Friday, December 31, 2010
Aye zindagi ke musafir...
Is sansar ki nagri mein, Tere layak koi kaam nahin,
Kahin gum na jaana, In rishton mein bandh na jana,
Hai tera makaam aur koi, Yahan bewajeh fans na jaana,
Hai ye char dinon ki maya, Chand dinon ka khel...
Ek arsa guzar gaya hai, Tumhein rukhsat kiye hue,
Arsa beet gaya hai, Mujhe khushi se jiye hue,
Labon par vo til ki tikki, Ab bhi yaad hai,
Pyar ke khatir, Tera vo lut jana mujhe ab bhi yaad hai..
Chayi reh thi har pal, Bankar os meri zindagi mein,
Meri har khushi har dukh mein, Har acche bure mein,
Sath rehti thi mere, Bharti thi khub sara haunsala,
Mera ek sahara ek aashiyan, Mere jeevan ke har sapne mein...
Mera khwab tujhise tha, Meri zindagi tujhise thi,
Kehti thi kahin na jaun gi, Tumhein chod kar,
Yahan koi nahi, jo mujhe samajh sake,
Ek tumhi thi, jisne mujhe samjha jaana pehchana tha...
Kabhi kabhi lagta hai, Jaise tum har pal mere hi sath ho,
Aur bhala kyon jiyein is duniya mein, Jab tumhi nahin...
Jeet na paya kuch bhi...
Na ho paya mera koi ab tak,
Bhale mukaddar ho ya koi humsafar,
Kiye kayi jatan Kiye kayi magan
Magar banake chale gaye, Sab mujhe bemagan...
Karta tha har pal lakh hasratein,
Karne inhein pura, Mangata kayi mannatein,
Par na jane vo kaun si kami reh jati thi,
Jo phir mujhe nakamiyabi chakha ti thi,
Aur vahi chaanv har pal sar par mandrati thi...
Hota vahi jiska dar laga rehta tha,
Hota main hataash man se niraash,
Ek dam se sabr ka pahad jaise tut padta,
Banke aansu dard aankhon se hoke nikalata,
Yunhi tanhai mein aankh se aansu tapkata tha...
Ye khuda ki likhi meri taqdir thi,
Ya phir mujh par chadi koi anjaan bala,
Jo har dil ka irada pehle se sun leti thi,
Ise nakam karne mein koi kasar na chodti thi,
Mujhe nakaamyab karna, Apana maqsad banati thi...
Itna kuch hone ke baad, Itna haarne ke baad bhi,
Shuru hoti thi kaamiyabi ke liye phir nayi talash,
Ek nayi nek koshish, Phir ek nayi kashish,
Naya josh naya hosh, Nayi umanag se bhari tarang,
Phir le chalti thi sang apne kisi anjaan dagar...
Gar karoge yaad...
Bhale mitado humein bahaake aansu..Par dil ki yadon se kabhi na mita paoge!!!
Ek aurat hi hai...
Maa ka pyar de sakti hai, Saare ghamon ko,
Dil mein dabakar, Labon se muskura sakti hai...
Bharat jaise desh mein, Jahan nari ko,
Devta samet mankar, Puja jata hai,
Un par chal rahe, Anyay atyachaar jankar,
Dil ek dam se, Mayus ho jata hai...
Kuch ayyashi ke liye, Kuch pyaar ke,
Naam par khilona banakar, Kuch lachari dekh,
Zaleel kar rahe hain, Takleef bhar rahe hain...
Har kisi TV channel par, Har akhbaar mein khabar bankar,
Ye gawahi deti hai, Ke aaj ke nari is azad desh mein,
Andhreon mein seham kar, Dar dar ke jee rahi hai...
Ye mat bhulo ke, Jisne tumhein paida kiya,
Pal pos kar bada kiya, Jisne chalna bolna sikhakar,
Aaj jo kuch bhi ho vo banaya, Is kabil banaya,
Ek nari hi hai, Us nari ki shakti hi hai...
Tuesday, November 30, 2010
Shole jaise badan ko dekh...
Husn tera dekh, Khubsurti ko teri dekh,
Aaj phir se, Ek jeene ki chah liye,
Tujhe paane ki abru liye, Jaag utha hun...
Hont tere, Gulab ke kanwal se bhi hain komal,
Hai jism tera, Aab-e-zamzam se bhi paak,
Bhale chand mein hai daag, Par tujhe mein nahin,
Tujhe jaisi bharpur, Aur duniya mein kahin nahin...
Jiski chamak ke aage, Suraj bhi kuch nahi,
Dekh tujhe suraj bhi, Thanda pad jaata hai,
Thandi chanv ke age, Chandni bhi kuch nahi,
Ye be mausam barish, Dekh tujhe barasti hai...
Jiski khidmat ke liye, Ped raah mein rehte hain,
Bas guzarne se tere, Phul barasne lagte hain,
Ek bar chu lene, Chanv khudki tarasti hai,
Rom rom pee jane, Barish madhoshi mein barasti hai..
Hai kyon itni khubsurat, Itni dil-kash,
Na jane kismat mein meri, Tu pehle se thi,
Ya ek ittefaq, Jo bin kisi wajeh mil gayi,
Hai ye haqeeqat, Ya khwab main na janun...
Hai apna sacha ishq, Sirf yahi jaanun,
Bas tujhe har pal ke liye, Apna manun...
Aurat dariya hai...
Dekh jise dil behalta, Jee bharta nahin,
Peelo jitna bhi ise, Nafz ki pyas bujhti nahin,
Jiski khatir bahein, Tarse bin rehti nahin....
Aurat shahad hai...
Vo nashila nasha shabab hai,
Dekh jise jee lal chata hai,
Ek baar jo chakle maza koi,
Ye madira piye bin rehta nahin...
Uske nashe mein dube bin jeeta nahin,
Aurat aag hai..
Jismein jalne, Jis par mar mitne,
Har koi bekarar hai, Har koi tayya hai,
Ek baar jo sulag jaye, Ye aag dil mein,
Kahin rukti nahin, Kabhi bujhti nahin...
Aurat Noor-e-tabassum hai..
Vo khudrati karishma, Jo na kabhi pehle bani, Na banegi,
Jo na phele kabhi khili, Aur na kabhi khilegi,
Jise bhi mili mano, Bande ki taqdir khul jaye...
Aurat Hasina hai..
Jiski khubsurti par, Jawan ya budhe lut jate hain,
Kayi armaan jagakar, Pal bhar chain se jee jate hain...
Ek aurat hi hai...
Maa ki mamata aur pyar de sakti hai,
Jo saare ghamon ko dil mein dabakar,
Labon se har pal muskura sakti hai...
Bharat jaise ik sunehre desh mein,
Jahan stri ko devta mana jata hai,
Jiske har avtaar ko puja jata hai,
Kuch darinde ispar zulm dha rahe hain...
Kuch ayyashi ke liye, Kuch pyar ke nam,
Kuch nashe mein dhut hokar, Kuch hosh khokar,
Chand uski lachari dekh, Khilona bana rahe hain,
Takleef bhar bhar kar, Use zaleel kar rahe hain...
Har kisi TV par, Har koi channel par,
Aaj bhi har akhbar, har koi khabar,
Ye gawahi deti hai ke, Aaj ke azad desh mein bhi,
Bharat ki naari, Dar dar ke jee rahi hai...
Aye zalimon..Darindon..Haiwanon, Aye shaitanon,
Ye mat bhulo ke, Jisne tumhein paida kiya,
Pal pos bada kiya, Jisne chalna bolna sikha kar,
Aaj jo bhi ho vo banaya, Tumhein is kabil banaya,
Ek nari hi hai, Sirf ek nari ki shakti hi hai...
Bhale uska samman aadar kar, Izzat na karo,
Par kabhi lachar na karo, Use kabhi zaleel na karo...
Dekhun jidhar bhi...
Jaaun jidhar vahan chali aati ho,
Parchai mein bhi tum hi rehti ho,
Ayine mein bhi tum hi te'har jati ho...
Chudiyon ki khanak aur payal ki jhanak,
Kanon mein, Ab bhi mere bajti rehti hai,
Kabhi tumhari awaz, Ek dam se aakar,
Soye mujhe, Jagaa chali jati hai...
