Sunday, September 5, 2021

Aksar tanhaiyon mein, Khud ko dhundha karta hun !!


 


Aksar tanhaiyon mein,Khud ko dhundha karta hun,

Bichde anmol chuninda ratan kayi, Khoja karta hun..

Mere hunar kee badaulat, Apaar nek diggaj gurujan,

Jinse 'main bana hun',Unka shirsh naman karta hun,

Unke margdarshan,Unki shiksha se jo ban paya hun, 

Usse ehtimaam karta hun, Unka ehtiraam karta hun !!