Monday, May 18, 2026

Khamoshi ki deewaron ne ujhaad diya hai !


Jabse kabootaron ne tera rukh kiya hai, 

                   Mera ghar-aangan sab soona kar diya hai,

Har roz chhat par mehfil sajti thi jo kabhi, 

                   Aaj teri dehleez par basera kar liya hai..


Kal tak chahchahahat se abaad jahan, 

                    Teri rehmat-e-shifaa ne sunsaan kar diya hai,

Guzarte yahin se aaj bhi chupke se, 

                    Par meri sadaon se khud ko anjan kar diya hai,

Daane-pani ki chaahat mein gunjta har kona, 

                    Aaj sannaton ne ghar ko gher liya hai..


Woh mehfil jo raunaq bhari abaad thi, 

                    Aaj khamoshi ki deewaron ne ujhaad diya hai,

Tere ishq-o-jashn ki mehak ne shayad yun, 

                    Meri tanhai ko ab aur gehra kar diya hai. !    

No comments:

Post a Comment