Tumse kiye saari baton ko, Suna jati hai,
Un saare plaon ko, Haqeeqat sa bana jati hai,
Jab gaur karun chalti, In dhadkanon ko,
Vo bhi tumhaara naam lekar bajti rehti hain...
Zindagi ke is tanha safar mein,
Apnon ko gair kar dur bhaag raha hun,
Nazdikiyon ko duriyan bana raha hun,
Duniya se bachake nazrein jee raha hun...
Chupake dard-e-dil, Andheron mein jee raha hun,
Yahan bhi chain nahin hai, Meri tanhayi ko,
Aye zalim!! Andheron mein bhi roshni ban,
Mere sune pan ko dur kar chali jaati ho...
Diwali ki hardik...
Bhagwan ki krupa se, Isi tarah har pal hansein muskurayein,
Iski roshne se zindagi aabad ho jaye, Saare ghum bhaag jaayein,
Aise tyohar baar baar aaye,Sabki zindagi mein sukh shanti bhar jayein !!
Tumhaari baton ko...
Hansi ke peeche sach padh na paya, Apne husn se aakarshit kar,
Mere dil mein makaam banakar, Khayalon ko chedkar,
Tune mujhe apne kareeb kiya, Apna behad azeez kiya...
Saari duniya chod, Din mein bhi teri yadon mein sokar,
Ankhon mein tujhe basakar, Palak band karne se gum na ho jao,
Sonch aisa kayi raaton ko jagkar, Tumhaare ishq mein khoya,
Sab kuch tumhaare naam kar, Apna sab kuch kurban kiya...
Magar ye sab kuch bhul, Dilse un yadon ko mitakar,
Aaj mere pyar ko thukrakar, Apni nigaahon se dur kiya,
Ye atoot bandhan tod, Is mod pe yun chod,
Mujhe har tarah se churkar, Pagal deewana kiya...
Magar khwabon mein har pal sath reh, Jeena haram kar rakha hai,
Jise bhi dekhun tumhi nazar aati ho, Har sapne mein mil jati ho,
Jis tarah pyar mein hath diya, Usi hath se zehar de diya hota,
Kabhi ka chain ki nind soya hota, Tumse har pal ke liye dur ho,
Is zillat bhari zindagi se, Kab ka mukt ho gaya hota...
Darte the kabhi...
Darte the kabhi, Takleefon ko sonchkar,
Khaye itne thokar, Mano jaise pagal hokar,
Ke ab thokar khana, Adat si ban gayi hai...
Kaan'pte the tanhai se, Par ab apnon mein reh,
Sab ke beech hokar bhi, Chup reh tanha jeena,
Naam se gumnaam hona, Adat si ban gayi hai...
Friday, October 29, 2010
Aatiya...Kya ek rooh se main mila?...
Raste mein chalte chalte, Na chah ke bhi,
Ek puraane kabrstaan se, Guzarna pada,
Thi viraan sadak, Ghanghor andhera,
Milon dur kisiki, Chaya tak nazar nahi aa rahi thi,
Is par baarish bhi, Jamke baras rahi thi,
Na jane kaun si, Darawni aawazein aa rahi thi,
Khud ka haunsla kar buland, Tay karne laga fasla...
Achanak se main ruka, Jab samne kuch aa gira,
Dekha to, Vo kuch aur nahi ek nariyal tha,
Kuch dur chalte hi, Ek dam se meri dhadkan ruki,
Jab kisi ladki ki awaz suni, Laga aise jaise,
Kisi ne mujhe hai pukara, Himmat ka mara,
Nazar andaaz kiye, Khuda ko yaad kiye aage badhta raha,
Dusri baar phir se, Kisine wahi awaaz aayi,
Jutake himmat jaise taise, Maine nazar us aur paltai...
Daudte Daudte pecche se, Mere paas ake khadi,
Safed kapdon mein, Koi hasina lag rahi thi,
Bijli ki chamak mein, Jo maine use dekha,
Thi bheegi sehmi, Dari hui si aur ghabrai,
Vallah Vallah khubsurti se bhi, Khubsurat thi,
Naam bataya Aatiya,
Use bhi fasla tay tha karna, Donon ne shuru kiya chalna,
Badal ke garaj se vo jo dari, Zor se mujhe gale lagi...
Puchne par pata chala, Use bhi mere flats tha jana,
Baaton Baaton mein, Hum donon tay kar liya faasla,
Bas ada kiya shukriya, Aur apne block chali gayi,
Agle din phir usse milne, Uske ghar gaya,
Puchte hi sab pareshaan ho gaye, Hairaan reh gaye,
Uncle Aunti se pata chala, Unki ladki ko guzre,
Kal ko theek, Ek arsa guzar chuka hai,
Sunkr to mere hosh ud gaye, Aur pasine chut gaye...
Kaha unse main uska, Ek purana college dost,
Jab tak maine usse baat ki, Aisa kabhi nahin laga,
Is baat ka phir aaj tak, Maine kisi se zikr nahin kiya,
Ke vo koi ruh ya atma thi,
Buzurg log kyon kehte hain, Raaton mein jaldi ghar aana,
Us din pura bistar par, Ekaant let sonchta raha,
Aur man hi man ye kehta raha, Ye kya ajab ho gaya...
Jo na kabhi dekha suna, Guzri vo raat jab yaad karta hun,
Ek dam se dar uthta hun, Na jane kyon seham uthta hun...
Basake dil mein muhabbat ko...
Aakhir ab to izhaar karo, Ab aur intezaar kara-o-na,
Bhale izhar na kar sako, Ishare se hi bhale,
Ab ye to bata-o-na, Ke tumhein mujhse pyaar hai...
Rakh kar dil par hath, Chalti dhadkanon ko sunkar,
Apni rooh se puchkar, Khud par ho rahe asar ko,
Zara is dil-e-nadaan se, Izhaar kara-o-na,
Sach Sach dil-e-haal bata-o-na, Ke tumhein mujhse pyaar hai...
Bhale the sang hum, Par kabhi mile nahin,
Ittefaq se ik baar mile, Phir tum kahin dikhe nahin,
Meri in bechain sanson ko, Zara chain dila-o-na,
Ab to kehdo, Ke mujhse tumhein mujhse pyaar hai...
Ab aur...Ye khamoshi acchi nahi, Aisi khamoshi sacchi nahi,
Baahein phailaye khade hain, Raah mein palkein bichaaye,
Aakar in khuli baahon mein, Zara ye to bata-o-na,
Ke tumhein mujhse pyaar hai, Tumhein mujhse pyar hai...
Lakh sambhalun dil ko...
Roz subah uthkar, Tujhe dekhe bin,
Tere is deewane ko, Chain milta nahin...
Uth te hi jaati hai, Pehli nazar tujh par,
Suraj ki pehli kiran bankar, Har roz khidki mein ugti ho,
Apne un reshmi zulfon se, Roshni bhar deti ho...
Un kirnon mein labon ki lali, Dil ko cheer kar jaati hai,
Phir tujh par marne ke liye, Majbur kar jati hai,
Kyon hun tera deewana?.., Iska jawab de jati hai...
Bade hi zehmat se, Tumhein bharpur dekh pata hun,
Zara sambhalne se pehle hi, Khidki band ho jaati hai,
Tum bin viraan nazar aati hai...
Aye Nageena, Aye Dil nashin, Aye Gulmohar, Aye Sartaj,
Ho kaun tum?...
Ho jo bhi, Vakyi Khudrat ka karishma ho,
Jo meri har subah ko roshan kar jati ho...
Apna guzra kal bhulakar...
Apne mann ki baat, Kisise izhaar karna chahta hun,
Par dekhte hi dekhte, Zindagi ne ye kaun si,
Anokhi mod le li, Maine ye kaun si anjan rah pakad li...
Subah hote hi, Shuru hoti hai daud meri,
Pahunch kar office, Badhti hai dhadkanon ki tezi,
Har din koi na koi issue, Koi na koi task ya meeting,
Phir din bhar system se, Hoti hai baat meri...
Dil mein bhare hain, Kayi armaan kayi iraade,
Par in sab ko sunne ke liye, Mera apna koi nahin,
Jo sunti in sab ko, Khudrat ke khele ajeeb khel se,
Ab vo paas reh kar bhi, Haqeeqat mein mere sath nahin...
