Tuesday, December 27, 2011

Saturday, October 1, 2011

Dil ke warkhon ko...

Dil ke warkhon ko tere naam se likh rakha hai,
Ismein teri tasweeron ko sajaa ke rakhaa hai,
Aye dil nashin meri meh-jabin, Tu kya jaane,
Dil mein tere liye takh-to-taj bana rakha hai !!

Monday, January 31, 2011

Bankar gulab...

Bankar gulab khilun tere balon mein,
Bankar kaajal sajun teri palkon mein,
Bankar tulsi palun tere aangam mein,
Bankar payal chalun tere sang main...

Bankar gulal rangun tere badan pe,
Bankar laali lagun tere honton pe,
Bankar khayal reh jaaun zehen pe,
Bankar muskuran mehkun tere labon pe...

Bankar sindhur bhar dun teri maang,
Bankar sugandh lag jaun tere ang-ang,
Maankar apna badha dun teri aan,
Banakar apna badha dun teri shaan...

Mar bhi jaye tu agar, Lakdi ban jal jaun tere sang,
Mitti mein mil jaun, Rakh ban pani mein sang beh jaun...

Kitna suroor ...

Kitna suroor raat ki tanhaai mein tha,
Chand bhi mano jaise ruswaai mein tha,
Tha sitaron ki roshni mein mehfil saja,
Chandi mein phulon ki mehak se khil utha...

Saagar ki lehron mein khub josh tha bhara,
Yun baar-baar akar unka saahil se milna raha,
Un betaab lehron aur is manzar ke beech,
Karta uska intezaar, Tha ye parwaana pada...

Hawa ka jhonka uske aane ki gawahi deta raha,
Meri tarha vo bhi bemagan hokar bhatakta raha,
Uske chalkar ane ki awaz sunne dil betaab tha,
Usse mile uska Intezaar karta begaana tha...

Mili thi ik baar ittefaaq se vo ajnabi vahan,
Tabse har raat uske interzaar mein guzar jaata,
Kayi raatein beet gayi, kayi baatein guzar chuki,
Magar is darmiyaaan uska vahan kabhi aana na tha...

Meri rooh jiske liye...

Meri rooh jiske liye tarse, Ab tak mulaqat nahi hui hai,
Vo jiski pal pal yaad kare, Ab tak hamari baat nahi hui hai,
Dil ko mere kyon ye lagta hai, Ke kahin na kahin koi to hai,
Jo mere liye bani hai, Jiski zindagi mujhse hi saji hai...

Jo is panchee ke saath ude, Is rahi ke saath chale,
Iske sath jo ishq kare, Jo uske chilman mein jale,
Har gunaah har neki, Mere hi saath milkar kare,
Jeene tak mere hi sath jiye, Aur mere hi sath mare...

Vaise maa kehti hain...
Jab suraj ke sath chand hai, Subah ke sath raat hai,
Dil ke sath dhadkan hai, Tel ke liye aag hai,
Kahin na kahin to koi hai, Sirf tere liye bani hai,
Jo teri aahat sunne wali hai, Tujhe apna maankar,
Jeevan bhar tak tere sath chalne waali hai...

Kaisi ishq ki diwangi hai...

Ye na jane kaisi ishq ki diwangi hai,
Ye na jane kaun si parwaangi hai,
Tujhse milkar mujhe mehsus hui hai,
Jo mere sar chadhkar bol rahi hai...

Ye bechaini pal pal ek saza hai,
Is diwangi mein bhi ek mazaa hai,
Tere khayalon mein khoya rehta hai,
Har pal har waqt tera hi naam rehta hai...

Jaanti ho kitna maine chaha hai tumhein,
Pata hai na kis kadr maana hai tumhein,
Rab se bhi zyada naman kiya hai tumhein,
Har ibadat har dua mein maanga hai tumhein...

Khuda ke waliyon...

Aye khuda ke waliyon! Ye ishtehaar khuda ko pahunchaao,
Mehboob huzur ko apne, Meri ye dil ki baat sunaao,
Hazaron koshishon ke bawjud, Kuch hath na aaya,
Chahat thi jis kisi ki, Vo kuch bhi na mil paya,
Lakhon ibaadat ke baad bhi, Mannatein puri nahin hui,
Kayi duayein, Kayi mannatein ki, Jo kisi ne na suni,
Kuch kasar reh gayi, Kuch bhul chuk ho gayi ho,
To zara hamein batao, Aur nek amal karna hamein sikhaao...!

----------------------------

Ho likhi aisi taqdir, Ibaadat mein guzar jaye zindagi,
Tere hi sajde mein rehkar, Kabz ho jaaye rooh meri,
Marte waqt chehre par koi shika na rahe,
Bas honton par muskaan, Dil ko thodi si tasalli,
Aur labon par...
Laai-laha-illa-llahu-muhammadur-rasulullah ka naam ho...

Apni ankh ka tara banakar...

Apni ankh ka tara banakar, Sanson mein basaogi
Jaaun jidhar bhi, Yaadon mein saath chalee aaogi...
Rukhsat ke baad bhi, Gar pahunchun main jannat..
Uski dehleej par khadi..
Mera intezaar karti nazar aaogi...Meri Maa...!