Friday, April 30, 2010

Hua hai jo mera hashr...

Hua hai jo mera hashr, Vo tere sath bhi ho,
Teri har subah har shaam, Mere naam ki ho,
Bhale bhaago kitni hi dur mujhse tum,
Sach se kaise bhala bhaag paaogi,
Dil se us daastan ko kaise mita paogi...

Dekar ye daag aaj mujhe, Tum bhala kya chain paogi,
Rehkar paraye ki bahon mein, Har pal mujhe hi paogi,
Duri se dur hue hain, Majburi se nahi,
Nigahon se dur bhale, Magar dil se nahi...

Jaao kitni hi dur mujhse, Main har duri paar karunga,
Apne beech ki duri ko mitakar, Har pal tumhaare paas rahunga,
Tumhaare us bichde hue aashiq ki yaad dilaunga,
Phir tumhein par se pyar ke liye pyar mein paunga...

Prem zanzeer mein baandh kar, Kahin dur apne sang le jaaunga,
Jo tumhein mujhse jaisa, Is janam mein kya,
Saaton janam mein bhi na mile, Aisa chahunga,
Har apni nigahon mein basakr, Uski roshni se sanwarunga...

Apni palkon mein chupaakr, Duniya se cheen loonga,
Rok sakko to roko, To sako to toklo,
Aur main ab tumse dur nahin rahunga,
Tumse dur is darmiyan ko sehan nahin karunga...

Tumhaari baton ko...

Tumhaari baton ko samajh na paya, Tumhar dhadkanon ko sun na paya,
Hansi ke peeche sach ko padh na paya, Apne husn se aakarshit karkar,
Mere dil mein apna makaam banaakar, Mere khayalon ko chedkar,
Saari duniya ko chodkar, Din mein bhi har pal tumhari yadon mein sokar,
Tumhein aankhon mein basaakar, Palak band karne se kahin gum na ho jao,
Aisa sonch kar raaton ko jaagkar, Khud ko tumhaare ishq mein khokar,
Paagal deewane hokar, Maine apna sab kuch kurbaan kiya,
Apna sab kuch tumhaare naam kiya, Magar ye sab kuch bhulkar,
Dil se in yaadon ko na jane kaise mitaakar, Tumne aaj yun mere pyar ko thukraakar,
Mujhse dur hokr, Apna ye atoot bandhan todkar,
Mujh ko har tarah se churkar, Apni nigaahon se dur kar,
Magar khwabon mein har pal sath kar, Jeena haram kar rakha hai,
Jise bhi dekhun tumhi nazar aati ho, Har sapne mein mil jaati ho,
Jis tarah pyaar mein haath diya, Usi haath se zehar de diya hota,
Aaj tak main chain ki neend so gaya hota, Tumse dur ho gaya hota,
Is zillat bhari zindagi se mukt ho gaya hota...

Train Shuru hoti hai...

Roz subah uthta hun, Phir tujhe milne ki arzu rakhta hun,Train shuru hoti hai, Phir tera station aata hai,Tera didar karne meri ankhein, Khud ba khud platform par padti hain,Ek din aisa aayega jab tum zarur is rahi ki raah mein khadi intezaar karogi,Meri tarah yun bechain hogi, Ye bhale ho na ho,Par main har din tumhaara, Tumse milne ka intezaar karunga,Vo dil ka alam tum kya jano, Jab tum dikh jaati ho,Vo khushi kya jano, Jab tumhaara deedar ho jaata hai,Kash vo pal vahin ruk jata, Tumse main baat kar pata,Apni pehchaan kar pata, Tumhaara naam jaan pata,Husn ki tareef kar pata, Apne dil ki baat keh pata,Kayi din beet gaye par deedar to dur tumhaara na hua,Kayi bar us station se rukh kar gaye, Par tumhaara didar na hua,Dil mayus ho jata hai, Bheed mein meri aankhein tumhein dhundti hain,Jab hum mil sath safar kare the, Tum mere samne main tumhaare samne,Do man mauji mastaane diwaane, Do ajnabi aamne saamne,Dhundu bhi to kahan dhundu, Phuchun bhi to kise puchun,Tumhe dekhe bin rahun bhi to kaise rahun, Apne aap ko kaise rokun,Apni dhadkan ko kaise thamun...

Kal raat chandni mein...

