Ansu aksar dard-e-alam izhar nahi karte, Hansi har dafaa khushi bayaan nahi karti,
Ye bade ajeeb hote hain zindagi ke fasane, Insani jazbaat benaam se kitne anjaane,
Suroor alam mein aansu chalak padte hain, To gham chupane, Hansi odh lete hain!
Likhne ka ye karwan badhtaa rahega, Sher-o-Shayari ka alam chalta rahega, Ruh se nikli awaz ko alfazon mein dhalke, Ruhaani ki syaahi se kalam likhta rahega !!
No comments:
Post a Comment