Saturday, August 1, 2020

Bachpana chod aaya hun !!

Door daraaz lamhon se dar-badar, Bachpana chod aaya hun,
Zindagi mein ikhlaas dhundte, Azeez lamhe samet laya hun,
Dil mein band pitaara khol,Purani amanatein tatol raha hun,
Sari mehfooz yaadon ko,Resham ki dor mein sanjo raha hun..

Jhoot-sach se pare hokar,Phir naye sirhe se jeena hai mujhe,
Unhi bachpan ki galion mein khokar,Bindaas jeena hai mujhe !! 
                                                                                    # Ruhaani


Zindagi qurbaan ho jaye !!

Itna bhi sakht imtehan na lo,Hamari gunahon ka huzure ala,
Ke baqshish-e-amal se pehle hee, Zindagi qurbaan ho jaye !!



Saturday, July 11, 2020

Dil tanha tanhaa sa rethaa hai !!

Bhari bheed mein, Dil tanha tanhaa sa rethaa hai,
Mukammal hai,Na jane kyon khamiyana rehta hai,
Ird-gird maahaul mein,Haunsla sehmaa rehta hai,
Aaj achaanak, Zamana jaana anjana sa lagtaa hai..

Barson bharee, Ummid ki lau jagaye jee rahe the,
Na jaane kyon, Vo thikaana pal bhar sa lagtaa hai,
Aasman mein, Pankh phailaye udta mann bawnra,
Sonch nissankoch mein reh..
Haal iskaa, Pinjre mein band panchi sa lagtaa hai !!


Sunday, July 5, 2020

Tanha qafirana safar raha !!

Na aashiyana rahaa, Na vo sunaina sapnaa raha,
Na adhura kuch raha,Na khwab mukammal raha,
Agle pal ka na pata, Bade dinon ki fikr karta raha,
Na main, Naa mujh mein vo insaan ab baaki raha..

Khud ki raahon mein, Bhatakta dhundta phir raha,
Thak ke baithe mehsahr mein,Chanv sath na raha,
Na tha koi mera humdard,Ab naa main kisika raha,  
Duniya ka ajab musaafir,Tanha qafirana safar raha !!

Saturday, June 20, 2020

Jarehaana qaum parasti !!

Watan ke naam par hum nau jawan, Ab qurbaan ho gaye,
Jarehaana qaum parasti, Gairon ke jaal mein phans gaye, 
Ghar se sabse door kahin, Sunsan waadiyon mein so gaye,
Desh latdta raha, Tarafdari man-mutaavi bhedbhav mein,
Aakhri saans tak..
Inhi desh wasiyon ke khatir,Jad-o-jehad mein shahid hue !!  
   

Wednesday, June 17, 2020

Arise Awake And Stop Not Till The Goal Is Reached !!

Hataash ho jaunga, Nirash ho jaunga..Tanha sunsan galiyon mein gum jaunga,

Khud ke aansu ponch, Zakhmi dil daboch..Khub dhilasa-haunsla bhar aaunga,

Aake waapis aisi seerat jagaaunga..Sab taar taar, Naam-o-nishaan kar jaaunga !!



Monday, June 15, 2020

Jab tak chalti hai koi parwah tak nahin karta !!

Ghadi ke kaante maafiq ho gayi hai zindagi,

Raftaar mein raftaar pakad dauti ab zindagi,

Jab tak chalti hai koi parwah tak nahin karta,

Par jo rukti hai har koi beparwaah ho jata hai !!



Sunday, June 14, 2020

Na jaane chupi hui kya garaz thi !!

Na jaane chupi hui kya garaz thi, Ankahi vo kaisi khalish thi,

Naa haal-e-dil kisi ne pucha, Naa dard-e-zubaan kisine suna,

Jutaye sare ghumon ko,Raz-e-dil mein kafan kar chale gaye,

Muskuraahat ki chadar odhe, Tamaam aanuson ko pee gaye,

Sunsaan raat mein,Tamaam zillaton ko dafan kar chale gaye,

Janaaze se bhare maatham mein,Apnon ko alwidaa kar gaye !! 



Saturday, June 6, 2020

Aye Insaan...Maine kya bigaada tha?


