Monday, August 30, 2010

Amulya Rahul...

Rehna tha ek dum se chup...

Rehna tha agar ek dum se chup,
Hona tha yun ek dum se gum,
To bhala kyun banayi dosti,
Hum se kyon nibhaai apni dosti,
Kyon sajai vo chand dinon ki kashti...

Agar galti se ho gayi ho humse,
Koi bhul, Koi khata ya koi nokhta,
Dil se gilon-shikvon ko bhulakar,
Fakr ko mitaakar, Gusse ko thamakar,
Zara dil-e-haal kar izhaar karo na...

Bhala ye to nahin kehte, Ke har ghum ko mitayenge,
Hai agar koi imtehaan ki ghadi, Koi musibat,
Koi sankat, Koi bura waqt, Ya kuch aur,
Bhala ilaaj to nahin, Parwar digar se ikhtiyar karenge,
Aapki rahmati, salamti aur kamiyabi ki dua karenge...

Hain hum bhi insaan, Koi khilona nahin,
Hain hosh-o-awaz main, Koi paagal diwaane nahin,
Hai mera bhi kanch samet dil, Koi patthar nahin,
Jo ek baar tutkar bikhar jaaye, To phir kabhi jude nahin...

Aaj ye kasam kha, Rub-a-ru hokar tumse kehte hain,
Ke hai hamare beech, Sirf dosti kuch aur nahin,
Dil mein hamare, Apki khatir koi buri sonch nahin
Itna kehne manane ke baad, Ab aur kya kahein?...,

Aap ki marzi, Ab hai aapki arzi,
Hai nahin gar dil mein ko dusri sonch,
Khamoshi ko mitakar, Hamari galti maafkar,
Is saza se mukt karao na, Ab to kuch kaho, kuch to batao na...

Teri Us kali ke Liye...

Jisse be imtihan muhabat karta hai,
Jiski yadon mein khoya rehta hai,
Jiski ek jhalak ke liye hardam betab hai,
Jiski khushi se tu khush hai...

Jisse har pal teri dhadkanein batein karti hain,
Jiski taswir teri ankhon mien basi hai,
Jo dur rehkar bhi har pal tere paas rehti hai,
Jiska har dam teri rooh didar karti hai...

Jiske saath hardam rehna chahta hai,
Zindagi ke is safar mein chalna chahta hai,
Saath jiske tu hansna chaahta hai,
Har pal jiski yaadon mein khona chahta hai...

Milne par jisse khushi ki koi had nahin,
Baat karne par labon se nikalti koi baat nahin,
Vahi sab kuch hai, jo vo nahin to kuch nahin,
Saar duniya ek aur, To vo ek aur...

Hansna bhi usi se Rona bhi usi se,
Khushi bhi usi se Gham bhi usi se,
Teri saar zindagi usise, Teri pehchan usi se,
Aakhir jeena aur marna bhi usi se...

Khuda teri dil ki baat har pal sun raha hai,
Vo sifarish har kism se puri karega,
Kyon ki jo maang dil se maangi jaati,
Vo farmaan beshak mukammal hoti hai....

Agar galti karo..

Agar galti karo to use kubul karne ki himmat karo,
Use na dohraane ki hifazat karo,
Khair galtiyan to sabhi karte hain,
Par nek vahi hain jo apni galtiyon ka ehsaas karsake,
Unhein dil se kubul kar sake,
Zindagi mein na dohra sake, Aur tahe dil se maafi mang sake..

Dekharkar tujhe...

Dekharkar tujhe afsaana ban gaya, Khubsoorti par teri dil shaayrana ho gaya,
Jab se hum beech dil ka lagana ho gaya, Tha mera jo bhi..Vo tumhara ho gaya !!

Sab kuch bhul jayenge...

Sab kuch bhul jayenge, Magar vo karwan yaad rahega,
Sadiyan beet jayengi, Magar vo lamha yaad rahega,
Jab pehli baar, Meri nazar tumhari nazar se takraai,
Aur mera dil dhadka, Hardin aapki yaad mein tadpa,
Aapka deedar pane ke liye, Raah mein phool bichaye rehte the,
Sabki nazar churaaye, Tumhara intezaar karte the,
Apse milne ke liye, Har pal bekharaar rehte the,
Bhale dur ho gaye the, Kuch pal ke liye,
Magar aap hamare saath the, Har pal ke liye,
Itne arse baad bhi, Aas lagaye baithe hain,
Dil mein prem ka, Dipak thamaye baithe hain,
Ke ek na ek din akar, Us dipak ko tum khud jalaogi,
Usmein khushi ki roshni bharkar, Meri zindagi ko roshan karogi...

Dilse jise behan maana...

Dilse jise behan maana,
Hamare dil ki tamanna jaan na saki,
Hamari ik fariyad samajh na saki,
Maangi thi ek rakhi par, Vo bhi baandh na saki...

Dil par guzri takleef jaan na saki,
Is bhai ke dil ko padh na saki,
Kyon mere saath aksar aisa hota hi,
Chahne vaalon ko yaad kar dil rota hai...

Bhale na bandhi tumne rakhi,
Mann mein aapka darja vahi rahega,
Banda...Sada aapki khushi ki fariyad karega,
Na jane kya thi majburi kya thi vo laachari...

Aye maula...Kya dilse kisiko chahna,
Unse kuch maagna, Ye meri galti hai?..,
Farishte ki tarha, Hum tumhari hifazat karenge,
Tumse dur rehkar bhi, Salamti ki dua karenge,
Rahabr ban, Raaste ka har kaanta chun kar nikalenge...

Dilse to bhai-behan ka bandhan bandh gaya hai,
Dhaga bhale toote, Naata to kabhi na tutega,
Jeevan bhar aapse, Hamara saath na chutega,
Dariya par saahil, Jis tarha lehron ka deedar karta hai,
Usi tarah, Zinda rehne tak, Aapka deedar banda ye karega...