Monday, March 29, 2010

Rasile makhmali hont...

Aapki chitr-kala...

Aapki chitr-kala bahut khoob hai,
Ye aapka hunar vakyi kabil-e-tareef hai,
Kaarigari laajawab hai, aapke swabhaav ka aayina hai,
Ye ik amaanat hai jo khuda se tohfa bankar mila hai...

Inmein kirdaar aapka andaaz bayaan karte hain,
Hathon ki lakeerein ikhlaas zuban karti hain,
Aapke dil ki baatein izhaar karti hain,
Zehen mein chupe iraadon ko khul kar bolti hain...

Bhar kar inmein apne khayalon ke rang,
Nayi jaan se bhari apni pehchaan daali hai,
Nayi deepthi se bhari jyothi prajwalit hui hai,
Jitni bhi tareef ki jaaye kam hai...

Dehshat se bhare aaj ke is zamane mein,
Zindagi ki is bhaag daud mein,
Ik aise kalaakar se milkar behad khushi mili hai,
Aap ke chitron ko dekhar tasalli hasil hui hai...

Is kala ko yunhi jaari rakhiye,
Iske zariye aapka farmaan sun payenge,
Mann ke auzaaron se ise yunhi taraashiye,
Apni Kashish barkaraar rakhiye...

Har cheez mein kaamiyaabi naseeb ho,
Dekhe saare sapne haqeeqat hon,
Jis bhi manzil ki talaash mein ho,
Vo zaroor hasil ho..!

Kyon kismat?...

Kyon kismat mere saath aisa khelti hai,
Jise bhi chaahun vo mujhse dur hoti hai,
Kyon dimaag itna bhari ban jaata hai,
Chaha jise use khokar, Dil patthar ban jaata hai...

Na kar sakun is halat ka kisise bayan,
Andar hi andar se, Ro raha hun,
Na chahkar bhi, Kyon jee raha hun?..,
Is ghum mein dubkar, Chur ho raha hun...

Kyon hoti hai itni takleef, Jab apna koi bichadta hai,
Agar hota mujhe pehle se iska andaaz,
Maine kisi ko is kadr, Na chaha hota,
Unke liye yun na khud ko, Khoya na hota...

Aur ek-a-ek duri se aaj phir yun na rota,
Aur ye kehta:
"Hai ye kaisa khudrat ka karishma,
Kaisi khuda ki likhi meri takdir,
Jise samajhne meri zindagi bhi choti pad rahi hai,
Jitna bhi chahun, Har chahne waali bichad rahi hai..."

Chand Naghme...

Hai kitni hasin rangin, Kitni sidhi sadhi,
Hai swach pavitr, Hai bholi bhaali,
Sach much pyaari hai ye zindagi,
Har lamha bahrpur jiyo, Har subah ka khushi se swagar karo...!

-----------------


Chahta tha guzre basre har pal ye zindagi tere sang,
Dilbar to nahin, Pyar mein aashiq nahin bhale,
Paagal diwana banake choda, Tanha akela choda,
Yun shaayar baanke choda...!

-------------------

Apni aankh ka tara banakar, Sanson mein basaogi,
Jaun jidhar bhi, Yaadon mein saath chali aaogi,
Rukhsat ke baad bhi gar pahunchun jannat,
Uski dehleej par khadi, Mera intezaar karti nazar aaogi...Maa...!

Mera Bharat Mahaan...

Hindu muslim sikh isai,
Hum sab hain bhai bhai,
Bhale desh ko azadi mili hai,
Na jane dilon mein kyon ab bhi khot hai...

Jaat paat mein kya rakha hai,
Zaat sirf ek hi hai Khuda ki,
Insaan ko insaniat se pehchaano, uske dharm se nahin,
Sabhi insaan hain jinki apni ek pehchaan hai...

Mazhab ke naam par khud ko yun na baato,
Apnon ko naftrat se yun na kato,
Har taraf bamab lagaakar logon ko maut ke ghat na utaaro,
Jeete jee unke ghar waalon ko yun na maaro...

Bhale mazhab, khaan-paan, rehan-sehan, vesh-bhusa alag ho,
Magar sabki dhadkan to ek hai,
Ragon mein behta khoon to ek hai,
Sab ke suraj-chanda aur taare ek hain,
Khula aasmaan aur chalti hawa bhi ek hai...

Duniya mein mera hindustan ik aisa sthaan hai,
Jahaan sabhi mazhab ek saath hain,
Isliye to hamara bharat mahaan hai,
Duniya mein ek anokha prasthaan hai...

Har ek se pyaar karo, muskuraakar baat karo,
Zindagi ke safar ko khushi se tay karo,
Rukhsat aisi karo; log tumhaare karmon se tumhein yaad rakh sakein,
Tumhaare liye apni palkein bhigo sakein...

Vaise kabir ne sach hi kaha hai...
Moko kahan dhunde re bande,
Main to tere paas mein,
Na main mandir na main masjid,
Na kabe kailash mein...

Aapka haal janne..

Aapka haal janne hum ye paigaam bhej rahe hain,
Jawab nahin bhi aaya to hamein koi gila nahin,
Kyonki meri rooh mujhse keh rahi hai,
Aur hum ye jaante hain,
Ke aap jahan bhi hoge sahi salamt rahoge,
Har pal muskurate rahoge,
Apne ashiyane ki banai mein pal pal masruf rahoge,
Hamari khushaamdeed sada aapke saath hai,
Ek na ek din aapko kamiyabi zaroor hasil hogi,
Aapka ashiyan hamari duawon se sajega,
Aapki kamiyabi ka jashn gulab ke phulon mein bahega,
Bas yehi ik arzu baaki hai,
Aur yehi khushi bankar hamare dil mein ab bhi baaki hai...

Apnon ne ghum dekar..

Apnon ne ghum dekar khoob sata rakha hai,
Apni yaad mein dil par bojh bana rakha hai,
Dil ka alam kise bataayein,
Jise bataana chahein vahi hamse khafa hai...

Mujhe aur nahin jeena is duniya mein,
Ye iraada bana rakha hai,
Ab rehta hai har pal bas maut ka intezaar,
Tayyari se janaze mein kafan chupa rakha hai....

Aur mat todo is tute ko,
Kahin toot kar kanch ke sheeshon ki tarah bikhar na jaoon...!