Wednesday, September 9, 2009

Bachpan ke vo kal...

Aapke sang bitaaye vo pal haseen the,

Bachpan ke vo kal sach much bade haseen the,

Suraj ke pehli kiran se lekar chanda ki chandni tak,

Aap ke saath rehkar hum khush hote the...


Na jaane waqt kitni raftaar se guzar jaata tha,

Ab aapke bin waqt hi nahin guzarta,

Mano ya na mano vo tehar sa gaya hai,

Baarish ke mausam mein badal ki tarah ruk sa gaya hai...


Itne arse baad tumse milkar behad khushi mili hai,

Khoyi hui roshni khil uthi hai,

Samajh baithe the ke kho baithe hain,

Hum tumhein zindagi ki raahon mein,

Ek taara apne chand ajeez taaron mein...


Par kuch der hi sahi, Badi muddat ke baad mile ho,

Gulshan mein gulab bankar khile ho,

Ab jo mile phir kahin gum na ho jaana,

Hamar dil tod kar kahin na jana...


Ab jo tuta to phir judne ke liye,

Usmein vo yaakeen baaki nahin,

Phir tumhein dhoonde ne ke liye,

Hamari aankhon mein vo aas baaki nahin...

Asha Mukammal hogi...

Aapki aasha vakyi puri hogi,
Ek na ek din kamiyabi zaroor hasil hogi,
Bas karo nek irada dil se,
Aur phir saccha amal us pe,
Upar wala har waqt hamein dekh raha hai,
Har pal hamare dil ki baat sun raha hai,
Uske darbar mein jab hamare arzi ki peshi ho,
Rab use har kism se kubul karega,
Hamari farman puri karega,
Kyon ki mera maan na hai,
Jo dua dil se maangi jaati hai,
Vo beshak mukammal hoti hai...

Chand Naghme...

Apnon ne itna dard diya,
Ke marham lagaate lagaate thak gaye,
Unki khaatir itna roya,
Ke aansuon ke saath saare dard beh gaye,
Ab agar rona bhi chahun to aansun baaki nahin,
Dil mein mere vo dard baaki nahin...
------------
Raat bhar bhatakte rahe dar-ba-dar,
Par kahin tumhara thikaana na mila,
Sote the chain se jiski yaadon ke sahare,
Aaj vo sahara to dur, Uska ik ishaara bhi na mila...
------------
Maut aisi aaye ke marne ka koi gham na ho,
Odhne par kafan ki aan badhe,
Dafnaane par mazaar ki shaan badhe...
------------
Hamari dua unke liye dawa kar gayi,
Ye hawa na jane kya paigam de gayi,
Unki yaad aayi aur aisa laga jaise,
Vo hamare paas aate aate anjaan bankar guzar gayi...

Aur nahin jeena...

Apnon ne ghum dekar khoob sata rakha hai,

Apni yaad mein dil par bojh bana rakha hai,

Dil ka alam kise bataayein,

Jise bataana chahein vahi hamse khafa hai...


Mujhe aur nahin jeena is duniya mein,

Ye iraada bana rakha hai,

Ab rehta hai har pal bas maut ka intezaar,

Tayyari se janaze mein kafan chupa rakha hai...

Mera Bharat Mahan...

Mere hanste khelte bharat ko yun na ujado,

Apne bure khayalon aur gande iradon se,

Yahan vahan bamb lagakar aur goli chalakar,

Mere bharat wasiyon ko maut ke ghat mat utaro,

Aur unke ghar walon ko zindagi bhar ke gham mein mat utaro,

Insan ho insaniyat se jiyo haiwaniyat se nahi...

Rukhsat aisi karo,

Ke log tumhein tumhare karmon se yaad rakh sakein,

Apne dil mein tumhein basa sakein,

Tumhari yad mein apni palkein bhigo sakein,

Rukhsat ke bad jab khuda ke ghar mein peshi hogi,

Bhale use apne karmon se khush na karsako,

Magar dusht karmon se dukhi to mat karo...

Mere Apne...

Jo the kal mere apne,
Aaj reh gaye bankar meri aankhon mein sapne,
Chand chale gaye khuda ke ghar basne,
Rehgaye bankar taare aasmaane hind mein...

