Thursday, August 30, 2018

Behaya Nigaahein !!



In behaya nigahon ko, Siwaye nigahon ke tere,
Is dard-e-duniya mein, Kahin chain nahin milta,
Nazar churaane ke, Lakhon bahane milte hain,
Magar kambakht !
Tujhse nazar hatane ka, Ek bahana nahin milta !!

Khamoshi ikhtiyar kar leta hun !!




Ab unke har sawaal pe, Khaamoshi ikhtiyaar kar leta hoon,
Mere jawaabon ka bhi to, Unpe kuch khas asar nahin padta !!

Muddat-e-deedar !!



Aapke muddat-e-deedar mein, Hosh-o-aawaaz nahin,
Sansein chalti hain, Magar dhadkanon ka pata nahin !!

Happywala Birthday Aapa !!

Khudaa se bin maange mili amaanat ho,Hamare ghar ki nazaakat ho,
Har khushee khil uthi tumse, Har ghadi sajke ronakh hoti hai tumse,
Rishte mein badhi behnaa, Dil ke takht-o-taaj mein chamakta gehna,
Chaha har arman mukammal ho, Daman khushiyon mein bharpur ho,
Baa umar sahi salaamat raho, Duniya mein khub kamiyabi hasil karo,
Khuda raham-o-karam bakhshe, Har shan-o-shaukat se nawaze rakhe!

Wednesday, August 29, 2018

Yakeen lafz se dil sisakta hai !!

Wafa ka..Bura mazak udaya apnon ne,
Yakeen lafz sunte hee,Dil sisaktaa hai,
Auron ki to chodo..
Khud ki parchai se hi, Ab dar lagta hai !!


Vah re..Bahar-e-Shabaab !!


Vah re! Bahar-e-Shabaab, Hain tere jalwe laajawab,
Khota hai har parwana, Husn-e-Aakhir mein is kadr,
Ke...Khud ke thikaane ka milta hai, Naa koi jawaab,
Na bachta banda, Na bach ke nikalta bande nawaaz !!

Tuesday, August 28, 2018

Insaan ke do pehlu !!

Accha hota..
Agar sikke ki tarha, Har insaan ke bhi do pehlu hote,
Acchai aur Buraai jaan ne mein, Zyaada der na lagti !!



Kaash hum dilon ko padh paate !!

Itna hunar hota hum mein ke dilon ko bakhubi padh pate,
Saari umar cherhon ki lakeeron pe yakeen karte guzardi !!


Monday, August 27, 2018

Bharose ki ummeed !!

Jab bharose ki ummeed thi, Zameer ne hath chod diya,
Bharose pe yakeen mit'te hi, Zameer ka sath mil gaya !!

Saturday, August 25, 2018

Aagaz vahi rehta hai, Anjam badal jata hai !!



Jawaab dhundta hun, Sawal badal jate hain,
Maane dhundta hun, Alfaaz badal jate hain,
Wasta jodta hun,Log bharosa badal jata hai,
Ayina dekhta hun,Rubaru aks badal jata hai,
Ajeeb ittefaq hai..
Khyal wahi rehta hai, Khwab badal jata hai,
Aagaz wahi rehta hai, Anjam badal jata hai !!

Thursday, August 23, 2018

Sath chalna..Rahe qayam jab tak qayamat !!



Tumbin bematlab tha, Milan se hua tarjumaa pura,
Khudaye darbar mein, Duaon ko mila maqam sara,
Jo naa milte tum, Reh jata sunehra khwab adhura,
Sajde-e-karwan ka aashiyan, Bante reh jata bhura..

Chahat se zyada chaha, Mannaton mein manga,
Zindagi ke safar mein, Jis rahbar ki thi zarurat,
Ibadat-e-inayat se mili, Zewar si Rafia amanat,
Judi jo aapse riwaayat, Ba umr ki mili zamanat..

Aapki chaah se saj gayi, Qaainaat bhar ki mohabbat,
Har janm mein rachna, Mere kahani ki nayi banawat,
Rab ko manake laya hun, Zameen-o-Asman ki ijazat,
Chaanv si sath chalna, Rahe qayam jab tak qayamat !!

