Saturday, March 19, 2022

Lamhe bhar ki ronakh !

 


Itnaa bhi faqar naa kar, Apne wajood ka aye ghalib,

Lamhe bhar ki ronakh mein, Mom sa pighal jayega !


Bikhra sa hai ye haunsla, Aur Tuta hua sa Aashiyaan


Aaj musalsal yahan...Na jaane honge kal kab kahan,

Aahista guzarta hai...In thamti saanson ka kaarwan,

Chaaron aur chaya hai..Asamanjas se bhara dhuaan, 

Apni sarzameen-e-mulk mein..Dhudnte apna jahaan..


Dil mein lagaa rehtaa hai..Ab har agle pal ka gumaan,

Bikhra sa hai ye haunslaa...Aur Tuta sa lage Aashiyaan !!

 

#endwar  #ukrainewar                              RUHAANI...

Monday, March 7, 2022

Ye lutfon bhara khel, Chand lamhon bhar ka hai !!

 Jis par guzartee hai, Vahee janta hai,

Tasalliyon se ye dil, Kahan manta hai,

Momim ki reh guzar, Sirf-o-sirf khuda janta hai,

Pehar-dar-pehar khabar bhi to, Vahee rakhta hai,

Bhale tasalliyon ka sailaab, Jitna bhi ubharta hai,

Ye lutfon bhara khel to,Chand lamhe bhar ka hai !!



Hazaron khwahishon se bhare armaan, Kamaskam nahi hote !

Apne apne nahi hote,Dekhe musalsal khwab mukammal nahi hote..

Zara aahista buno daman gulshan ka..

Hazaron khwahishon se bhare armaan,Kabhi kamaskam nahi hote !



Saturday, March 5, 2022

Kya tareef karun tere shabab-e-husn ki !!



Kyaa tareef karoon tere shabab-e-husn ki, 

Kin lafzon mein bayan karun mehakte jism ki,

Khil uth-taa hai samaa jahan se guzarti ho, 

Meharban vo har lamha jismein tum rehti ho !!

Kehkashan sa tera chehra !!

Kehkashan sa tera chehra, Mehka mehka gulshan tera sehra,

Kaise khud ko baandhe rakhun, Dil kartaa hai bas tera pehra !!



Khud se rootha hun, Khudi se bichda hun !!

Khud se rootha hun, Khudi se bichda hun, 

Khud mein tootke, Khudi mein bikhra hun, 

Kaun hun, Aks kya hai, Ye main naa janoon,

Guzarte palon mein, Musalsal dhuan sa hun !!



Naa jaage naa soye kartaa hai shukar tera !!

Dil abb kartaa hai har pal zikr teraa, 
Naa jaage naa soye kartaa hai shukar tera,
  Pal-pal saansein ubharti banke itr tera, 
Nas-nas mein yun samaya hai jo ishq tera !!