Kayi din beet gaye, Asman mein sham ki laali dekh kar,
Raat ki chandni mein, Chain se baith, Taaron ka deekdar kar,
Meri us chupi pari ko, Un taron mein dhund kar,
Aati hai hansi kabhi kabhi, Meri is zindagi par...
Yaad karta hun jab is wakfe ka, Aankh se ansuon tapakte hain,
Kahin dur gagan mein panchi bankar, Ud jaane ki chah jag uthi hai...
Bhale Mazhab-Praant...
Magar sabki Dhadkan, Suraj-Chanda, khula Asman, Chalti Hawa ek hai,
Vaise hum sabke ragon mein, Behta khun bhi ek hai,
Insan ko Insaniat se pehchano, Uske Dharm se nahin...
Hindu Muslim Sikh Esai, Hum sab Bhai Bhai,
Mazhab ke naam par, Khud ko yun na Baato,
Apnon ko Naftrat aur Berehmi se yun na kato,
Jite jee mere is desh ko, Kabristan na banao...
Tere labon ki laali...
Shukran Allah!! Kya khubsurti hai teri..Dekhte hi hum tujhpe mar gaye!!!
Thursday, September 30, 2010
Jeevitam ane payanam lo...
Enduko kalisi?..., Sneham to okatai,
Okari abhiprayalanu, Maro karito panchukoni,
Enno rashayalanu digu mingukoni,
Mana venta nadiche vaade frnd...
Mana todu needai, Manato nadichi,
Mana gunde chappudai, Uhaa lokamai,
Mana kosam jeevinchi, Manakai uhinchi,
Mana manchini kore vaade frnd..
Appudu ippudu ellappudu, Todu needai,
Tana manchini cheduni panchukoni,
Kondanta dhairyanni nimpi,
Eppudu mana vadiga unde vaade frnd..
Mana baadhalani tanaviga bhavinchi,
Tana santoshaanni manato panchukoni,
Kulam matam jaatula ku atee tanga,
Manato kalisi poye vaade frnd...
Neeku nenu Naaku neevani cheppi,
Kanta tadini tudichi odaarchi,
Maatalanu chilipi chestalanu sahinchi,
Manakai niliche vaade frnd....
The ajnabi ek dusre se anjaan...
The kayi faasle apne darmiyan,
Mulaqaton ke silsilon se dur kar,
Tumhaare karib hona chaha...
Tumhein apna bana kar,
Nas nas mein basana chaha,
Duniya ki nazron se bacha kar,
Dil mein chupana chaha...
Tha jo khwab haqeeqat ban gaya,
Jo ek din ittefaq se tumse mil gaya,
Din ba din miti duri khuli taqdir,
Jo mazbut tumhaari zanjeer...
Laga jaise koi to hai,
Jo bana hai dil ka mehmaan,
Phir na jane ek dam se kya ho gaya,
Mit gaye the jo faasle, Vo aur badh gaye...
Azmalo Azmalo...
Ye zindagi ki hod, Ye na rukti mod,
Ye anjaan dagar, Ye veeran ,
Jo kabhi rukne ka naam nahin leti...
Bahate chalo, Bahate chalo,
Saare ghum isi mein, Bahate chalo,
Bharte chalo, Bharte chalo,
Dher sari tamannaon armanon ko bharte chalo...
Udte chalo, Udte chalo,
Is zindagi ki udan mein udte chao,
Leke chalo, Leke chalo,
Sath apne eemaan aur ikhlaaq leke chalo....
Har rang ko azmakar, Har zakhm ko apnakar,
Jeete chalo, Jeete chalo,
Tabhi to jeene mein maza hai,
Agar sidhi sadhi guzar jaye zindagi,
To usmein vajeh kya hai, Aise jeene mein maza kya hai...
Kahin han'sin to kahin ghum,
Hai inka karta dharta, Inka agaz anjam,
Ye rang janne wala, Ye khel khilane wala,
Banakar use apna, karlo use khush,
Har dukh sukh ban jaye,
zindagi ka har pal khushi se guzar jaye...
Duniya ki garm nigahon se...
Palkon mein tujhe apne chupaalun aa,
Banake yun apna nas-nas mein samalun aa,
Meri har khwahish har khwab tere naam kar,
Teri zindagi ke char khushi ke pal churalun aa !!
Kabhi hamari gali bhi aakar...
Is andher mein ujala bhar jao na,
Dil ko mere zara behla kar,
Hamein bhi ishq karna sikhaao na...
Hum to ye nahin kehte,
Ke nibhayenge sath janm bhar,
Par rahenge jab tak,
Palkon par rakhkar, Karenge hifazar tab tak...
Hamein bhi to azmao na,
Is dard-e-dil ke mareez ko,
Jald se koi ilaaj, Koi dawa de jao na...
Ummeed ki kiran bankar, Sagar ki lehar bankar,
Mujhe bhi apne sang kahin dur le jao na,
Sukhe ret samet is jeevan mein,
Zara jaan daal jao na...
Aaj bhi tera diya dard...
Aur meri rooh har pal, Usi mein jal rahi hai,
Tere virah se tez churi,Tera naam lekar chubh rahi hai,
Aur bas tera hi naam, Har pal likhe jaa rahi hai...
Mere dil par ban gaya hai, Ab tera hi naam-o-nishan,
Anjaan hokar in sabse, Tune mere pyar ko kubul na kiya,
Is ishtehaar ko thukraakar, Zindagi bhar ka dard diya...
Aaj teri shaadi ka jashn, Mere gham se sajega,
Tune dee hai mujhe, Zindagi bhar ki saza,
Bhale chali gayi mujhe chodkar, Apne dilbar ke saath,
Mujhe dil mein basakar, chain se na reh paogi din-raat...
O priya ye jaanlo, Kisi ko pyar karna hi ishq nahin,
Kisi ke pyaar mein, Khud ko nichaawar karna saccha ishq hai,
Yahi sach hai, Aur ek sacche premi ki pehchaan hai...
Monday, August 30, 2010
Rehna tha ek dum se chup...
Hona tha yun ek dum se gum,
To bhala kyun banayi dosti,
Hum se kyon nibhaai apni dosti,
Kyon sajai vo chand dinon ki kashti...
Agar galti se ho gayi ho humse,
Koi bhul, Koi khata ya koi nokhta,
Dil se gilon-shikvon ko bhulakar,
Fakr ko mitaakar, Gusse ko thamakar,
Zara dil-e-haal kar izhaar karo na...
Bhala ye to nahin kehte, Ke har ghum ko mitayenge,
Hai agar koi imtehaan ki ghadi, Koi musibat,
Koi sankat, Koi bura waqt, Ya kuch aur,
Bhala ilaaj to nahin, Parwar digar se ikhtiyar karenge,
Aapki rahmati, salamti aur kamiyabi ki dua karenge...
Hain hum bhi insaan, Koi khilona nahin,
Hain hosh-o-awaz main, Koi paagal diwaane nahin,
Hai mera bhi kanch samet dil, Koi patthar nahin,
Jo ek baar tutkar bikhar jaaye, To phir kabhi jude nahin...
Aaj ye kasam kha, Rub-a-ru hokar tumse kehte hain,
Ke hai hamare beech, Sirf dosti kuch aur nahin,
Dil mein hamare, Apki khatir koi buri sonch nahin
Itna kehne manane ke baad, Ab aur kya kahein?...,
Aap ki marzi, Ab hai aapki arzi,
Hai nahin gar dil mein ko dusri sonch,
Khamoshi ko mitakar, Hamari galti maafkar,
Is saza se mukt karao na, Ab to kuch kaho, kuch to batao na...
Teri Us kali ke Liye...
Jiski yadon mein khoya rehta hai,
Jiski ek jhalak ke liye hardam betab hai,
Jiski khushi se tu khush hai...
Jisse har pal teri dhadkanein batein karti hain,
Jiski taswir teri ankhon mien basi hai,
Jo dur rehkar bhi har pal tere paas rehti hai,
Jiska har dam teri rooh didar karti hai...
Jiske saath hardam rehna chahta hai,
Zindagi ke is safar mein chalna chahta hai,
Saath jiske tu hansna chaahta hai,
Har pal jiski yaadon mein khona chahta hai...
Milne par jisse khushi ki koi had nahin,
Baat karne par labon se nikalti koi baat nahin,
Vahi sab kuch hai, jo vo nahin to kuch nahin,
Saar duniya ek aur, To vo ek aur...