Sunday, August 19, 2018

Zindagi shatranj ki chaal !!

Zindagi paltee huee, Shatranj ki chaal hai,
Mayaawi jagat ye, Rab ka bichaya jaal hai,
Khudaa ka paun hokar, Kyon fakr karta hai,
Sanson tak ka,Tujhpe kabu nahin rehta hai..

Ye paidaish useeki den hai, Sab usika hai,
Khali hath aaya, Khali jholi hi laut jana hai,
Chardin ka mehman tu, Tera kya yahaan hai ?
Odhne kafan, Do gaz zamin tere hisse ka hai..

Karle laakh koshishein, Kya bhalaa hota hai ?.
Hota vahi hai, Jo manzoor-e-khuda hota hai,
Vahi hota hai, Jo manzoor-e-khuda hota hai..


Paani ka ek boond tak, Halak se nahin utarta !!

Teri yaad mein paani ka ek boond tak, Halak se nahin utarta,
Aankh pankhudiyon sa khula rehta, Falak tak nahin jhapakta,
Dhadkan bajti hai,Magar dil mein pehle sa ehsas nahin rehta..

Na jane zehen kya kehta hai, Masruf dimaag kya khayal karta,
Tujhmein mashgool rehta hai, Kisi aur kaa zikr tak nahin karta,
Ibadat mein tere sajde karta hai, Puri duayein tere naam karta..

Khuda se hoke rubaru,Sari mannatein tere daman mein bharta,
Na din mein chain se jaagta, Na raat bhar chain ki neend sotaa !!

Qurbaani !!





Chahite aulad se zyada, Khuda se juda waasta,
Duniyayi chakachaundh chod, Akhirat se rabta,
Allah SWT ke hukuk par, Rai bhar nahin guman,
Jeene ka zariya banaa, Sirf ikhlaas aur eeman..

Rab ki aur se, Hazrat Ibrahim ka imtehan tha,
Bete hazrat Ismail ki qurbani ka, Farmaan tha,
Deen ke raaste par, Zubhaa karne ka ijaab tha,
Tameel mein siwaye apke, Kaun farmabardar tha..

Apke waqiye ne,Deen-e-jahan ko nek sabak diya,
Mazhab ki raah mein, Lut jaane ka paimaan diya,
Huzoor chale raaste chal, Hashr ki tayyari karlo,
Nek nama-e-a`amalon se, Sawaab ki jholi bharlo..

Pal bhar jashn-e-zindagi, Lamhe bhar ki mehak,
Sawab kamane ke khatir, Daulat shohrat choddo,
Duniya mein rehte, Jannat ki buniyaad banaalo,
Kafan ke liye duaayein, Do gaz zameen batorlo..

Maut aane se pehle-pehle, Aisee tayyari karlo,
Rooh kabz hote waqt, Marne ka koi gham na ho,
Dil ko sukoon-o-raahat ke saath..Labon par,
Lailaha-illallah-muhammadur rasulullah zikr ho..

Odhkar kafan ki mehak, Janaze ulfat ki aan badhe,
Duniya-e-rukhsat ke baad, Mazaar ki shaan badhe !!

Friday, August 17, 2018

Behtar Zindagi !!

Aur behtar zindagi, Maangi khuda se,
Sajde lakhon ataa kiye, Isi aitbaar se,
Taa'jjubb kee baat, Behtar ke maane,
Na maine samjhe,Na mere khuda ne !!

Thursday, August 16, 2018

Atal jee..Apsa salar-lekhak-vishleshak koi aur nahin !!



Tan-mann-dhan jeevan sab samarpith kiya..
Garibee hith mein aawaz buland kar diya..
Jan-seva apna ashiyan muqarrar kar liya..
Rehnuma sa desh ka marg-nirdeshan kiya..

Bharat maa ne aaj sunehra ratn kho liya..
Kalam ne tanhai se likhna band kar diya..

Atal jee..Bhale kayi sadiyaan guzar jaaein..
Aapke nek vichaar zikr rahenge atal yahin..
Bahumukhi pratibhaa prajwalit har kahin..
Jalti lau bhar degi aapki roshni har kahin..
Apsa salar-lekhak-vishleshak koi aur nahin !!

