Zikr tera zehan mein qaid,Khayaal be-khayaal ho gaya,
Nigaahein mudke jo dekhin, Dil-e-haal behaal ho gaya,
Jo kal tak aabru mein tha, Teri jhalak se nadan ho gaya,
Jidhar bhi palat-ta hoon, Har simt tera aks thehar gaya..
Un reshmi zulfon ka, Baar-baar tere labon pe bikharnaa,
Naazuk ungliyon se, Unhein balon ke darmiyan sametna,
Manzar-e-kaifiyat kaa, Chashm-e-deed gawaah ban gaya,
Pal bhar mein, Hazaron khwahishon ka mulazim ho gaya!

No comments:
Post a Comment