Sunday, June 22, 2025

Aayine ki si jhalkon mein !


Nazuk bandhe reshmi palon mein, Aayine ki si jhalkon mein,

Behijaabana behaya,Nigahon ke palkon se roobaru ho gaye,

Mehak bhare angaron mein, Dili lutf-lubhe arman fana gaye,

Aankhein moonchti dhar gayi,Un nazron ki aad chanv bhare..

Khwahishein shauk se ubhri, Tamannaon ki gehrayiyon mein,

Sharm-o-haya kab gaib hui, Bharke umang angdaayion mein !

 

Sunday, June 8, 2025

Rone Ki Naubat !


 

Sanwaron walidain ko palkon ke rutbon pe jeete jee,
Nikhaaro nihayat nigah-e-adab ke saath jee bhar pee,
Ke unke guzarne ke baad tanhayii ka ghum zaroor ho,
Magar mazaar-e-didar par rone ki naubat na aa pade..

Khūb jutalo duniyayi marhale mein par itna bhi nahin,
Ke sab hokar bhi ye unke hisse ka haq ada na kar sake,
Duniya ki bhale kitni bhi aalishan aisho-o-aamaanat ho,
Walidain ke pair nakhun ki barabri tak nahin kar sakti..

Jis kadar bachpan se laad-pyar ubhar tumhein is layak kiya,
Sab nyochakar apne balbute khade hone ke kabil banaya,
Budhape mein unki chaanv bankar vo har karz ada karo,
Jitna karlo 1 fesaad hisse tak kabhi bharpoor na kar paoge !