Wednesday, August 15, 2018

Taqdeer ne badi beraham mara !!

Tinke ka liye sahara, Karta hun guzara,
Din ka har pal guzre, Dhunde ik sahara,
Taqdir ne phirse, Badi beraham maara,
Dilke kone kone, Bhara dard dher sara..

Zarre zarre toota hun, Usulon ka maara,
Taash patton mafik, Bikhra zameer sara,
Roke na ruktee, Behte aasuon ki dhaara,
Beech bhawandar phans, Dhunde kinara..

Khuda ki dehleej pe, Gir pada dil hara,
Tuta sa dikhta, Aasmaan ka har taara,
Na hai koi mera, Na main kisi aur kaa,
Parchaai tak ne chod diya,Saath mera..

Nahin jeeni aisi zindagi, Phir dubaara,
Phir nahin jeeni, Aisi zindagi dubaara..

Tuesday, August 14, 2018

Aankh bhar aansu nam hain !!

Dil gum hai,Aankh bhar aansu nam hain,
Kyun hain sunhere spane, Bikhre-Bikhre ?
Palkon pe hain aake,Aansoo tehre-tehre ?
Kyun apne saare, Anjaane se lagte hain ?
Vo beimteha khwab, Begaane lagte hain ?

Kyaa hai?..Kyon hai?..Raaz miltaa nahin,
Iske chalte, Ye tanha safar chalta nahin,
Abb haal-e-dil ko, Kuch raas aata nahin,
Hai rehta khamosh, Ye kuch kehta nahin !!

Aazad Bharat, Aazad Naari !!


Hindustan aazad hue, 71 baras beet gaye..
Aurat pe zulm-o-sitam, Barqarar reh gaye...

Desh ki naari ko,  Azaadi kab milegi ?
Khulkar udneki chah, Kab puri hogi ?
Use asal darja, Uski izzat kab milegi ?
Har ma'mle mein,Barabri kab milegi ?
Honton pe phir, Kab muskan khilegi ?

Goonjti cheekhein, Kab chain lengi ?
Insaani darindon se, Vimukti milegi ?
Shoshan khilaaf, Awaaz kab uthegi ?
Insafi guhaar, Kab mukammal hogi ?
Nyaay kabtak,Aankh micholi khelegi ?

Desh ko sahi mayne, Azadi tabhi milegi..
Jab desh naari, Har peeda se azad hogi..
Sar garv se utha, Aasmaan se takrayegi,
Falak pe aazadi ka, Parcham lehraayegi !!

Labon pe khush-am-deed likh chalun !!

Tere labon pe, Khush-am-deed bhar chalun,
Palkon pe, Sunhere se khwaab bun chaloon,
Tere sang, Har haseen pal paar kar chaloon,
Har taraana,Tere aangan mein gaa chaloon..

Meri har khushee, Tere naam likhtaa chalun,
Har khwaahish, Daaman mein bharta chalun,
Kiya har waada, Baa zindagi nibhaata chalun,
Aakhri dam tak, Di hui saugaad rakh chaloon  !!

Sunday, August 12, 2018

Har khushi ab tere naam !!

Tere labon pe khush-aam-deed likh chalun,
Teri palkon mein haseen khwab bun chalun,
Tere sang har haseen pal paar kar chalun,
Meri har khushi ab tere naam kar chalun !!

Dil gum hai, Ankhein nam hain !!

Dil kyun gum hai, Ankhein kyun nam hain,
Kyun hain, Sunehre sapne bikhre-bikhre,
Palkon pe aake hain, Aansu tehre-tehre,
Kyun apne saare, Ab anjaane lagte hain,
Vo beimteha khwaab, Begaane lagte hain...

Kya hai?..Kyon hai?..Kuch raaz milta nahin,
Iske chalte,Ye tanha safar ab kat-ta nahin,
Haal-e-dil ko, Ab kuch raas aata nahin,
Hai rehta khamosh, Ye kuch kehta nahin...