Aye Insaan... 
Maine kya bigaada?, Apne raaste ka, Mujhe kanta kyon banaya?, 
Bejhijhak apni raah bin garaz chali jaati,Tere chanv tak na aati, 
Kyon tune laachar kar daala, Apne swaarth ka anjam bana dala, 
Jhutha niwala khilaa, Mujhe mere masum ko behaya maar dala.. 
Accha hua.. 
Vo mere kafan mein lipat gaya, Bhale us naadan ko kya pata tha, 
Baahri duniya mein intezaar karta, Insani darinda koi khadaa tha.. 

Na khudaya, Na koi aur us dard bhari peeda mein saath raha tha, 
Wajud janta ha..Dil ghut ghut, Kaise aansuon mein beh gaya tha.. 
Nihatthe bebas main,Zakhmon ko paani mein chupakar khadi thi, 
 Logon ki aah wahi mein,Kamzor apni bahon mein khud ja giri thi… 

Ye dharti ambar-chaand-sitaare, Main bhi to in sab ki haqdaar thi, 
Na jaane kyon bharosa kiya, Tere hath ka jhutha niwala khaya tha, 
Aye insaanon.. 
Kisi aur ke saath ye sulook na karna, Behuda sa beinsaaf naa karna, 
Bhalaayi na karsako,Par kabhi anjan ke sath,Bura anjam naa karna !!


Saturday, May 9, 2020

Maa se hi to ye jahan hai !!


 

Maa se ujiyara hai, Maa se ghar chaubara hai, 
Maa se sansaar hai, Maa se hi to ye jahan hai,
Maa mamta hai, Maa ho to har pal pyaara hai,
Insaaniyat ki fazeelat, Maa ki daya karuna hai,
 Maa hurf pura hai, Bin Maa bhale aur kya hai ?..
Dil karta hai,Phir maasum sa baccha ban jaun,


Maa ki bhari godi mein, Lori sun-sun so jaaun,
Aanchal ki thandi chaanv mein, Sukoon paaun,
Salahiyat ki pravarish mein, Farishta ban jaaun,
Har janam mein, Maa ki fitrat ka haqdar paaun !!

Wednesday, April 29, 2020

Aasman ka tha vo, Aasman ka ho gaya !!


Buland aawaaz,Badee aankhon se sab ko man-moh kar gaya,
Shohrat ki bulandiyon pe paunch ke,Ek tara kahin choot gaya,
Khoke aisee shaksiyat ko, Dil gehrayiyon mein zar-zar ro gaya,
Chamakta jag-mag sitara,Samay ke pannon mein ojhal ho gaya,
Aasman ka tha vo, Aasman mein kho gaya, Aasman ka ho gaya !!



Saturday, March 21, 2020

Ketan Patel !!


Saawan mein, Kaali ghata sa garajta hua,
Baaton se baarish ki tarha, Barastaa hua,
Maujudgi mein jiske, Angar dehakta hai,
Shaksiyat aisi paane, Har koi tarasta hai..

Kirdar bhar jhalakta, Joshilepan ka tadka,
Sonch shatir chal, Shatranj ka jaise mohra.
Har lamha khushnuma,  Maujudgi se apki,
Chaanv meharban hai, Pal-pal hoke aapki..

Tarakki ki daud, Na aage koi, Na peeche koi,
Paao aisi kirti, Jo na paye hai ab tak aur koi,
Jivan ke imtehan mein, Swarn tapke nikhro,
Pyar-o-ashirwad se, Aur tarakki haasil karo..

Khushiyon mein nawaaze,   Rehmaton se sanwaare,
Mannatein puri kare akha, Zindagi bhar rab-rakha !!                                                               

Friday, January 3, 2020

Khush naseeb hain vo, Jinhein Maa-Baap ka saya naseeb hai !!

Bhale kabhi kisiko, Bhulado nakardo gair-guzar kardo,
Magar maa-baap ki chaanv, Jeete dam tak naa chodna,
Ye saya musalsal zindagi-o-aakhirat tak shifanuma hai,
Jab tak ye saath naseeb ho..
Duniya ki aisi majal nahin, Ke baal tak baanka kar sake !!