Saturday, May 7, 2022

మరో జన్మంటూ ఉంటే !!


 

Maa sansaar hai !!


Maa se ujiyara hai, Maa se ye ghar chaubara hai, 

Maa sansaar hai, Maa se hi to sunehraa jahan hai,

Bin Maa ke,Pal bhar nahin chain se guzaaraa hai,

Aanchal ki thandi chanv,Sukun pane ka zariya hai,

Maa mamta hai, Maa ho to har pal pyar bhara hai..


Aye Khudaya...

Dil karta hai, Phir masoom sa baccha ban jaaun,

Maa ki bhari godi mein, Lori sunte hue so jaaun,

Salaahiyat ki pravarish mein, Farishata ban jaun,

Agle janam mein,Usiki fitrat ka haqdar ban paun !

Bin maange itna kuch nasib hua hai!!

 

Khuda ka fazl-e-shukr hua hai, Aap jaisa Bhai ka ba zindagi sohbat hua hai,

Mange bhala aur kya ehsan-e-khuda se, Jo bin mange itna kuch nasib hua hai!!

Tuesday, May 3, 2022

Maahe Ramadan Mubarak ho !!

 

Kiya har amal nek ho, Har ibaadat mukammal ho,

Khuda ki bargah mein, Masnun duayein qubul ho,

Maahe Ramadan ka, Roshan chaand Mubarak ho, 

Alvida Mahe Ramdan, Agle maah phir naseeb ho !!

Tawaif se Muhabbat hui hai !!

Ek tawaif se, Ishq-e-Muhabbat hui hai,

Noor-e-mujassam, Dil pe cha gaye hai, 

Uske itr-e-jism kee mehak se badhkar,

Zaalim-e-katil ada, Jee lubha gayi hai !!

Tere hijaabon mein khoke !!



Beshumar khayalon mein khoke, Bekhayal sa rehta hun,

Tumhaare jawabon mein ab, Kiye sawaal dhoondta hun,

Mile nasib mein dard bhare ansu,Jee bhar ke peeta hun,

Khwabon bhare mehshar mein,Apna khwab sanjota hun..


Tere hijaabon mein khoke,Ik jhalak paane ko tarasta hun, 

Tumhari di hui har sifat ko,Dil-e-qubul mehfuz karta hun,

Khaamosh labon pe, Hansee ki wajeh banna chaahta hun,

Jiye dum tak,Sirf-o-sirf tumhara manke jeeta chahta hun !!


Sunday, May 1, 2022

Baba..Ghar laut aaiye, Chaukhat ka darwaza khat khataiye !!



Khuda mere...Baba ko..Sahee salamat rakhna, 

Jis jahan bhi ho, Meri baat untak pahunchana..


Aas mein aankhein tarsi, Paane ki chaah mein har raah bhatki, 

Jaane kis jahaan ke hoke, Pal bhar mein ojhal ho gaye ho aap ?..

Zindagi bhar ka wasta dekar, Anchahe se rukhsat kar gaye aap ?..

Baba..Kidhar gaye aap, Apni saugaat se kyon mukar gaye ho aap ?..


Bin apake lamha nahin guzarta, Siwaye apke ek pal nahin ubharta,

Hath chode akeli ho gayi hun, Aapki sohbat pane taras rahi hun,

Har dhadakti saans aapka naam leti, Zindagi ab aapki misaal deti..


Bitaye hue pal bhula na paayenge, Aapki bharpayi na kar payenge,

Ye nehte aansu kaise rok payenge, Dard ke zakhm mita na payenge..

Baba..Aaj ghar laut aaiye, Chaukhat ka darwaza phir khat khataiye(2),

Laadu ka naam pyar se pukariye,Komal hath maathe par sanwariye,

Pal bhar ke liye hi sahee,Apni musmusaahat se haqeeqat ban jaaiye(2) !!


Khuda Ki Kainat Samaayi !!


Teri khubsurti hai kuch is tarah dil ko lubhaayi,

Khuda ki kainat mukammal tujhimein samaayi,

Tujhse milke door hoti hai dil ki sooni tanhaayi,

Pilake gulabi labon se janmon ki pyaas bujhayi !!