Jawani bachpan ka rasta dhundti hai



Jawaani phirse, Bachpan ka raasta dhundti hai,
Chulbuli harkat karne ka, Ik bahana dhundti hai !!

Apna Humraahi !!

Na aage hai koi, Na peeche koi hai,
Na kal kee fikr, Na sang koi aur hai,
Na iman mein shak, Na kisika zor hai,
Ho ghanghor,Nache dil banke mor hai..

Raahi apni manzil ka, Raah raahbar hai,
Falak ke paar dikhta, Manzil ka chor hai,
Thame bagdaur, Haunsla chalta aur hai,
Chalti manzil, Chalta chalaa manzar hai !!

Rasm-e-ulfat ki aur nahin chalte !!

Guzri yaadein taaza naa ho jaayein,
Marham-e-dil inmein pighal na jaye,
Ghamke sailab mein doob na jayein,
Dard-e-bewafai tanha na chod jaaye..

Hum ab is dar se..
Rasm-e-ulfat kee aur nahin chalte,
Tere deedar mein aya nahin karte,
Teri parchiyon se pare rahaa karte,
Un galiyon mein guzra nahin karte,
Khwabon mein rubaru na ho jaaye,
Raat raat bhar soya nahin karte !!

Monday, August 6, 2018

Zindagi Anokhi Kahani !!



Pal bhar ka bachpan, Lamhe bhar ki rawaani,
Mashaqqat mein masroof, Do pal ki jawaani,
Chaar pal bachi-kuchi, Baaki saari mezbaani,
Har rahi masruf yahan, Tarashe nayi kahani...

Aankhein sanjoye,Guzre har ghadi ki nishaani,
Dil ke pinjre mein mehfooz, Pal pal zindgaani,
Kaanon mein gunjti,Nani ke kisson ki zubaani,
Ek raja-Ek rani,Donon ki adbhut amar sunani..

Pal bhar ke musafir sab, Pal bhar ke mehmani,
Chand lamhon mein simti, Jivan anokhi sayani,
Zindagi..Pal do pal bayani, Gumnam beimaani,
Fitrat bezubani, Ankahi ansuni si jaani anjaani..

Insani makhlooq ka hona, Khuda ki meharbani,
Rayi bhar Iman jutalo, Kar is baatki kadardani..

Saturday, August 4, 2018

Teri yaad ka paigam !!


Teri yaad aayi aur na jane mujhe kya paigam de gayi,

Vo kashish na jane kya farmaan de gayi,

Na jane vo paigam kya tha, Usmein chupa farmaan kya tha,

Magar vo saare haseen pal taaza kar gayi,

Tumse bitaaye vo sunehre lahom ka mazaa de gayi,

Agar mera ishq sach hai,

To mera paigaam bhi tumhein zaroor milega,

Mera fariyad tumhein milega,

Dil mein jo aag idhar lagi hai,

Vo udhar bhi lagegi,Lakh koshishon ke baad bhi,

Tumse bujhaye na bujhegi,

Ye vo Chilman hai jismein hum bhlae khushi se jalkar raakh ho jaayenge,

Ye vo jaam hai jismein hum bhale dubkar mar jayenge,

Par lakh hasraton ke baad bhi is dil se tumhara naam na mita payenge....

Jab dikhti hai koyi haseen, Padti hai nazar uspar !!

Jab dikhti hai koyi haseen, Padti hai nazar uspar,
Aankhon galon se hokar, Basti hai uske honton par,
Phir jaat hai nazar, Uske har ang par,
Yun ban jaati hai tasweer, Dil ke aayine par...

Armaan jagti hai, Le chalun use sabse dur,
Aisi jageh, Jahan hamare siva koi na ho,
Vahaan jahan, Reshmi lambi-lambi belein ho,
Rangeen phulon ki mehak, Har taraf phaili ho...

Bharkar nigahon mein, Odh uske reshmi balon ko,
Maldun thodi der, Gore marmari gaalon ko,
Nazuk labon ko, Apne labon mein bandhkar,
Peeta rahun madhur, Shahad bhare pilaye jaam ko...

