Friday, October 29, 2010

Aatiya...Kya ek rooh se main mila?...

Aadhi raat der se, Ek baar ghar ana pada,
Raste mein chalte chalte, Na chah ke bhi,
Ek puraane kabrstaan se, Guzarna pada,
Thi viraan sadak, Ghanghor andhera,
Milon dur kisiki, Chaya tak nazar nahi aa rahi thi,
Is par baarish bhi, Jamke baras rahi thi,
Na jane kaun si, Darawni aawazein aa rahi thi,
Khud ka haunsla kar buland, Tay karne laga fasla...

Achanak se main ruka, Jab samne kuch aa gira,
Dekha to, Vo kuch aur nahi ek nariyal tha,
Kuch dur chalte hi, Ek dam se meri dhadkan ruki,
Jab kisi ladki ki awaz suni, Laga aise jaise,
Kisi ne mujhe hai pukara, Himmat ka mara,
Nazar andaaz kiye, Khuda ko yaad kiye aage badhta raha,
Dusri baar phir se, Kisine wahi awaaz aayi,
Jutake himmat jaise taise, Maine nazar us aur paltai...

Daudte Daudte pecche se, Mere paas ake khadi,
Safed kapdon mein, Koi hasina lag rahi thi,
Bijli ki chamak mein, Jo maine use dekha,
Thi bheegi sehmi, Dari hui si aur ghabrai,
Vallah Vallah khubsurti se bhi, Khubsurat thi,
Naam bataya Aatiya,
Use bhi fasla tay tha karna, Donon ne shuru kiya chalna,
Badal ke garaj se vo jo dari, Zor se mujhe gale lagi...

Puchne par pata chala, Use bhi mere flats tha jana,
Baaton Baaton mein, Hum donon tay kar liya faasla,
Bas ada kiya shukriya, Aur apne block chali gayi,
Agle din phir usse milne, Uske ghar gaya,
Puchte hi sab pareshaan ho gaye, Hairaan reh gaye,
Uncle Aunti se pata chala, Unki ladki ko guzre,
Kal ko theek, Ek arsa guzar chuka hai,
Sunkr to mere hosh ud gaye, Aur pasine chut gaye...

Kaha unse main uska, Ek purana college dost,
Jab tak maine usse baat ki, Aisa kabhi nahin laga,
Is baat ka phir aaj tak, Maine kisi se zikr nahin kiya,
Ke vo koi ruh ya atma thi,
Buzurg log kyon kehte hain, Raaton mein jaldi ghar aana,
Us din pura bistar par, Ekaant let sonchta raha,
Aur man hi man ye kehta raha, Ye kya ajab ho gaya...

Jo na kabhi dekha suna, Guzri vo raat jab yaad karta hun,
Ek dam se dar uthta hun, Na jane kyon seham uthta hun...

Basake dil mein muhabbat ko...

Basake dil mein muhabbat ko, Hum se yun chupa-o-na,
Aakhir ab to izhaar karo, Ab aur intezaar kara-o-na,
Bhale izhar na kar sako, Ishare se hi bhale,
Ab ye to bata-o-na, Ke tumhein mujhse pyaar hai...

Rakh kar dil par hath, Chalti dhadkanon ko sunkar,
Apni rooh se puchkar, Khud par ho rahe asar ko,
Zara is dil-e-nadaan se, Izhaar kara-o-na,
Sach Sach dil-e-haal bata-o-na, Ke tumhein mujhse pyaar hai...

Bhale the sang hum, Par kabhi mile nahin,
Ittefaq se ik baar mile, Phir tum kahin dikhe nahin,
Meri in bechain sanson ko, Zara chain dila-o-na,
Ab to kehdo, Ke mujhse tumhein mujhse pyaar hai...

Ab aur...Ye khamoshi acchi nahi, Aisi khamoshi sacchi nahi,
Baahein phailaye khade hain, Raah mein palkein bichaaye,
Aakar in khuli baahon mein, Zara ye to bata-o-na,
Ke tumhein mujhse pyaar hai, Tumhein mujhse pyar hai...

Lakh sambhalun dil ko...

Lakh sambhalun dil ko, Par sambhalta nahin,
Roz subah uthkar, Tujhe dekhe bin,
Tere is deewane ko, Chain milta nahin...

Uth te hi jaati hai, Pehli nazar tujh par,
Suraj ki pehli kiran bankar, Har roz khidki mein ugti ho,
Apne un reshmi zulfon se, Roshni bhar deti ho...

Un kirnon mein labon ki lali, Dil ko cheer kar jaati hai,
Phir tujh par marne ke liye, Majbur kar jati hai,
Kyon hun tera deewana?.., Iska jawab de jati hai...

Bade hi zehmat se, Tumhein bharpur dekh pata hun,
Zara sambhalne se pehle hi, Khidki band ho jaati hai,
Tum bin viraan nazar aati hai...

Aye Nageena, Aye Dil nashin, Aye Gulmohar, Aye Sartaj,
Ho kaun tum?...
Ho jo bhi, Vakyi Khudrat ka karishma ho,
Jo meri har subah ko roshan kar jati ho...

Apna guzra kal bhulakar...

Apna guzra kal bhulakar, Chand pal khil khilana chahta hun,
Apne mann ki baat, Kisise izhaar karna chahta hun,
Par dekhte hi dekhte, Zindagi ne ye kaun si,
Anokhi mod le li, Maine ye kaun si anjan rah pakad li...

Subah hote hi, Shuru hoti hai daud meri,
Pahunch kar office, Badhti hai dhadkanon ki tezi,
Har din koi na koi issue, Koi na koi task ya meeting,
Phir din bhar system se, Hoti hai baat meri...

Dil mein bhare hain, Kayi armaan kayi iraade,
Par in sab ko sunne ke liye, Mera apna koi nahin,
Jo sunti in sab ko, Khudrat ke khele ajeeb khel se,
Ab vo paas reh kar bhi, Haqeeqat mein mere sath nahin...

Kayi din beet gaye, Asman mein sham ki laali dekh kar,
Raat ki chandni mein, Chain se baith, Taaron ka deekdar kar,
Meri us chupi pari ko, Un taron mein dhund kar,
Aati hai hansi kabhi kabhi, Meri is zindagi par...

Yaad karta hun jab is wakfe ka, Aankh se ansuon tapakte hain,
Kahin dur gagan mein panchi bankar, Ud jaane ki chah jag uthi hai...

Bhale Mazhab-Praant...

Bhale Mazhab-Praant, Khaan-Paan, Rehan-Sehan, Vesh-Bhusa se alag hon,
Magar sabki Dhadkan, Suraj-Chanda, khula Asman, Chalti Hawa ek hai,
Vaise hum sabke ragon mein, Behta khun bhi ek hai,
Insan ko Insaniat se pehchano, Uske Dharm se nahin...

Hindu Muslim Sikh Esai, Hum sab Bhai Bhai,
Mazhab ke naam par, Khud ko yun na Baato,
Apnon ko Naftrat aur Berehmi se yun na kato,
Jite jee mere is desh ko, Kabristan na banao...

Tere labon ki laali...

Tere labon ki laali mein rang gaye..Tere baalon ki kaali mein gum gaye...
Shukran Allah!! Kya khubsurti hai teri..Dekhte hi hum tujhpe mar gaye!!!