Kal chandni mein maine chanda se khub saari batein ki,Apne ishq ki khub charcha ki, Tumhaare husn ki usse khub sari tareef ki,Bejhijhak hokar maine dilmein chupe har baat ki izhaar ki,Chanda itni tareef sunkar, Tumhaare baare mein kaafi kuch pucha,Jinke jawab dete dete maine kafi soncha, Jispar ye dil tumhaari taraf kheencha,Khule asman mein ek chamakte hue taare to dikhaakar maine kaha,Yahi meri dilruba hai, Jisse main ishq karta hun,Is par chand ne hanskar kaha, Ek taare se pyaar karte ho,Kya paglon jaisi faltu baatein karte ho, Kyon mera samay barbaad karte ho,Uspar maine mare hue rote dil se vo dard-e-dastan bayan kiya,Tumse dur hue us pal ka zikr kiya, Main bhi ek din vahin aaunga tumhaare paas,Tumhaare sang bankar tara chamkunga har raat aasmaan mein,Duniya mein bhale saath nahin sahi, Par us neele duniya mein,Tumhaare sath sari duniya ke chakkar marunga,Har pal jee bharkar pyar karunga, Chanda ko dikha dunga,Kitna haseen apna pyaar hai, Kitna anokha ikraar hai...

Laga ek lambe...

Laga ek lambe wakfe ke baad mila hai kisi ka saath mujhe,
Samajh baitha tha main...Laga hoga aisa hee tujhe,
Phir kya hua jo is beech ek dam se koi baat nahin,
Mere paigam ka..
Koi jawab nahin, Ab sath rehkar bhi jo tum mere sath nahin !!

Dil mein dard bhara...

Hai dil mein dard bhara, Palkon pe tehre aansu,Dabana bhi chahun to dard dabta nahin, Chahke bhi aansu rukte nahi,Nahi hai kuch kabu mein mere, Ho gaya hai bekaabu sab kuch mujh se,Tha jo abhi paas dikhta hai dur mujhe, Ek pal akela mein jaise akela ho gaya hun,Sabse dur ho gaya h un, Phir thodi der mein seham jata hun,Na hai mujh pe khud ka kabu, Sach mein ho gaya hun bekaabu,Lagta hai kahin dur chala jaaun, In bandhanon se rishton se,Jee bhar ke rokar aaun, Rok rakhe aanuson ke baandh ko todkar aaun,Milke kyon bichadte hain apne, Iska mujhe pata nahin,Malik ke is wajeh main jaanta nahin, Ho jo bhi ye daruna jalta hai,Jab koi apna humse bichdata hai..Kabhi to lagta hai in palon ko katne ke bajaye,Yun andar hi andar ghutne ke bajaaye, Khuda is aag ko rokle,Mujhe is jalte chilman mein jalade, To raakh ban jaaun,Aur hawa ke jhonke se sath udkar kahin dur ud jaaun,Jahan koi apna na ho, Is duniya ka koi ghum na ho..

Nashe mein dhut hokar

Nashe mein dhut hokar na jane aa gaye kis kagar par,Palatkar dekhun to kuch dikhta nahin,Aage ka raasta bhi khul kar nazar aata nahin,Na jaane jo saath the mere nikle the,Kahan choot gaye, Mujhe yun raah mein akela chodkar kidhar,Kab kidhar bhatak gaye, Jaaun to kidhar, Pukaarun to kise,Kaisi hai ye uljhan, Nahin dikhta meri is uljhan ka koi suljhan,Paanv mere dag magane lage hain, Ghut ta hai dam mera yahan, Nahin ko apna jo yahan,
Dil se koi cheekh nikli: Sonch ta tha ki hai chain akelapan mein,Ab bhugat apni us galti ko, Bhale kar lakh prashta taap,Iska koi faayda nahin, Jab nahin saath tere apne koi,Tere yun akele jeene ka koi matlab nahin, Hai jo khushi apnon ke saath rehne mein,Vo akele pan mein kahan, Ho khush ho ya dukhi,Sab ke saath chal, Sabko lekar chal,Bhale aaya hai akela jana hai akela,Tanhai mein yn kab tak ghtega, Ye vo shaitaan hai,Kaabta bankar chubh raha hai, Teer banke ghayal kar raha hai,Hai adhura pan bahut bura, Marne ko jee karta hai..