Aye mere rab! Kyon aurat ko itna hasin banaya,
Jiske peeche na bhage, Jiski chaanv se na bache,
Duniya ka koi bhi mard, Aaj tak na reh paya,
Dekh jise khud ko, Koi kaabu mein na rakh paya...

Kaise bayan karun us gulab-e-jaam ka !!

Kaise bayan karun us gulab-e-jaam ka,
Tere diye misri se mithaas maze ka,
Jab pehli baar labon ko labon se bandh kar,
Tune apna sharbati ishq ghulaya tha,
Rasile makhmali honton se aab-e-kausar pilaya tha...

Kaise zuban karun us lamhe ka,
Jab tune akele mere hath se hath milaya tha,
Meri tanhai ko sath dekar,
Mujhe apna humsafar banaya tha...

Kaise izhaar karun un palon ka,
Jab raaton mein main tujhse milta tha,
Chandni mein teri god mein sokar,
Apni tamannaon aur khwahishon ka khulasa karta tha...

Kaise bataun dil pe guzre haal ka,
Jab chori chori chupke chupke,
Teri khubsurti ko nihaarta tha,
Tujhe banaye us rab ki khoob tareef karta tha...!

Kaise bayan karun, Kahan se shuruat karun !!


Kaise bayan karun, Kahan se shuruat karun,
Aise laga jaise hamari barso ki aas puri ho gayi,
khuda ke paas hamari fariyad puri ho gayi,
Vah khuda teri khudrat ka koi bayan nahi,Iski tareef ke ham layak nahin...

Pehli baar kisiko dekha aur khud ko kho baitha,
Kya khoobsoorti kya noor,Ek dam se manzar tham sa gaya,
Jaise guzarta pal tehar sa gaya,Ghadi ka kanta ek dam se ruk gaya,
Aur sab jahan ka vahan reh gaya...

Aankhein hain ya phul ke kanwal,Machalti ada,
Sharabi hont,Dant jaise angur ke daane,
Kale kale bal sharabi chaal,Gulabi gaal kho gaye apna haal,
Lachakti kamar thirakti umar...

Mano na mano dil khushi se jhoom utha,Uske liye Paagal ho utha,
Sach mein hosh-o-awaz kho baitha,Uski bargaah mein kaid ho baitha,
Ho gayi dhadkanein kuch tez...

Na jane kis uljhan mein phans gaya,Laga jaise dheere se nasha chadha raha hai,
Aur mujhe koi madhosh kar raha hai,Bas use hi dekhta raha aur deedar karta raha,
Use banane ke liye khuda ki tareef karta raha...

Kya batayein us waqt hamare dil ka hal,Vo alam kya batayein,
Tareef karte nahin thakte,Naam na jaana na pata magar khud ko kho baitha,
Use dekhkar jaana husn kya hota hai,Use peekar jaana nasha kya hota hai...

Uska deedar karte mere ankh nahin thakte,
Use dekhte dekhte mar bhi gaya to koi gawara nahin,
Kyonki itni khushi se marna,Phir dubara is zindagi mein mumkin nahin...

Kayi armaan kayi khwahishon se !!


Kayi armaan kayi khwahishon se,
Dil hamare bhare rehte the,
Jalakr saari sharm-o-haya,
Inki roshni se dil saje rehte the...

Sach much janmon ki pyaas thi,
Na izhaar kar sako itni hawas thi,
Jitna bhi mitana chahe,
Vo sonch se kabhi mit ti nahin thi...

Jo mili tu mujhe, Jo hui kareeb humse,
Laga hai aisa, Hai aisa hi haal tujhse,
Beech duriyan, Nazdi kiyan ban gayi,
Chand palon mein, Kayi tabdiliyan ho gayi...

Vo baarish ki raat, Vo anjaan mulaqat,
Vo veeran dagar, Vo gumnaam sadak,
Aaj bhi dil mein mere mehfuz hai,
Dafan kiye ise kayi din hue,
Magar tera voh tohfa paak-mehfuz hai...

Baarish mein bheegi hui dekh tujhe,
Khoya main hosh, Ho gaya behosh,
Karna chaha khud ko kabu, Par hoke bekabu,
Pehli baar kisi gair ke itne kareeb hua tha...