Chand rooth gaye baaton aur aadaton se apne,
Chand poore karne chale sapne apne,
Dil mein aas lagaa ke baithe hain,
Ke vo sab phir milenge isi jeevan safar mein...

Par mere iraade lage hain ab kuch thakne,
Na jaane kab poore honge unse milne ke ye sapne,
Lage hain hum apne khayaalon ko ab likhne,
Taaki bhool na jaayein unhein is beechke safar mein...

YSR Rocked !!!

Sabke jigar ka tukda, Sabke jeevan ka mukhda,
Ek dam se toot gaya, Na jaane kahaan bikharkar kho gaya,
Aasman mein taara bankar, Itni door chala gaya,
Jahaan koi pahunch nahin sakta, Jise koi choo nahin sakta...

Aapne andhra mein, Pure congrees ki kaman sambhaali,
Badi muddat ke baad, Lakh koshishon ke baad,
Paada yatra ke zariye, Jageh jageh ghoom kar,
Apna paseena bahakar, Aapne babu ko gaddi se utaara,
Phir apne CM banne ke sapne ko sanwaara...

Lagaatar dusri baar, Daud jab badi hi mushkil thi,
Tab bhi himmat na haarkar, Sonia ko bharosa jataakar,
Kayi Kayi badi hanstiyon ko chunaav mein maat diya,
Apne hunar se, Un sabko ko shikast kiya,
Aur ye Saabit kar diya ke, Himmat hai to sab kuch hai...

Aam aadmi bankar, Logon mein rehkar,
Hardam harpal, Unke liye apna jeevan jeekar,
Unki baat samajh kar, Unki takleef sunkar,
Ehsaan ka zariya bankar, Kayiyon ki zindagi mein roshni bharkar,
Sabke dil mein apna aashiyaan bana baithe,
Aur ek din unhi ke liye apni jaan gawaan baithe...

Aapki Himmat, Nidarta, Zindadili, Hansi, Kabiliyat, Sonch,
Aapka Zameer, Josh, Jazaba, saadapan, Bholapan, Nek dil,
Sabko tahe dil se salaam karte hain,
Aap sabke dil mein chaagaye, Pehchaan bana gaye,
Jaate jaate, Apni muskuraahat se bhari chaap chod gaye...

Rajeev palle baata ke zariye, Har gaaun ghooma,
Indiramma illu dwara, Sab ko gharon mein basaaya,
Rendu rupayila biyyam dekar, Har bhooke ko khaana khilaaya,
Runa maafi karke, Gareebon aur lachaaron ko mukt kiya,
Pavala vaddi se, Kam pratishat mein karz diya...

Uchita karentu dekar, Kisaanon ko roshan kiya,
Rajeev arogya sree dwara kayiyon ko jeevan daan diya,
Bc scholarship; 5% reservation se, Vidyaarthiyon ko khush kiya,
Jalayagnam se andhrapradesh mein khushi ki lehar bahaai,
Jo kaha vo kiya, Aur jo kiya sach kiya...

Ab kaun gareeb logon ke aansun ponchkar, Unka dard baantega,
Kaun hai jo unhein samjhkar, Haunsle ka zariya banega,
Kaun unke saath rehkar, Apnepan ka ehsaas dega,
Kaun andhera hatakar, Unki zindagiyon mein noor bharega...

Bhaarat maan ne, Ek mahaan neta kho diya hai,
Khwaab mein bhi soncha na tha, Ke itni jaldi Khyaati paayenge,
Aur phir usi jashn mein guzar jaayenge,
Idupulapaya mein apna aashiyaan banakar,
Hamesha ke liye vahin jaakar bas gaye,
Sabka gham hatakar, Chain ki neend so gaye...


Isi tarah sabke dil mein jug jug jiyo hazaron saal,
Aap jaise acche aadmi aur neta ko hum dekh nahin payenge,
Sadaa labon par aapki hansi hum kabhi bhool nahin payenge,
Bhale kitne saal guzar jaayein, aap jaisa CM hum nahin payenge...