Hansna bhi usi se Rona bhi usi se,
Khushi bhi usi se Gham bhi usi se,
Teri saar zindagi usise, Teri pehchan usi se,
Aakhir jeena aur marna bhi usi se...
Khuda teri dil ki baat har pal sun raha hai,
Vo sifarish har kism se puri karega,
Kyon ki jo maang dil se maangi jaati,
Vo farmaan beshak mukammal hoti hai....
Agar galti karo..
Use na dohraane ki hifazat karo,
Khair galtiyan to sabhi karte hain,
Par nek vahi hain jo apni galtiyon ka ehsaas karsake,
Unhein dil se kubul kar sake,
Zindagi mein na dohra sake, Aur tahe dil se maafi mang sake..
Dekharkar tujhe...
Jab se hum beech dil ka lagana ho gaya, Tha mera jo bhi..Vo tumhara ho gaya !!
Sab kuch bhul jayenge...
Sadiyan beet jayengi, Magar vo lamha yaad rahega,
Jab pehli baar, Meri nazar tumhari nazar se takraai,
Aur mera dil dhadka, Hardin aapki yaad mein tadpa,
Aapka deedar pane ke liye, Raah mein phool bichaye rehte the,
Sabki nazar churaaye, Tumhara intezaar karte the,
Apse milne ke liye, Har pal bekharaar rehte the,
Bhale dur ho gaye the, Kuch pal ke liye,
Magar aap hamare saath the, Har pal ke liye,
Itne arse baad bhi, Aas lagaye baithe hain,
Dil mein prem ka, Dipak thamaye baithe hain,
Ke ek na ek din akar, Us dipak ko tum khud jalaogi,
Usmein khushi ki roshni bharkar, Meri zindagi ko roshan karogi...
Dilse jise behan maana...
Hamare dil ki tamanna jaan na saki,
Hamari ik fariyad samajh na saki,
Maangi thi ek rakhi par, Vo bhi baandh na saki...
Dil par guzri takleef jaan na saki,
Is bhai ke dil ko padh na saki,
Kyon mere saath aksar aisa hota hi,
Chahne vaalon ko yaad kar dil rota hai...
Bhale na bandhi tumne rakhi,
Mann mein aapka darja vahi rahega,
Banda...Sada aapki khushi ki fariyad karega,
Na jane kya thi majburi kya thi vo laachari...
Aye maula...Kya dilse kisiko chahna,
Unse kuch maagna, Ye meri galti hai?..,
Farishte ki tarha, Hum tumhari hifazat karenge,
Tumse dur rehkar bhi, Salamti ki dua karenge,
Rahabr ban, Raaste ka har kaanta chun kar nikalenge...
Dilse to bhai-behan ka bandhan bandh gaya hai,
Dhaga bhale toote, Naata to kabhi na tutega,
Jeevan bhar aapse, Hamara saath na chutega,
Dariya par saahil, Jis tarha lehron ka deedar karta hai,
Usi tarah, Zinda rehne tak, Aapka deedar banda ye karega...
Friday, July 23, 2010
Bankar bindiya...
Bankar bindiya sajun tere maathe par,
Bankar ayina didarun teri Khubsurti ko,
Bankar laali khilun tere galon par,
Bankar muskaan jiyun tere labon par...
Bankar mehendi rangun tere hathon ko,
Bankar chudi bajte rahun dilakar apni yaad tujh ko,
Bankar chandan-pani lagun badan par,
Bankar vastr dhakun tere badan ko...
Bankar phul khilun tere balon mein,
Bankar itr mehakta rahun har pal,
Bankar kajal badhaun khubsurti aankhon ki,
Bankar pyara khilona katun har raat tere sang...
Ho agar kabhi duniya se tera rukhsat,
Main bhi usi pal tere sath duniya chod aaun,
Bankar lakdi tere hi sath jalkar raakh ban jaun,
Bankar pani tere hi sang beh jaun...
Hai mera jeena mera marna tujhise,
Aye pagli!! Tu kya jane chahata hun kitna tujhe?...
Karta hun be imtehaan muhabbat tujhse,
Na chahiye mujhe daulat na koi shohrat,
Hai tuhi meri zindagi, Tujhise hai bandagi,
Mil jaye jo tera saath, Har ghum khushi se paar karunga,
Jo koi na kare itna tujhse pyaar karunga...
Aye dil...
Aye dil...Hai kyon itna nadaan,
Dikhta hai jo bhi khubsurat anjaan,
Hota hai kyon uspar meharbaan-kadardaan,
Ghumta rehta hai uske ird-gird hoke gumnaam...
Dekh kisiko ek dam se ruk jata hai,
Lagta h ia nikal gayi hai meri jaan,
Lakh koshishein ki maine,
Pur tu hai ke kaha sunta nahin...
Hota hai ek pal mein bekaabu,
Apne kaabu mein rehta nahi,
Marta hai kyon kisi ki muskaan par?,
Yun kisi ki adaa par?...
Phir use hi dekhte hi rehta hai,
Use hi dekhne majbur kar deta hai,
Bahri kuch nahin, Andri khubsurti aham hai,
Kisiki khubsurti par yun na maro...
Dil se jaano aur pehchaano,
Phir jaakar apna humsafar maano...
Behta hai dard...
Behta hai dard banke aansu aankhon se,
Door hue jo yaar hamare rehkar bhi paas nigahon se,
Kyon ye faasle is darmiyaan,
Kaash hota koi aisa jo rota mere liye,
Jo yaad karta mujhe, Jo dil se chahta mujhe,
Agar di mein sacchi dosti ke liye jageh nahin,
Humse dosti nibhaane mein ruchi nahin,
To hamein bhi aisi dosti mein koi shauk nahin,
Aise beraham bekatar dost ke liye dil mein koi jageh nahin...
Mahati...
Jo dil ki har baat naye andaaz mein kehti,
Jiski har subah-shaam Khushi mein behti,
Narad ki veena samaan hai jiski meethi bol...
NavSantosh ki hai jo dil ki dhadkan,
Unki saans bankar jo har pal chalti,
Maan ki mamta mein chain paati,
Jiski rangeen duniya mein hain kayi aashayein umangein...
Sada apne maan-baap ki aankhon mein basti,
Bhagwan ka swarup bankar hardam sath rehti,
Apni harkaton aur shrarton se muskaan lati,
Hai vahi chulbuli natkhati nanhi si gudiya hamari Mahati...
Duniya ki har khushi ho tumhaare naam,
Khuda ka haath sada rahe tumhaare saath,
Phoolo Phalo, Kali bankar khilo, Jug jug jiyo,
Duniya ki saari shohrat aur kaamiyaabi paao...!
Har pal leti hai naam...
Banda ye de dega aakhir apni jaan tak, Bas jo mil jaaye ise aapki ijaazat !!
Aankhein...
Aankhein khudrat ke aham den hain,
Jinse hum har pal sundar jag dekhte hain,
Use apne dil mein basate hain,
Aur kayi sapne sajaate hain,
Ye vo noor hai jiske siwa sab kuch andhera hai,
Is amanat ko mehfooz rakho,
Inki roshni ke zariye apni zindagi ko roshan karo...
-----------------------
Khoob masti dhoom karo, Weekend ko bharpur kharch karo,
In haseen palon ko, Khushi se guzaaro,
In chand lamhon mein, Apne saare gham utaaro,
Ye hain॥zindagi ke vo anokhe pal,
Bankar reh jaayengi, Sunehri yaadein jeevan bhar,
Laayengi muskuraahat zindagi bhar, Aksar yaad aa kar...
Ek anjan rishta...
Use dosti kahun ya pyar main na janun,
Use ek pal dekhe bina na reh paun,
Usse mile bina mayus ho jaun, Chain na paun...
Ab khuda jane॥Is anjan rishte ka matlab,
Dil chahta hai usse izhaar karun,Par kya karun?,
Uske inkar se darta hun,Usse dur hone se darta hun...
Dost bankar rehna hi pasand hai,Bhale izhar kar,
Apne dil ki bat na batayi,Acche dost ki tarah,
Uske dil mein jagah to banayi,
Bas yehi tasalli aur khushi bankar baaki hai...
Wednesday, June 30, 2010
Dikhe koi aisa...
