri bandgaani hai, Vo teri meharbani hai,
Saanson ke chalne tak ki, Meri zindgaani hai,
Iska har ek pehlu, Toone jo rachi zubaani hai,
In palon kaa guzarna, Bas teri rehguzaari hai..

Pitaare se is dil mein,Faasle yun jodtaa hun door ke,
Par darmiyaan saanson mein, Faasla bahut kamm hai,
In chand faaslon mein dhalti ubharti, Meri kahani hai,
Chand faaslon mein dhalti ubharti,Meri ye kahani hai !!

Kabhi aas letaa hoon, Kabhi saans leta hoon...

Kabhi aas letaa hoon, Kabhi saans leta hoon,
Kabhi andher, To kabhi khulee baarish mein,
Dard-e-ghum ko, Ansuon mein baha leta hun,
Un lamhon ko sonch, Diye zakhmon ko ponch,
Guzre hue daur ko, Yadon mein sametta hun..

Ab dil, Tere vaadon ke saaye mein sota hai,
Aksar raaton, Tanhaa ghut ghut ke rota hai,
Dekh hathon ki lakeeron ko, Apni taqdir ko,
Muqaddar pe apne, Pal pal aansu dhota hai,
Muqaddar pe apne, Pal pal aansu dhota hai!!

Dil dara dara sa, Jee bhara bhara sa rehta hai..

Dil dara daraa sa rehtaa hai, Jee bhara bharaa sa rehtaa hai,
Thoda sehma ghabraya, Ab zameer sar phiraya sa rehta hai,
Imaan..Jankar duniyadari, Beimaan ban mandraya rehta hai,
Mangta hun mannatein,Rab na jane kyon khafa sa rehta hai ?..

Hansta hun magar, Mann khushi se parhez khoklaya rehta hai,
Zakhmi dil halaton se, Ismein zakhm ubhra ubhra sa rehta hai,
Dil ke aayine mein dekhta hun, Us pare abb koi nahi rehta hai,
Humdardi jatate hain log, Par dard vahi hara hara sa rehta hai ?..

Ibadat mein mashgool, Zehen duniyayi fikr mein duba rehta hai,
Chain ki neend soye hua hai arsa, Chain ki saans bhi hai ik tarfa,
Aksar..Tann adha, Mann adha..Adha jaga, Aadha soya rehta hai,
Aksar..Tann adha, Mann adha..Adha jaga, Aadha soya rehta hai !!