Wednesday, December 11, 2019

Khushiyon mein, Zindagi sanwarti hai




Kitne khush-naseeb hain vo..Jin par zeenat barastee hai,
Baa umar khuda ki khushiyon mein...Zindagi sanwarti hai !!

Wednesday, November 27, 2019

Taqdeer saamne khadi nazar aaye !!


Mashaqqat karo itni, Ke kabhi dua ka iraada labon pe na aaye,
Mashaqqat karo itni, Ke kabhi dua ka iraada labon pe na aaye,
Taqdeer bhi khud hi chalke, Tumhare samne khadi nazar aaye,
Taqdeer bhi khud hi chalke, Tumhare samne khadi nazar aaye !!

Wednesday, November 13, 2019

Chut gaya bachpana !!

Chut gaya bachpana, Shohrat ki bheed mein,
Ghirke barsi umar, Hoke sufaid zamane mein..

Dil se naadan bacche ko, Aaj phir hansane do,
Aahista labon se, Masnoon fariyaad jagane do,
Guzishta palon ki sair mein, Do pal nahane do,
Chulbuli-Natkhati harkaton mein, Rawaane do..

Do pal hi sahi, Aaj phir se baccha ban jane do,
Do pal hi sahi, Aaj phir se baccha ban jane do !! # Ruhaani



Saturday, November 9, 2019

Tu jahan ka ik maatr hissa !!



Chand lamhon ki kahaani, Naa zikre zubani hai,
Rab dil mein basta hai, Na mandir-masjid mein,
Inse na maqaam, Naa to pehchan zahir hoti hai,
Zikr-o-Ibadat amal-nama, Dil mein mehfuz hai..

Tu jahan ka ik maatr hissa, Ye jahaan tera nahin,
Pal bhar ka basera, Chand lamhon kaa safar hai,
Aziz-o-Azmat Insaniyat hai, Insani pehchan hai,
Vahi adaaygi hai, Uski fazilat mein hi rihaayi hai !!

Thursday, November 7, 2019

Aakhirat ka maqaam !!




Masjid gaye waqt,Kabristan ka rukh karta hun,
Tamam marhuminon ko, Salam pahuncha kar,
Apne aakhirat ka maqaam, Dhoond aata hoon,
Faqr-Kufr-Ghurur ko, Mitti mein paak dhulke,
Wapsi mein bana imaan,  Jholi bhar laata hun !!

Sunday, November 3, 2019

Aapke aangan ka phool !!





Maa…O Pyari Maa..
Apne angan ka phul khilakar, Os ki chaadar mein sajaana,
Masnun raaton mein aakar,Yaad se vo surmayi lori sunana,
Thandi aanchal mein sar chupaye, Gair nazron se bachana,
Mamta kaa Taj banakar,Uski adaaygi ka karzdaar banana..


Ghar se nikalte waqt, Roobaru hanste do kadam nibhaana,
Ungli pakad saath chal, Jeevan ka maarg-darshan karana,
Apni nek parvarish mein, Kabil-o-tareef insaan taraashna,
Har janam maa ban,Mamta ka do-jahan ko path padhana !!

                                 

Friday, November 1, 2019

Laathi paal li hoti bhala !!



Laathi paal li hoti bhala, Budhape ka sahara to banti, 
Aulad ke bharose, Zindagani bhar mannatein sawarli, 
Jab aain waqt aaya..
Sahara to door ki baat, Dhilase se bhi parhez ho gaye, 
Ghar mein deemak mane, Gair-guzar anjaan kar gaye !!

Saturday, October 26, 2019

Daastan bayaan karte nahin !!

Harkat-o-ishare karte, Daastan bayan karte nahin,
Dil mein takleef hogi, Aankh bin barse rehte nahin,
Din maayus guzarta hai, Aasmaan-ye-guroob mein,
Raat doob jaati hai, Tanhai se bhare sannate mein..

Jawaani thi pal bhar ki, Simat gayee yun palkon pe,
Budhapa guzarta nahin, Lagta hai ye jahan bhar ka !! # Ruhaani


Saturday, October 19, 2019

Nigahon ne aks ko chuaa tha !!


