Saturday, May 16, 2026

Baap ke ehsas se aabad jee uthta hun!



Gham ke ashkon mein dubta hun,Jab haqiqat se rubaru hota hun,

Aaj bhi woh pal yaad hai, Jo teri paidaaish mein mehak uthaa tha,

Chulbuli natkhati harkaton se, Ghar-aangan muskan se bhara tha..


Maa ki aanchal bhari loriyan, Baba ki peeth par lakhon sawaariyan,

Nana-Nani ke laad mein pala tha,Dada-Dadi ke dular se dhula tha,

Waldain ki khalis muhabbat mein,Chain-o-qarar bhi jaan-nisar tha..


Waqt ne nazron par parda daal, Khamoshi ka sa kohra bichha diya,

Budhapa qareeb aane laga,Kamzor nazar mein waqt thaharne laga,

Jo Baba ki rat lagaye tha, Aaj roobaru bhi nazar-andaaz karne laga..


Meri aulaad ke is taghaful se, Khalish andar hi andar se khane lagi,

Dil ke sunsan sannaton mein,Khamoshi ansuon mein pighalne lagi..


Yadein zarur aafat deti hain, Par ab dard chupana fitrat ban gayi hai, 

Tutkar bhi mazbut judta hun, Baap ke ehsas se aabad jee uthta hun!

No comments:

Post a Comment