Dikhe koi aisa mujhe jise kabhi na dekha,
Sune aye koi jise kabhi na suna,
Ho jo khubsurti se bhi khubsurat,
Jiski aankhon mein mile mujhe raahat,
Pakad kar chalun main ungli jiski shahaadat,
Karta rahe dil har pal jiski ibaadat,
Ho jismein khub saari nihaayat,
Hai meri is tanhaai ko jiski zarurat,
Hai jiski vajeh se fakr ye khudrat,
Milne se jiske badh jayegi meri shaan-o-shauqat...
Na jaane dil par aaj...
Na jaane kyon meri rooh aaj, Meri rooh ghut ghut kar ro rahi hai,
Mere labon par muskan ko, Door kar rahi hai,
Dil ko mere aaj, Ek dam se bahut takleef ho rahi hai...
Doosron ko khushi dekar, Badle mein uski aas rakhna meri galti hai?,
The mere jo apne, Aaj ke din gair nazar aa rahe hain,
The mere jo sapne vo aaj toote nazar aa rahe,
The haunsle buland sada, Aaj kyon kadam dagmagaa rahe hain?...
Mera zammer mujhse sawaal kar raha hai,
Jo paana tha karna tha, Kya tu vahi kar raha hai?,
Aaj bhi na jaane kyon?, Manzil ki dehleej door dikh rahi hai,
Haunsle kaanch ke tukdon ki tarah bikhar gaye hain...
Aankhon se dard ke fawware nikal rahe hain,
Mere sapnon ke phool usmein doob gaye hain,
Ye thes na jaane aur kab tak asar karegi,
Lagta kaafi dinon tak iski asar rahegi...
Ya khuda! Aaj teri khudrat par hansi aa rahi hai,
Teri saari fitrat choor choor nazar aa rahi hai...
Na Cheli...
Neekai choochi, Nee rakakai vechi,
Edo-o-nadu tirigi vacchi nannu kalisi,
Mana premanu nijam chestavani,
Chinni aasato bratikunnanu,
Ide swasa ga jeevistun taanu kalakalam...
Kondapalli kundanapu bomma vo?॥, Jabilamma lo jabilli vo?,
O chiru parichayam to, Na madini dochi,
Nannu nee vadini chesina o cheli, Evaro nee ve varo?....
Zindagi ki daud...
Na jaane aa pahunche hain kis mod mein?,
Aa gaye Kis daur mein?, kis chor mein?..
Apnon ko apnon ki fikr nahin,
Khairiyat puchnana to chodo,
Unse baat karne ki fursat nahin,
Chand lamhe saath mein bitaa na sake...
Sadaa dhan-daulat ki pyaas hai,
Dil mein bas chupa ek ehsaas hai,
Na jaane kya ye talaash hai?,
Har koi apni hi dhun mein bindaas hai.
Ye daud na jaane kab rukegi?,
Ye pyaas na jaane kab bujhegi?,
Daud rukegi to jaanoge ke kuch nahin paya,
Jeet ka jashn bhi nahin mana paaoge...
Kyon ki apne to koi saath nahin rahenge,
Jo tumne apnon ko chodkar,
Unka dil tod diya,Un sab se du hokar,
Khud ko akela kar diya,
Paisa hi sab kuch nahin hai, Pyaar hi sab kuch hai...
Kyon hai aankhon mein nami, Dil mein khaamoshi,
Marte dam tak saath rahegi,
Dil mein bechaini, khuddari, beemaari....
Rehta hai har pal...
Rehta hai har pal tera intezaar,
Pal pal tujhse milne, Hota hai dil bekaraar,
Khokar khudko, Maine tujhe paaya hai,
Hokar teri khatir bechain, Khoya hai apna chain...
Khuda ki taraf se tera pyaar, Tohfa bankar aaya hai,
Tu hi khushi tu hi gham, Tu zindagi tu sab kuch hai,
Tere siva kuch nahin, Bin tere koi sach nahin,
Tu jo nahin; Meri koi subah, Koi raat nahin...
Tere bin...
Ye mera jeena mumkin nahin,In dhadkanon ka aur chalna mumkin nahin,
Tujhe milkar laga, Mujhe rab mila hai,
Tujhe paakar jaana, Ishq kitna hasin hai...
Karna chaha kayi baar tumse izhaar,
Darta tha kahin na karogi tum inkaar,
Basakar is pyaar ko dil mein jee raha hun,
Chupakar ise, Tumse har pal mil raha hun...
Na jane vo din kab aayega, Jab aisa tumse bhi hoga,
Mera ye karaar, Tum par asar karega,
Aur tum khud aakar kahogi, Mujhe tumse pyar ho gaya...
Purani dosti...
Chand dinon ki mulaaqat se hum par apni chaap chod gaye,
Apni hansi ki badaulat ek ehsaas chod gaya,
Aapse milkar jaana Khushi kya hoti hai,
Aapke sang hanskar jaana hansi kya hoti hai...
Aapke sange hanse lage...
Hamare saare gham door ho gaye, Saare dard choor ho gaye,
Hamein zindagi ki rahon mein kahin bhool na jana,
Jeevan ki is daud mein kahin chod na jana,
Is dosti ko yunhi barkaraar rakhna,Marte dam tak ise nibhaaye rakhna...
Dosti ka haath...
Dosti ka haath badhaakar, Jinhein dil se dost maante hain,
Na jaane kyon?..., Vo humse mukar jaate hain,
Ek muqtasar si mulaqat se, Hum par chaap chod jaate hain,
Bhala jeevan safar mein, Kyon saath chod jaate hain,
Beete lamhon ko yaad kar, Aankh mein aansun bhar aate hain,
Jaate jaate dard ka sailaab banaa jaate hain, Seeshe ki tarah dil tod kar chale jaate hain...
Friday, May 28, 2010
Behna meri dulhan bani hai...
Behna meri dulhan bani hai, Hathon mein mehendi rangi hai,
Honton par muskaan phul ban khili hai,
Ghunghat mein pari lag rahi hai,
Dil mein kayi khwaab kayi armaan jagaye dili-dilse khush hai,
Jo mila hai aaj use uska humsafar...
Thi hamari kal tak, Aaj parayi ban gayi,
Pal bhar mein jo kisi aur ki ho gayi,
Mehmaan ban zindagi bhar ke liye jaa rahi hai,
Deti thi muskaan har pal saath rehkar,
Aaj jaate jaate aansuon mein dubokar chali gayi...
Vo saare pal aaj aankhon mein, Aansu mandra rahe hain,
Dil mein dard bhar bhar kar, Mujhe khub rula rahe hain,
Tha jo ek bhai ka nata, Use maine bharpur nibhaaya,
Shaadi teri jo hum sabne dhum dham se कराया...
Jeeja mere...
Thama hai jo hath aaj, Use zindagi bhar pakde rehna,
Chuta hai jo sath aaj, Apni muhabbat se apnepan ka ehsaas dilana,
Jo koi na de sake, Aisa meri behna ko pyar dena,अ
ur duniya ki har khushi se use nawazna...
Behna meri...
Mujhe chod kabhi na jaana, Bandhan tod kahin na jaana,
Agle janm mein meri behna ban, Phir ghar mere aana...!
Jhilmil taaro mein...
Jhilmil taaro mein, ek taara ban kar nazar aati ho,
Subah ki pehli suraj ki kiran se, Roshni bankar chaati ho,
Raat ke khule aasmaan mein chand ban, Apni chandni barsaati ho,
Din ke ujaale mein dhup, shaan ke saaye mein badalon par lali bankar chaati ho,
Raaton ke anderon mein maujud, Jaaun jidhar vahan rehti ho,
Har pal apni hazri deti ho, Mere saamne apni peshi deti ho,
Mere saath rehne ka ehsaas deti ho, Mere jeene ki vajeh tumhi ho,
Mere zindagi ka maksad tumhi ho, Mere akelepan-adhurepan mein,
Mere dukh-sukh mein, Meri aasha ki bhasha mein,
Mere ibaadaton-mannaton mein, Har kahin tumhi ho,
Mere jeevan ka matlab, Mere aankhon mein, Nas-nas mein basi ho...
Hain hum wafa...
Hain hum wafa bewafa nahin, Dil mein mere,
Kabhi kisi ke liye koi gila nahin,
Hui hogi koi choti si bhul ya khata,
Magar maine kabhi koi gunah ki nahin...
