Thursday, July 9, 2009

Farmaaish...

Ugte hue suraj mein tujhe dekha hai,
Andheri raaton ke chiraagon mein tujhe dhoondha hai,
Meri raaton ke khwaabon mein tu aaya hai,
Apni maa ki god mein tujhe paaya hai,
Tere ehsaanon se bhari padi hai meri ye zindagi,
Teri khushoo-Khuzoo se saji hai ye zindagi,
Teri fitrat ka kehar mujh par sadaa rahe,
Tera Rehmo Karam isi tarah banaa rahe…

Jee rahe hain log yahaan apni jaddo jehad ki ladaai mein,
Badhe jaa rahe hain apne aashiyaane ki banaai mein,
Apnon ko apnon ki khairo khabar nahin yahaan,
Dilon mein dehshat, Aankhon mein veham yahaan,
Gunaahon ke bhanwandar mein kuch is tarah phanse,
Ke nikalna chahe phir bhi nikal na sake,
Na jaane kya paana hai, kya hai khona,
Ab aur kab tak in saanson ka chalna,
Chaar din jeena, phir ek din khuda ke ghar jaana…

Mazhab ke naam par katl ho rahe hain yahaan,
Na karsakte hain is dard-e-dastaan ko koi bayaan,
Jidhar dekho udhar bamb lagaaye jaa rahe hain,
Diwali ke pathaakon ki tarah jalaaye jaa rahe hain,
Chain ki zindagi bhala yahaan koi jeeta hai,
Apnon ko khokar ghut ghutkar marta hai…

Ab aur ye sab in aankhon se dekha nahin jaata,
Ab aur ye zulm, yahaan kisi se sahaa nahin jaata,
Agar ye sach hai ke teri banaai ye khudrat hai,
Phir ise bachaane mein hi teri fitrat hai,
Aye mere rab bas itni meharabaani karde,
Mazhab ke naam par jaan nikaalne waalon ko nast-e-naabood karde,
Dilon mein pyaar bhar kar inke beech doori kam karde,
Yahaan rahmaton ke falsafe khadaa kar de,

Likh rahaa hoon teri mehfil mein main apni ye gazal,
Chahtaa hoon ise sunkar hum sab par ho jaaye teri rahmaton ka fazal…!

Kya Dost Milaa...

Naaz Karta hoon, jo KHUDA se, Aap jaisa accha Dost milaa,

LAKH HASRATON ke baad bhi, jo kisiko NA Mila...

MANZIL ko Paane ka JAZBA, DIL mein Jagaa lena,

ZINDAGI ke kHWAABON ko, Apni AASHA ki Kirnon se Sajaa lena,

SITAARON ko choone ke Chaah, DIL mein sadaa rakhna,

Milegi Meri MANZIL mujhe, ye IRAADA Banaaye rakhna...

Is DOSTI ki dor ko, Kabhi TOOTNE-MAT Dena,

Zindagi ke aakhri DAM tak, ise PERFECT Rakhna,

Kat Jaaye KHUSHIYON mein, Zindagi ka ye KARWAN,

Ho Jaaye KHUDRAT ka RAHAM, tum par MEHARBAAN...

SALAAMAT rakhe tumhein har PAL mera KHUDA,

Hai usse meri yahi ILTEJAA,Kartaa hoon MAIN ye SACCHI dua...!

Kyon ye Sazaa?..

Farishte ki tarah aakar zindagi mein chagaye,
Apni kaifiyat ka jadoo ham par chalaa gaye,
Khushnuma fitrat se kayi khushiyan de gaye,
Badle mein hamare saare gham saath le gaye,
Kis bhool ki sazaa di humein..
Aakar hansaya phir khoob rulakar chale gaye !!

Meri Dua...

Apne donon haaton se aap ke liye dua kiya karte hain,

Apni saari khushiyan aapke naam kiya karte hain,

Aap jaise behtareen dost ko milaane ke liye khuda ka shukriya ada karte hain,

Aapke jazbe, kabiliyat, zameer aur usulon ko salaam karte hain,

Mil jaaye aap ko apni saari khushiyan har pal rab se yahi guftgu karte hain,

Sab se unchi hai aap se hamaari ye dosti,

Chalti rahe sadaa dosti ki hamaari kashti,

Aapse bichadne ka gham hamein bahut sataayega,

Maut ke dar se bhi zyaada rulaayega...!

Janmdin ka Ullaas...

Jeevan mein Subah to kayi aati hain,

Par Aaj ki jaisi koi Khaas nahin,

Saal ke teen sau painsat Dinon mein,

Janmdin jaisa Ullas nahin,

Hai Khuda se ek yahi Guzarish,

Poori karde vo tumhari har Sifarish,

Barsaaye aisi Khushiyon ki Baarish,

Bheeg kar jisme poori ho jaaye tumhaari har Khwaish,

Mukammal ho tumhaare saare Sapne,

Jo hain tumhaare Apne,

Khuda ka kehar tum par Nazaakat ho,

Aye Mere Dost!! Ye Saalgira tum ko Mubaarak ho....!

Aap ki Adaa...

Sadaa rakhte hain honton par phoonlon se bhari Muskuraahatein,

Barsaate hain labon se teeron ki tarah Baatein,

Hai inki apni Nihaayatein,

Fidaa hain kayi inpar jaankar inki Nazaakatein...

Hai kuch aisi inki Aadatein,

Natkhat se bhari hain inki Harkatein,

Buri kardi hai apni baaton se kayiyon ki Haalatein,

Jis par karte hain phir khud ki Shikaayatein....

Aage chalkar zindagi mein karna chaahte hain Ganeematein,

Jiske liye kar rahe khoob saari Kasratein,

Bahle le lo kitni hi Karvatein,

Magar choona kaamiyaabi ki saari Manzilein...

Padhte hain aap ke liye roz kayi Aayatein,

Jis se na aaye tum par kabhi koi Museebatein,

Aapko har amal mein mile Barkatein,

Kehti hain har pal meri Aahatein....

Ya khuda poori karde tumhaari saari Hasratein...

Bharde aapki zindagi mein hazaaron Fazeelatein,

Karte hain aap jinse Chaahatein,

Unse mukammal ho jaaye appki Mohabbatein...

Aap ka Janmdin Jo Hua...

Janaab aaj aapka janmdin jo hua,
Adhuri na rahe aap ki koi dua,
Poori ho aapki har iccha,
Saada labon par muskuraahat hai anokhi ada,
Hanste-Hansaate banaaye rakhna, ise isi tarha sadaa....

Aapke saath bitaaye vo sunehre lamhe na jaane kab guzar gaye,
Jo vaapas laut kar fir na aaye,
Reh jaayengi aap ki baatein yaadein hamare dilon mein sada,
Aur karti rahengi aane waale lamhon ko taaza,
Tal jaaye aap par se har koi haya....

Dil karta hai aapke sang hanse khilkhilaayein,
Khushi ke chaar pal guzaare,
Aur zindagi ke saare gham utaarein,
Magar mumkin nahin ye, hum jaante hain,
Jo aap nahin hain paas hamaare...

Bhale door ho tum nigaahon se,
Par dil ke kareeb ho iraadon se,
Dedo humein ik aisi sazaa,
Jisse bandha rahe ye dosti ka bandhan sadaa,
Aur ho na jaaye kabhi hum juda...

Umr ke saath hamaare dil mein aap ke liye pyaar badhtaa rahe,
Hamaari yaari ka karwan sadaa chaltaa rahe...