Tuesday, September 29, 2026

Suhaana hai husn tera


Sone sa suhaana hai husn tera, Tabhi toh deewana hai saara zamana tera,

Rab ne sanwara nihayat adaaon se, Noor-e-aayaton sa roshan chehra tera,

Kuch badla sa irada hai dil ka, Ghula hai puri tarah se wajud mein ye tera..


Dekh kar us intehaayi haseen manzar mein, Dil puri tarah se tujh pe hara,

Deedar ne kiya kuch aisaa asar, Har zikr mein ubhartaa raha yun aks tera,

Nigahon ne tujhe nihara toh ye jana,Ishq se bhi haseen tera andaz-e-adaa..


Toot kar bikhar jaun khushbu ki tarah, Sama mein simat jaun rooh ki tarah,

Gardish-bhari see zindagi hai ab, Door ho jaun har kisi se hawaon ki tarah,

Tere qareeb yun thehar jaun,Khushboo saanson mein utar jaye itr ki tarhaa..

No comments:

Post a Comment