Baarish mein khub pyasa ban gaya tha,
Phir tere bheege labon ko maine piya tha,
Tere bheege badan mein bheeg kar,
Khud ko khoya tha, Teri aur hoya tha...

Tarif karun bhi to kiski !!


Tarif karun bhi to kiski,
Tera ang ang jal tarang hai,
Jise dekhkar jaage nayi umang hai,
Rom rom inki chahat ke liye betaab hai,
Tu hai jo insab se lajawab hai...

Karun tareef kale ghane balon ki,
Shahad se bharpur, Nasheele aankh nami ho jate hain,
Karun jo tarif inki, Gulabi gal mayus dikhte hain,
Phir shuru karun jo tareef inki,
Sharbati Shabnami lab chup ho jaate hain...

Bheeg jaun jo inmein tan man se,
Pee jaun jo inmein jaam ko jee jaan se,
Komal samet kaan kuch sunte nahin,
Labon ko paas rakh, Shuru karun jo tareef,
Hirni jaisi chan chal gardan...

Ek dam se gum ho jati hai,
Zara hoke nazdeek, Sanson mein bharkar khusbu,
Jo mitaau betaabi, betaab dhadkanon ki,
Phir baahein mayus ho jaati hain...

Jo bharlun inko baahon mein,
Mitaake duri, Badhakar nazdi ki,
Hirni chaisi chan chal karmar,
Yun matak jaati hai, Sisak jati hai...

Leke baahon mein ise, Jo karun pyar,
Deke khud ko panah, Hoke tujhmein fanah,
Ras se bharpur, Reshmi nabhi bin kuch kahe,
Apne jaam ko pilakar, Khub lutf deti hai,
Ruh ki pyaas kuch had tak bujhati hai...

Ab aage kya kahun, Aur kiska bayan karun,
Sharmo-Haya bhi to koi cheez hai,
Tujhe har vo sukh sukun dekar,
Pal Pal jannat ki sair karaun ga,
Har pal iska didar karaun ga...

Na jane kis maksad se, Kis andaaz se,
Rab ne chain-o-sukun se banaya hoga,
Kis kis nek amaanat se tujhe sajaya hoga,
Kis kadr kis had tak chaha hoga,
Uska dil bhi tutkar maayus hua hoga,
Jab meri ruh ne tujhe bulaya hoga...

Badi chubhti hai tanhai, Diwana bana deti hai ye tanhai, !!


Badi chubhti hai tanhai, Diwana bana deti hai ye tanhai,
Koi na jane us tadap ko, Jab masum apni maa se dur hota hai,
Uske stanon se dudh peene ke liye, Jab bekaraar hota hai,
Lage pyaas bhukh kuch bhi, Kisiko bata nahin sakta,
Agar rokar bataye bhi, Iska kaha koi samaj nahin sakta...

Budhe maa-baap ko, Unke aulaad jab khud dur karte hain,
Unka dard baante wala, Unki cheekh sunne wala,
Aakhir hath pakad kar, Sahara dene wala to dur,
Khair-o-khabar puchne wala bhi, Koi rehta nahin...

Jab do premi, Duniya ke reeti riwazon se,
Ya aapas mein, Kuch man mutaav se bichadte hain,
Dil mein banaya pyar, Tut tut kar bikhar jata hai,
Guzre saare pal, Yaad aa aakar rulane lagte hain,
Akele rehne nahin deti hai ye tanhai...

Jab do naye shaadi-shadi miyaan biwi,
Sharm-o-haya ko chodkar, Ek dusre mein mil jaate hain,
Ek dam se Kisi wajeh, Alag se agar rehna pade,
Raat mein sote hain, Kitna bhi sona chahe,
Virah ki aag mein, Jaage bin rehte nahin...

Mere Maula...Mujhe kabhi akela na chod na,
Is tanhai ke samundar kabhi na dubona,
Apnon ko yaad kar kar, Rone ke bajaye,
Hanste Hanste hi, Meri rooh kabz kar lena...!

Apne jeevan ka ek vakhiya sunata hun !!