Aye husn-e-zaalim,Aye jaam-e-tabassum,
Kis adaa se,Nigaahon ne aks ko chua tha,
Kya bataun,Be haal-e-dil ka kya hua tha,
Dhadkaa na pehle, Bedhadak dhadka tha,
Katra-katraa nafs ne husn-e-pak piya tha,
Janmon bhar ka chain-o-sukoon mila tha,
Peet peete doob gaya tere shababon mein, 
Tujhi mein khoke,Tera hoke reh gaya tha,
Tujh mein khoke,Tera banke reh gaya tha !!



Sunday, October 13, 2019

Akela aaya tha, Akela hi laut jaunga !!

Khuda ka tarasha kilona,Ek din toot bikhar jaunga,
Jalti hui mom sa, Aahista waqt mein pighal jaunga,
Duniya ke jhamele mein,Kisi din tamam mit jaunga…

Do pal ka dhilasa, Sath hone ka jhuta wasta na do,
Akela tha, hun..Khule asmaan sa akela reh jaaunga,
Na koi amaanat, Na parchai tak ko saath le jaunga…

Khali jholi bharne aya,Bhari jholi khali kar jaaunga,
Chand duaayein, Maa-Baap ka karz sath le jaunga..
Jo kamaaya-jamaya-ganwaya, Chod chale jaaunga…

Aansu khud ke ponch,Zakhm khake phir gir uthke,
Hunar ke bazaar mein, Khud ko neelam kar jaunga…
Ek anokhaa musafir, Safar mukammal kar jaaunga…

Na jane kahan se aya,Kis lamhe sang guzar jaunga,
Na kisika tha, Na kisika hun, Na kisika ban paunga,
Akela aaya duniya mein,Akela yahan se laut jaunga,
Akela yahan se laut jaunga,Khaali haath hi jaaunga !!




Dil To Lalcha Hai Jee !!

Kisike rok-tok se, Bhale dil kabhi jhuka hai,
Dariya-e-Ishq sailab,Aashiq ko le duba hai,
4 din zindagi mein, Lamhe bhar khushi hai,
Wafai-Dhokha Razamandi, Sab raazi karlo,
Husn-e-mehfil mein,Tamam razdar chunlo,
Aarzu mukammal,Barish-e-lutf mein bhigalo,
Har khwahish har tamanna, Jee bhar lutaalo,
Dil to lalcha hai jee, Nadan ek baccha hai jee,
Dil baccha hai jee, Sada se ye lalchaa hai jee.!!



Friday, October 4, 2019

Salah Mashwara !!

Har rawayye ko apne hi nazariyse se dekha mat kijiye,
Dusron ke salaah-mashware ko vicharon se tola kijiye,
Warna…Is tarha andekha kar diye jaoge..

Ke khud ke the, khud ke ho, Bas khudee ke reh jaoge !!

Saturday, September 28, 2019

Friday, May 17, 2019

Mashriq se maghrib tak ka safar !!


Mashriq se maghrib tak ke safar ka pata nahin chalta
Mehboob ki muhabbat mein faasla lamhe bhar kat ta,
Aakhirat ki talab itnee,Bhuk-pyaas ka ehsas nahin rehta,
Ye badhi hi maqhsus ibadadt hai, Bande ki roze halat ka,
Siwaye khuda ke, Doosri aankh tak ko pata nahin chalta,
Duawon ki khubuliyat ka,Momin ta ko khabar nahin rehta !!

Thursday, April 18, 2019

Zindagi ko samajhne mein, Zindgaani guzaar di !!

Zindagi ko samajhne mein, Zindgaani guzaar di,
Taqdeer ke bharose, Saari koshishein sawaar li,
Shiddat ki aad mein,Har Tamanna falak se utarli..
Khud pe haunsla tuta, Parchai tak ka sath chuta,
Chah ke kagaar pe, Bhatki hui khadi hai zindagi..
Vo irade kya the?.,Ab kya se kyaa ho gaye hain?..
Kafila-e-safar mein, Jaane kahan kho gaye hain?..
Manzil ki khoj jaari hai, Kamiyabi se jang yaari hai,
Momin ki hod pyari hai, Khuda ka ehsan bhari hai !!