Likhe maine kai khat, Magar ek ka bhi,
Tune dil se kabhi jawab diya nahin,
Apni dosti mein na jane kyon,
Tha jo maza ab vo hai aisa lagta nahin...
In sanson ka kya bharosa, Zindagi ka kab tak faasla,
Koi jaane na, Hain is pal ke liye zinda,
Dujhe pal kya ho koi jaane na,
Aise mein bhala hain kyon log, Ik duje se itne khafa...
Is tarah dost ko bhulakar, Apne beech dosti na mitaao,
Khamosh reh jawab na dekar, Mujhe yun na tadpao,
Har pal apni khairiyat chahne walon ko,
Gairon mein gin, Yun beech ki duri na badhaao...
Hai intezaar mujhe ab bhi jawaab ka,
Magar milega kab tera jawab, ye janun na,
Milne tak main zinda rahun ya na rahun,
Sach mein ye bhi to keh paun na?...
Aye khuda mujhe kyon...
Aye khuda mujhe kyon aisa banaya, Jitna bhi chahun apnon ko,
Jitna manaun apnon ko, Badle mein kyun mujhe koi nahin chaahta?,
Kabhi lagta hai dost hi sab kuch hain,
Phir kabhi lagta hai,Kya hai is dosti mein,
Kyon rota hai ye dil inke liye,Kyun hai ye dukh dard,
Lagta hai rahun akela to hi accha hai,Banakar dil ko patthar,
Dabakar nikalte dard ko,Rokkar behte aansuon ko,
Chupa kar is ghum ko,Aaj ye kasam khata hun,
Aur na kabhi kisi ko yun chahunga,
Unke liye yun bekaar mein apne ansu na bahaunga...
Zarurat kab kisiki...
Agar aaj apni madad se, Kisi kaa dard baant sako,
To kal ke din..
Khuda bhi..Aapki zarurat kisi na kisike zariye puri karega !!
O meri mashuka...
Kahan ho gayi ho gum, Ho kaham tum,
Nigahon se dur ho, khayalon se nahi,
Zamane se majbur, Dil se nahin....
Sun sako to sunlo, Cheekh is rooh ki,
Mehsus kar sako to karlo, Mere is jalte dil ki garmi ki,
Ho jo bhi, Tumhein apna bana unga,
Sare zamane ke samne, Tumse kiya vada nibhaunga,
Tumhein apni banaunga, Tumhein paakar rahunga...
Jab chinta ki zarurat...
Jab chinta ki zarurat hi nahi, Hai bewajeh pareshan,
Ise apnon mein apna dikhta nahi, Hai khud se khush par dusron se nahi,
Kahe jo bhi hai vo sach, Dusron ka kaha nahin,
Sunaaye kisse kayi, Banaye baatein vayi,
Dusron ka sunne ke tayaar hi nahin...
Khud jeeta hai banawti zindagi, Par lagti hai dusron ki,
Khud ki parwah nahi, Hai khud bekaabu,
Pana chahta hai dusron par apna kaabu,
Khud se to kabhi koi shikayat hi nahi,Dusron se rehti hain ye bhari padi...
Ginne lage sada dusron mein khamiyan,
Par khud mein nazar ati nahin ko kamiyan,
Aye khuda hai kyon aisa?॥Kyon banaya insaan ko aisa?...
Jise aaj tak koi samajh na paya, Jo khud ko jaan na paya,
Apne mein chupe khud ko jaan na paya, Jo khud ko sahi tarha se parakh na paya...!
Friday, April 30, 2010
Hua hai jo mera hashr...
Teri har subah har shaam, Mere naam ki ho,
Bhale bhaago kitni hi dur mujhse tum,
Sach se kaise bhala bhaag paaogi,
Dil se us daastan ko kaise mita paogi...
Dekar ye daag aaj mujhe, Tum bhala kya chain paogi,
Rehkar paraye ki bahon mein, Har pal mujhe hi paogi,
Duri se dur hue hain, Majburi se nahi,
Nigahon se dur bhale, Magar dil se nahi...
Jaao kitni hi dur mujhse, Main har duri paar karunga,
Apne beech ki duri ko mitakar, Har pal tumhaare paas rahunga,
Tumhaare us bichde hue aashiq ki yaad dilaunga,
Phir tumhein par se pyar ke liye pyar mein paunga...
Prem zanzeer mein baandh kar, Kahin dur apne sang le jaaunga,
Jo tumhein mujhse jaisa, Is janam mein kya,
Saaton janam mein bhi na mile, Aisa chahunga,
Har apni nigahon mein basakr, Uski roshni se sanwarunga...
Apni palkon mein chupaakr, Duniya se cheen loonga,
Rok sakko to roko, To sako to toklo,
Aur main ab tumse dur nahin rahunga,
Tumse dur is darmiyan ko sehan nahin karunga...
Tumhaari baton ko...
Hansi ke peeche sach ko padh na paya, Apne husn se aakarshit karkar,
Mere dil mein apna makaam banaakar, Mere khayalon ko chedkar,
Saari duniya ko chodkar, Din mein bhi har pal tumhari yadon mein sokar,
Tumhein aankhon mein basaakar, Palak band karne se kahin gum na ho jao,
Aisa sonch kar raaton ko jaagkar, Khud ko tumhaare ishq mein khokar,
Paagal deewane hokar, Maine apna sab kuch kurbaan kiya,
Apna sab kuch tumhaare naam kiya, Magar ye sab kuch bhulkar,
Dil se in yaadon ko na jane kaise mitaakar, Tumne aaj yun mere pyar ko thukraakar,
Mujhse dur hokr, Apna ye atoot bandhan todkar,
Mujh ko har tarah se churkar, Apni nigaahon se dur kar,
Magar khwabon mein har pal sath kar, Jeena haram kar rakha hai,
Jise bhi dekhun tumhi nazar aati ho, Har sapne mein mil jaati ho,
Jis tarah pyaar mein haath diya, Usi haath se zehar de diya hota,
Aaj tak main chain ki neend so gaya hota, Tumse dur ho gaya hota,
Is zillat bhari zindagi se mukt ho gaya hota...
Train Shuru hoti hai...
Kal raat chandni mein...
Laga ek lambe...
Samajh baitha tha main...Laga hoga aisa hee tujhe,
Phir kya hua jo is beech ek dam se koi baat nahin,
Mere paigam ka..
Koi jawab nahin, Ab sath rehkar bhi jo tum mere sath nahin !!
Dil mein dard bhara...
Nashe mein dhut hokar
Dil se koi cheekh nikli: Sonch ta tha ki hai chain akelapan mein,Ab bhugat apni us galti ko, Bhale kar lakh prashta taap,Iska koi faayda nahin, Jab nahin saath tere apne koi,Tere yun akele jeene ka koi matlab nahin, Hai jo khushi apnon ke saath rehne mein,Vo akele pan mein kahan, Ho khush ho ya dukhi,Sab ke saath chal, Sabko lekar chal,Bhale aaya hai akela jana hai akela,Tanhai mein yn kab tak ghtega, Ye vo shaitaan hai,Kaabta bankar chubh raha hai, Teer banke ghayal kar raha hai,Hai adhura pan bahut bura, Marne ko jee karta hai..
Monday, March 29, 2010
Aapki chitr-kala...
Ye aapka hunar vakyi kabil-e-tareef hai,
Kaarigari laajawab hai, aapke swabhaav ka aayina hai,
Ye ik amaanat hai jo khuda se tohfa bankar mila hai...
Inmein kirdaar aapka andaaz bayaan karte hain,
Hathon ki lakeerein ikhlaas zuban karti hain,
Aapke dil ki baatein izhaar karti hain,
Zehen mein chupe iraadon ko khul kar bolti hain...
Bhar kar inmein apne khayalon ke rang,
Nayi jaan se bhari apni pehchaan daali hai,
Nayi deepthi se bhari jyothi prajwalit hui hai,
Jitni bhi tareef ki jaaye kam hai...
Dehshat se bhare aaj ke is zamane mein,
Zindagi ki is bhaag daud mein,
Ik aise kalaakar se milkar behad khushi mili hai,
Aap ke chitron ko dekhar tasalli hasil hui hai...
Is kala ko yunhi jaari rakhiye,
Iske zariye aapka farmaan sun payenge,
Mann ke auzaaron se ise yunhi taraashiye,
Apni Kashish barkaraar rakhiye...