Apne jeevan ka ek vakhiya sunata hun,
Ek sundar sa sandarbh batata hun,
Lagi thi baarish badi zorki,
Baadlon ki gadgadaahat thi badi shorki,
Sadak ke kone mein khadi thi ek chokri...

Kuch sehmi kuch ghabraai,
Dekha hamein aur sharmaai,
Chup sar jhukai aur nigaahein paltaai,
Burkhe mein apna chehra chupai,
Mano ya na mano dil chura le gayi...

Janab hum bhi kuch kam na the,
Apne khwabon khayalon mein magan the,
Is beech use koi lene aaya,
Aur maine khud ko behka paya,
Uska haath pakadkar gadi mein bithaya...

Ek dam se toota is anjaan rishte ka dhaaga,
Hua mein hataash, Vo dekh paati kaash,
Itni sundar aankhein jag nahin dekh sakti,
Par sara jag inhein dekhkar madhosh hota hai...

Bhale uska chehra na dekh paaye,
Magar uski aankhein sada hamari aankhon mein rahengi,
Uski yaadein hamare dil mein basengi,
Aur aane waale palon ko taaza karti rahengi...

Tumhein dekhar main pagal ho gaya !!


Tumhein dekhar main pagal ho gaya,
Mano ya na mano apna hosh-o-awaz kho baitha,
Apna jaan-o-jigar tumhein de baitha,
Mera tan dhan sab kuch tu hi hai meri jaan,
Tu hai to hai mere zindagi ki aan aur shaan,
Hai mujhe tere saath jeevan saaz gungunaana,
Batao zara kaise main apne pyar ka izhar karun,
Kaise apne dil ki baat kahun,
Bhale shahjahan ki tarah tajmahal na bana paya,
Magar apne dilmein usse bhi amulya mahal bana chuka hun,
Jismein har pal main tumhara deedar karta hun,
Har waqt tumhara intezar karta hun,
Tum mere pyar ko kubul kar use mahal ko char chand laga do,
Mere jeevan ko abad kar do,Mere khwaon khayalon ko sach kardo,
Marte dam tak tumhara saath na chodoonga,
Tumhein khush karne har vo amal karunga,
Jo mujhe karna pade, Tumse kiya vada na todunga...!

Khud Ki Talaash Karta Hun !!

Shor-sharabe se,Itna lagav ho gaya hai ke,
Tanhaai ki sonch se si, Aksar dar jaata hun,
Aayine mein khud ko dekh,Chaunk jata hun,
Apne hi saaye se, Aksar door bhaagtaa hun,
Dil ki dhadkan sun,Raat mein seham uthta hun,
Bhari bheed mein, Khud ko talaashte rehta hun,
Ab har pal khud se hone ki, Mannat mangta hun !!

Eid-Al-Fitr Mubarak !!

Dubte suraj saa alvida keh gaya Mahe Ramadan,
Eid ke chand ki ronakh mein ubhar aya Ramadan,
Ghadi ke kanton mein simat saa gaya Ramadan,
Bhale humein naseeb ho naa ho aglaa Ramadan,
Khuda ka paigam liye zarur laut ayega Ramadan,
Zindagi ko behtar se jeene ki seekh ye Ramadan!!

Sabr ne kaha..Kab tak ye imtehaan aur kab tak??..

Sabr ne kaha..Kab tak ye imtehaan aur kab tak??..
Haunsle ne kaha..
Chalaa chal, Badhaa chal..Manzil milegi jab tak !!

Gunah ka Mazhab nahin hota !!

Jurm mein mujrim ki khataa hoti hai, Naake mazhab ki,
Niyyat mein khot gunah karwati hai, Na Mazhabi seekh,
Mazhab apni pehchaan hai, Zindagi ko jeene ka sabab,
Har mazhab anokha anmol, Imaan se jeene ki seekh deta,
Jurm pe mazhab ki chadar odhkar, Ilzam mazhab ko na do,
Har mazhab ki izzat karo, Dharnaon beech duriyan sametkar,
Aman se bhare kal ke liye, Zindagi ko behtar se jeene ke liye !!