Na jane kaisa afsaana jud gaya aankhon ka, Bas tujhe niharne ka tarana mil gaya,
Sau-dafaa nazarein hatayi, Par har dafaa nazar churaane ka naya bahana mil gaya,
Khalish ko talab jo lagi teri kashish ki, Pur-asrar nigahon mein thikaana mil gaya,
Palkein pherne ka jo yun silsila shuru hua, Na din na raat na ye kissa khatam hua,
Deedar-e-aahat se be-qaraar in sanson ko, Siwaaye zikr ke naa kuch aur fikr raha !

No comments:
Post a Comment