Tuesday, November 30, 2010

Shole jaise badan ko dekh...

Shole jaise badan ko dekh, Ek dam se jal utha hun,
Husn tera dekh, Khubsurti ko teri dekh,
Aaj phir se, Ek jeene ki chah liye,
Tujhe paane ki abru liye, Jaag utha hun...

Hont tere, Gulab ke kanwal se bhi hain komal,
Hai jism tera, Aab-e-zamzam se bhi paak,
Bhale chand mein hai daag, Par tujhe mein nahin,
Tujhe jaisi bharpur, Aur duniya mein kahin nahin...

Jiski chamak ke aage, Suraj bhi kuch nahi,
Dekh tujhe suraj bhi, Thanda pad jaata hai,
Thandi chanv ke age, Chandni bhi kuch nahi,
Ye be mausam barish, Dekh tujhe barasti hai...

Jiski khidmat ke liye, Ped raah mein rehte hain,
Bas guzarne se tere, Phul barasne lagte hain,
Ek bar chu lene, Chanv khudki tarasti hai,
Rom rom pee jane, Barish madhoshi mein barasti hai..

Hai kyon itni khubsurat, Itni dil-kash,
Na jane kismat mein meri, Tu pehle se thi,
Ya ek ittefaq, Jo bin kisi wajeh mil gayi,
Hai ye haqeeqat, Ya khwab main na janun...

Hai apna sacha ishq, Sirf yahi jaanun,
Bas tujhe har pal ke liye, Apna manun...

Aurat dariya hai...

Aurat dariya hai...
Dekh jise dil behalta, Jee bharta nahin,
Peelo jitna bhi ise, Nafz ki pyas bujhti nahin,
Jiski khatir bahein, Tarse bin rehti nahin....

Aurat shahad hai...
Vo nashila nasha shabab hai,
Dekh jise jee lal chata hai,
Ek baar jo chakle maza koi,
Ye madira piye bin rehta nahin...
Uske nashe mein dube bin jeeta nahin,

Aurat aag hai..
Jismein jalne, Jis par mar mitne,
Har koi bekarar hai, Har koi tayya hai,
Ek baar jo sulag jaye, Ye aag dil mein,
Kahin rukti nahin, Kabhi bujhti nahin...

Aurat Noor-e-tabassum hai..
Vo khudrati karishma, Jo na kabhi pehle bani, Na banegi,
Jo na phele kabhi khili, Aur na kabhi khilegi,
Jise bhi mili mano, Bande ki taqdir khul jaye...

Aurat Hasina hai..
Jiski khubsurti par, Jawan ya budhe lut jate hain,
Kayi armaan jagakar, Pal bhar chain se jee jate hain...

Ek aurat hi hai...

Ek aurat hi hai, Jo dukh dard samajh kar,
Maa ki mamata aur pyar de sakti hai,
Jo saare ghamon ko dil mein dabakar,
Labon se har pal muskura sakti hai...

Bharat jaise ik sunehre desh mein,
Jahan stri ko devta mana jata hai,
Jiske har avtaar ko puja jata hai,
Kuch darinde ispar zulm dha rahe hain...

Kuch ayyashi ke liye, Kuch pyar ke nam,
Kuch nashe mein dhut hokar, Kuch hosh khokar,
Chand uski lachari dekh, Khilona bana rahe hain,
Takleef bhar bhar kar, Use zaleel kar rahe hain...

Har kisi TV par, Har koi channel par,
Aaj bhi har akhbar, har koi khabar,
Ye gawahi deti hai ke, Aaj ke azad desh mein bhi,
Bharat ki naari, Dar dar ke jee rahi hai...

Aye zalimon..Darindon..Haiwanon, Aye shaitanon,
Ye mat bhulo ke, Jisne tumhein paida kiya,
Pal pos bada kiya, Jisne chalna bolna sikha kar,
Aaj jo bhi ho vo banaya, Tumhein is kabil banaya,
Ek nari hi hai, Sirf ek nari ki shakti hi hai...

Bhale uska samman aadar kar, Izzat na karo,
Par kabhi lachar na karo, Use kabhi zaleel na karo...

Dekhun jidhar bhi...

Dekhun jidhar bhi tum hi nazar aati ho,
Jaaun jidhar vahan chali aati ho,
Parchai mein bhi tum hi rehti ho,
Ayine mein bhi tum hi te'har jati ho...

Chudiyon ki khanak aur payal ki jhanak,
Kanon mein, Ab bhi mere bajti rehti hai,
Kabhi tumhari awaz, Ek dam se aakar,
Soye mujhe, Jagaa chali jati hai...

Tumse kiye saari baton ko, Suna jati hai,
Un saare plaon ko, Haqeeqat sa bana jati hai,
Jab gaur karun chalti, In dhadkanon ko,
Vo bhi tumhaara naam lekar bajti rehti hain...

Zindagi ke is tanha safar mein,
Apnon ko gair kar dur bhaag raha hun,
Nazdikiyon ko duriyan bana raha hun,
Duniya se bachake nazrein jee raha hun...

Chupake dard-e-dil, Andheron mein jee raha hun,
Yahan bhi chain nahin hai, Meri tanhayi ko,
Aye zalim!! Andheron mein bhi roshni ban,
Mere sune pan ko dur kar chali jaati ho...

Diwali ki hardik...

Diwali ki hardik shubhkamnayein, Puri ho aapki sari mano kamnayein,
Bhagwan ki krupa se, Isi tarah har pal hansein muskurayein,
Iski roshne se zindagi aabad ho jaye, Saare ghum bhaag jaayein,
Aise tyohar baar baar aaye,Sabki zindagi mein sukh shanti bhar jayein !!

Tumhaari baton ko...

Tumhaari baton ko samajh na paya, Dhadkanon ko sun na paya,
Hansi ke peeche sach padh na paya, Apne husn se aakarshit kar,
Mere dil mein makaam banakar, Khayalon ko chedkar,
Tune mujhe apne kareeb kiya, Apna behad azeez kiya...

Saari duniya chod, Din mein bhi teri yadon mein sokar,
Ankhon mein tujhe basakar, Palak band karne se gum na ho jao,
Sonch aisa kayi raaton ko jagkar, Tumhaare ishq mein khoya,
Sab kuch tumhaare naam kar, Apna sab kuch kurban kiya...

Magar ye sab kuch bhul, Dilse un yadon ko mitakar,
Aaj mere pyar ko thukrakar, Apni nigaahon se dur kiya,
Ye atoot bandhan tod, Is mod pe yun chod,
Mujhe har tarah se churkar, Pagal deewana kiya...

Magar khwabon mein har pal sath reh, Jeena haram kar rakha hai,
Jise bhi dekhun tumhi nazar aati ho, Har sapne mein mil jati ho,
Jis tarah pyar mein hath diya, Usi hath se zehar de diya hota,
Kabhi ka chain ki nind soya hota, Tumse har pal ke liye dur ho,
Is zillat bhari zindagi se, Kab ka mukt ho gaya hota...

Darte the kabhi...

Darte the kabhi, Thokron se aksar,
Darte the kabhi, Takleefon ko sonchkar,
Khaye itne thokar, Mano jaise pagal hokar,
Ke ab thokar khana, Adat si ban gayi hai...

Kaan'pte the tanhai se, Par ab apnon mein reh,
Sab ke beech hokar bhi, Chup reh tanha jeena,
Naam se gumnaam hona, Adat si ban gayi hai...