Har cheez mein kaamiyaabi naseeb ho,
Dekhe saare sapne haqeeqat hon,
Jis bhi manzil ki talaash mein ho,
Vo zaroor hasil ho..!
Kyon kismat?...
Jise bhi chaahun vo mujhse dur hoti hai,
Kyon dimaag itna bhari ban jaata hai,
Chaha jise use khokar, Dil patthar ban jaata hai...
Na kar sakun is halat ka kisise bayan,
Andar hi andar se, Ro raha hun,
Na chahkar bhi, Kyon jee raha hun?..,
Is ghum mein dubkar, Chur ho raha hun...
Kyon hoti hai itni takleef, Jab apna koi bichadta hai,
Agar hota mujhe pehle se iska andaaz,
Maine kisi ko is kadr, Na chaha hota,
Unke liye yun na khud ko, Khoya na hota...
Aur ek-a-ek duri se aaj phir yun na rota,
Aur ye kehta:
"Hai ye kaisa khudrat ka karishma,
Kaisi khuda ki likhi meri takdir,
Jise samajhne meri zindagi bhi choti pad rahi hai,
Jitna bhi chahun, Har chahne waali bichad rahi hai..."
Chand Naghme...
Hai swach pavitr, Hai bholi bhaali,
Sach much pyaari hai ye zindagi,
Har lamha bahrpur jiyo, Har subah ka khushi se swagar karo...!
-----------------
Chahta tha guzre basre har pal ye zindagi tere sang,
Dilbar to nahin, Pyar mein aashiq nahin bhale,
Paagal diwana banake choda, Tanha akela choda,
Yun shaayar baanke choda...!
-------------------
Apni aankh ka tara banakar, Sanson mein basaogi,
Jaun jidhar bhi, Yaadon mein saath chali aaogi,
Rukhsat ke baad bhi gar pahunchun jannat,
Uski dehleej par khadi, Mera intezaar karti nazar aaogi...Maa...!
Mera Bharat Mahaan...
Hum sab hain bhai bhai,
Bhale desh ko azadi mili hai,
Na jane dilon mein kyon ab bhi khot hai...
Jaat paat mein kya rakha hai,
Zaat sirf ek hi hai Khuda ki,
Insaan ko insaniat se pehchaano, uske dharm se nahin,
Sabhi insaan hain jinki apni ek pehchaan hai...
Mazhab ke naam par khud ko yun na baato,
Apnon ko naftrat se yun na kato,
Har taraf bamab lagaakar logon ko maut ke ghat na utaaro,
Jeete jee unke ghar waalon ko yun na maaro...
Bhale mazhab, khaan-paan, rehan-sehan, vesh-bhusa alag ho,
Magar sabki dhadkan to ek hai,
Ragon mein behta khoon to ek hai,
Sab ke suraj-chanda aur taare ek hain,
Khula aasmaan aur chalti hawa bhi ek hai...
Duniya mein mera hindustan ik aisa sthaan hai,
Jahaan sabhi mazhab ek saath hain,
Isliye to hamara bharat mahaan hai,
Duniya mein ek anokha prasthaan hai...
Har ek se pyaar karo, muskuraakar baat karo,
Zindagi ke safar ko khushi se tay karo,
Rukhsat aisi karo; log tumhaare karmon se tumhein yaad rakh sakein,
Tumhaare liye apni palkein bhigo sakein...
Vaise kabir ne sach hi kaha hai...
Moko kahan dhunde re bande,
Main to tere paas mein,
Na main mandir na main masjid,
Na kabe kailash mein...
Aapka haal janne..
Jawab nahin bhi aaya to hamein koi gila nahin,
Kyonki meri rooh mujhse keh rahi hai,
Aur hum ye jaante hain,
Ke aap jahan bhi hoge sahi salamt rahoge,
Har pal muskurate rahoge,
Apne ashiyane ki banai mein pal pal masruf rahoge,
Hamari khushaamdeed sada aapke saath hai,
Ek na ek din aapko kamiyabi zaroor hasil hogi,
Aapka ashiyan hamari duawon se sajega,
Aapki kamiyabi ka jashn gulab ke phulon mein bahega,
Bas yehi ik arzu baaki hai,
Aur yehi khushi bankar hamare dil mein ab bhi baaki hai...
Apnon ne ghum dekar..
Apni yaad mein dil par bojh bana rakha hai,
Dil ka alam kise bataayein,
Jise bataana chahein vahi hamse khafa hai...
Mujhe aur nahin jeena is duniya mein,
Ye iraada bana rakha hai,
Ab rehta hai har pal bas maut ka intezaar,
Tayyari se janaze mein kafan chupa rakha hai....
Aur mat todo is tute ko,
Kahin toot kar kanch ke sheeshon ki tarah bikhar na jaoon...!
Sunday, February 28, 2010
Dil mein mere...
Dil mein mere kabhi jhaank kar to dekho,
Tumhein ismein basa rakha hai,Meri tapti aankhon ko to dekho,
Tumse har pal meri nazar ne kya kaha hai,
Maine vo sare ishaare kiye,Har vo nazare kiye,
Apna sab kuch tumhare naam kiya,
Tumhein batane ka har ek zariya istemaal kiya,
Par har taraf sawal hi mila,Khain jawab nasib na hua,
Tumhara jawab na pakar pal pal mar raha hun,
Zinda lash bankar jal raha hun,
Isse nikalte dhunye se bhi asmaan mein tumhara naam likh raha hun,
Zara nazar utha kar to dekho,Sara asmaan tumhaare naam kar rakha hai...!
To phir auron ka kya...
Chalna hai zindagi bhar akele,
Lekar chalni hai apni mashaal tumhein,
Dekar khud ko haunsla aur bharosa,Tay karna hai ye faasla...
Karo jo karna hai amal dil se,
Peekar khushi aur gham jee se,
Karna hai samna har ek pal ka,
Bhadhte rehna hai ageke safar mein,To phir auron ka kya...
Rone lagoge jab tanhai mein,Aksar saaz-e-ghum mein,
Ponchne honge khud ke aansun,Na koi akar tumhaare aansun ponchega,
Aye the duniya mein akele,Jaoge ek din akele yahan se,
Taykar kar zindagi ka safar apna,
Koi na tumhaare saath aayega,To phir auron ka kya...
So jaoge ek din jab sada ke liye,Na jaan kar ashiyaan apna,
Bandhkar kafan mein, Uthayenge sajakr janaazae mein tumhein,
Tumhaare apne rote rahenge,Puri duniya dekhti rahegi,
Sab milkar dafna kar ayenge,Chodkar kabr mein tannha,To phir auron ka kya...
Dene honge khud tumhein sawalon ke jawab,
khayamat ke din jab ek din uthaye jaooge,
To dena hoga apne amal ka amaalnama,Na koi rahega tumhare khatir,
Sunkar apne dil ki baat,Thaam kar khud ka haath,
Rakh kar pane kaleje par hath,Chalte Chalo Chalte chalo, Aage badhte chalo,
Na kisiki suno, Na kisise daro,Jo karna hai karo, Khushi gham sab yahin bharo,
Maut aane se pehle aisi tayyari karlo,
Ke maut aaye to marne ka koi gham na ho,
Odhkar kafan ko aan mile,Aur dafnaane ke baad janaze ki shaan badhe...!
Chand Naghme...
Har sitam ka yahan sahna padta hai,Har gham ko chakhna padta hai,
Roothe hue apnon ko mana padta hai,Takleef ko dafan kar,
Khud ka haunsla bharna padta hai,Aksar dil se rote hue bhi,
Apnon ko hansaane ke liye,Labon se muskurana padta hai...
-----------------
Dub gaya tha ansuon mein khud ke, Maut se joojh raha tha,
Par achanak teri dosti ne ansuon ko dur kar,
Mujhe dard sehna aur muskurana sikha diya,
Tu kya jaane kya hai tera saath,
Sach much! Tere sath ne mujhe aaj jina sikha diya...
-----------------
Aise to kayi mile, jo raas aaye in nayon ko,
De gaye lamhe bhar ka chain, Dil ki chubhan ko,
Taalsah hai uski, jo bhakar ghayal kare mann ko,
Sath chal kar, pura kare mere is, jeevan safar ko...
------------------
Dil jiske liye tarse...
