Wednesday, December 16, 2015

In guzarte lamhon mein dhal jaane do !!

In guzarte lamhon mein dhal jane do,
Ab askar girte hue sambhal jaane do,
Galtiyan bhale hui jane anjane mein,
Galtiyon se hi sahee sudhar jaane do..

Har mod har manzar hai naya yahaan,
Har pal har lamhaa kab rukta yahaan,
Har imethan se muskurakar milne do,
Pal pal ko ab pyaar se gale lagane do !!

Tuesday, December 15, 2015

Kar zindagi ko aur rangeen, Khul ke khel holi !!

Kar zindagi ko aur rangeen, Khul ke khel holi..
Dhulde ghum gulal se, Khushi se kar hum joli..
Rangja rang mein iske, Bhang mein bhar holi..
Khel aise, Jaise phir kabhi laut ke na aye holi !!

Vo atpati baatein, Vo chatpati shararat !!

Vo atpati baatein, Vo chatpati shararat,
Vo chulbuli harkatein, Pal pal ki hararat,
Gudgudi chutkule,Vo musmusayi muskan,
Dil mein dabe raaz, Hai jinka humein naaz,
Nahin bhoolenge, Vo bindaas din bachpan ke,
Rahe ga naaz humein, Kal ke 'KVian' hone pe !!

Nazar meri chahe shohbat,Nazar se teri !!

Nazar meri chahe shohbat,Nazar se teri..
Baandhe ik resham si dor, Falak se teri..
Dil talabgaar, Pal pal badhti talab se teri..
Hai malhaar, Khoke magan mein ye teri..
Iski har khwaish,Har sifat bhi,Hai ab teri !!

Jab bhi miltee hai, Ik anjan paheli si lagti hai !!

Jab bhi miltee hai, Ik anjan paheli si lagti hai,
Kabhi suljhi hui, To kabhi ansuljhi si lagti hai,
Kabhi jaani jaani, Kabhi kisi anjan si lagti hai,
Aye khudaya..Ye teri fitrat hai, Yaa kuch aur..

Zindagi ab..
Har pal har zarre mein, Rang badalti si lagti hai,
Har pal har zarre mein, Rang badalti si lagti hai !!

Though we all r different but one & the same!!

Ek ankahee si daastaan ko, Dil mein liye..
Dabe se razon ko, Bematlab bunte chale..
Khwabon mein,Sari qaainat samet chale..
Khuda ki banayi nek makhlooq..
Duniya mein,Apna maqaam banaa chale..
Mazhab matlab kayi, Par ek vahi insaan..
Harek ki apni pehchan, Nek apna wajud..
Kayee ansuljhe raazon aur paheliyon se..
Ghiree hai, Ye ajubee si duniya tamaam !!

Sookhe hue kuyein se, Paanii seenchtaa hai !!

Sookhe hue kuyein se, Paanii seenchtaa hai,
Kanton bhare bagiche mein,Phool chunta hai,
Duniya kii ranjishon mein. Is tarah kho gaya hai insan,
Ke ab din ke ujale mein, Khud ki parchai dhoondta hai,
Din ke ujaale mein ab, Khud kii parchaai dhoondta hai !!

Zehen ke khayal, Guzarte har lamhe mein tu !!

Zehen ke khayal, Guzarte har lamhe mein tu,
Hai ibadaton mein tu, Meri raahaton mein tu,
Dil ki har khwahish, Har aarzu-arman mein tu,
Hai tujhse aabaad, Tujhse roshan ye zindagi,
Iska aagaaz bhi tu, Hai ab iska anjaam bhi tu !!!

Waqt guzar jaata hai, Yaadon ko saath chode !!

Waqt guzar jaata hai, Yaadon ko saath chode..
Tatolta hun un palon ko tanha..
Lekar bebas aankhon mein, Ashkon ko thode !!

Dedicated to all Parents. You fulfill meanings of care, share & life !!

Apnon ki zarurton ko muhaiya karate, Khud ki zarurat ka ehsas na hua..
Unke dhadkanon ki itnee fikar thi, Ke khud kii dhadkan ka pata na chala..
Dil kosta hai har pal har ghadi is baat se, Main hanskar ye keh deta hun..
Apne liye jeena khudgarzi hai, Waste apnon ke unki fikr mein jeena zindagi hai..
Apne liye jeena khudgarzi hai, Waste apnon ke unki fikr mein jeena zindagi hai !!

'Peace of mind' at times, helps u find ur 'Inner-self' !!

Tanhaai aksar puchti hai, Tanhaa se kyon lagte ho?..
Khamoshi kehti hai, Bhala khamosh kyon rehte ho?..
Hanskar kehta hun,Duniya ke shor bhare alam mein,
Ab tanhaai se aksar, Dil ko tasalli si milti hai,
Khamoshi mein, Mujhe apni khudai milti hai !!

New day -> Ray of hope & Lot more opportunities!!

Raat ke andheron mein, Cheerti hui roshni mujhse kehti hai,
Aane wali hai ik aur nayee subah, Muskura laga tu ise gale,
Bhar chain ki sanesein, Chunle kuch masnoon khwab chunle,
Badi haseen hai zindagi, Manzil ki taraf kuch aur udaan bharle!!

Kasbon mein,Kyon bante hain log iss tarhaa?...

Kasbon mein,Kyon bante hain log iss tarhaa?..,
Dilon mein nafrat, Bhare hain kyon is tarhaa?..,
Kyon koi insaan ko,Insaan sa nahin dekhtaa?..,
Apni pehchan khoke,Ik nayi pehchan chunta?..,
Harek ke ragon mein, Vahi laal khoon behtaa..,
Har koi, Usee dhoop Usii chaanv mein paltaa..

Fir kyon?..
Mazhabee pardon mein, Log chupe hain is tarhaa?..,
Un andheri galiyon mein, Chal chale hain is tarhaa?..