Dil jiske liye tarse unse ab tak mulaqat nahi hui hai,
Chain ki zindagi bhala aur kab tak jiyein,
Mere khoye hue josh umang ko jayage,
Is sote ko nachaye,Meri baaton ko sune,
Jhoota hi sahi kuch pal ke liye hi sahi,
Kanch ke is dil ko hifazat set thame,
Hum bhi mast khism ke hain,Koi hai jo ise thame,
Koi hai jo is dil ki baat ko jaane,
Mujhe samjhe, Mujhe chahe,
Mere saath khushi se apni zindagi guzaare,
Jugnu bankar ghoom rahe hain,
Har waqt use dhoondh rahe hain,
Par koi hai jo hamein raas aye,
Koi gai jo dil ke paas aakar mera chain ujaade,
Ghoomna chahte hain,Ghanton bhar baat karna chahte hain,
Hansna chaahte hain,Uske saath rona chaahte hain,
zindagi ke har saaz ko gaana chahte hain,Har pal use apne aankhon mein basana chahte hain...
Teri yaad ka paigam...
Teri yaad aayi aur na jane mujhe kya paigam de gayi,
Vo kashish na jane kya farmaan de gayi,
Na jane vo paigam kya tha, Usmein chupa farmaan kya tha,
Magar vo saare haseen pal taaza kar gayi,
Tumse bitaaye vo sunehre lahom ka mazaa de gayi,
Agar mera ishq sach hai,
To mera paigaam bhi tumhein zaroor milega,
Mera fariyad tumhein milega,
Dil mein jo aag idhar lagi hai,
Vo udhar bhi lagegi,Lakh koshishon ke baad bhi,
Tumse bujhaye na bujhegi,
Ye vo Chilman hai jismein hum bhlae khushi se jalkar raakh ho jaayenge,
Ye vo jaam hai jismein hum bhale dubkar mar jayenge,
Par lakh hasraton ke baad bhi is dil se tumhara naam na mita payenge....
Saturday, January 9, 2010
Sarvajna-Ramakrishna..
Hai kyon itna khudgarz tu?...
Hai kyon itna beraham?.., Itna besharam tu?..,
Hai kiski ye zameen, Kiska hai ye khula aasman,
Kiski hai ye kaaynat, Hai Kiski ye viraasat...
Kaun hai insab ka malik?.., Na janun main na jane tu,
Kya tera Kya mera, Kya apna Kya paraya,
Na kuch apna hai, Sab ek sapna hai,
Yaad rakh bas itni si baat, Karle ise zehen mein dafan,
Aya hai khali hath, Jana hai ek din khali hath...
Jo kiya jo bhara, Sab chodkar jana hai tujhe,
Aya hai jahan se, Hardam hoke vaheen ka,
Hai ye chand dinon ki maya, Chand lamhon ki haya,
Hoke bemagan ismein, Na kho apnon ko yun...
Na bant apnon mein, Na ban itna kattar yun,
Na baanto mere is jahan ko, Mere is makaam ko,
Jo hai jo nahi hai, Vo sab hai khuda ka,
Na tera na mera na Kisika, Sab kuch hai khuda ka,
Ye sara sansar hai bas ik usika, Hai haq ispe sirf usi ka....
Nahin maloom tha..
Lambe arse baad aapse phir yun mulaqat hogi,
Khuda ki taraf se tohfa bankar mile ho,
Gulshan mein gulab ki tarah khile ho...
Itne saal bhale humse na mile,
Par tumhari baatein yaadein bankar hamare saath thi,
Pal pal mujhse tumhara zikr karti thi,
Tumhari yaadein, muskan bankar mere labon par jhalakti thi...
Milkar tumse behad khushi mili hai,
Lagta hai aise jaise barson ki murad poori hui hai,
Khuda ke darbar mein hamari fariyad manzoor hui hai,
Itne arse baad bhale zamana badal gaya, Par na aap badle aapke vichaar...
Ab jo mile ho ye saath na chodna, Humse rooth kar dosti ka rishta todkar,
Kahin phir dur na chale jana, Zindagi mein is dost ko kabhi bhool na jana,
Aapki dosti amanat hai, jo din ba din, aeshwary bankar badhti rahegi,
Ye ik amuly virasat hai, jo noor bankar sada chamakti rahegi...
Is beech...
Gakar prem bhare ganon ko, Uthaye mujhe raton ko,
Le chale apne sang mujhe, kisi veeran duniya ko,
Na kabhi dekha maine use, Na suna hai zikr bolte kisi ko...
kya jano uski ada, Kya jano uski khubsurti ko,
Yun chede meri sazon ko, Phir thamkar mere hathon ko,
Bharkar meri bahon mein apni bahon ko,
Kheench kar mere balon ko, Chume mere gaalon ko...
Is tarah bharde apne pyaar ko, Yun cheene mere chain ko,
Baith kar sunaaye apni baaon ko, Phir nachaye apne sang vo,
Uske is ishq ki deewangi mein kho jaaun main khud ko,
Jab kholun apni palkon ko, Dikhe kahin na vo mujhko..
Aye khwabon ki pari!
Milkar kabhi din mein, Haqeeqt karde mere in sapnon ko,
Aye khuda mila do mujhe us pari ko, Kurban kardun apni ye zindagi jisko...
Tumhaari baaton ko...
Hansi ke peeche sach padh na paya, Sach much kuch kar na paya,
Apne husn se aakarshit kar, Mere dil mein apna makaam banaakar,
Mere khayalon ko chedkar, Apna deewana bana diya...
Din mein har pal tumhari yadon mein hokar, Paagal deewana hokar,
Aankhon mein basaakar, Palak band karne se kahin gum na ho jao,
Aisa sonch raaton ko jaagkar, Khud ko tumhaare ishq mein khokar,
Maine apna sab kuch kurbaan kiya, Aur tumhaare naam kiya...
Magar ye sab kuch bhulkar,
Dil se in yaadon ko na jane kaise mitaakar,
Tumne aaj yun mere pyar ko thukraakar,
Mujhe apni nigaahon se dur kar, Har tarah se chur kar diya...
Khwabon mein har pal sath kar, Jeena haram kar rakha hai,
Jise bhi dekhun tumhi nazar aati ho, Har sapne mein mil jaati ho,
Jis tarah pyaar mein haath diya, Usi haath se zehar de diya hota,
Aaj tak main chain ki neend so gaya hota, Tumse dur ho gaya hota,
Is zillat bhari zindagi se mukt ho gaya hota...
Chand Naghme...
Ibaadat mein uske maangte hain kayi duayein,
Aaj tumhaare liye! Meri ye khair ki dua rab kubul karde...
--------------
Agar hota aasaan mitana guzri hui aadon ko, To phir aaj ye ghum kyon,
Bhari hui is mehfil mein apnon ke beech rehkar bhi, Hai mera ye dil akela kyon...
--------------
Aye khuda jaanta main ye ke chaahta hai use bhaut,
Maine use yun chaha na hota, Uska yun duniya se rukhsat ke baad,
Mujhe har pal mar markar jeena na hota...
--------------
Hai rab har ghadi jiske saath, Uski hai sacchi takdir,
Vo chahe dil ki baat ho ya koi mannat, Bande ka dil rab padh leta hai,
Aur uski har aarzu poori karta hai...
Purnima ki raat ho...
Hum donon paas ho, Ek dusre ke saath ho,
Na koi hamare beech, Mere hath mein tumhara hath ho,
Bas tum aur main, Aur koi nahin apne darmiyan...
Khub sari batein karenge, Ghul mil jhoomenge naachenge,
Prem bhare gaane gayenge, Saare saaz gun gunaayenge,
Ishq ki barsaat mein bhigenge, Chanda se ek guzarish karenge,
Ke aisi purnima ki raat zindagi mein har roz leaaye...
Yunhi chandni se bhari taron ki barsaat barse,
Har pal ek dusre ke liye jikar, Har deewangi ki had paar karenge,
Tumhaare dil mein meri dhadkan, Aur mere dil mein tumhaari,
Duniya ki saari rasmon ko todenge, Preet mein dhut hokar,
Har reet bhulaayenge, Ek anokhi prem ki duniya basaayenge...
Aisi duniya jahan sirf pyar hi pyar ho, Aur kisi ko jagah na ho,
Na koi dukh na dard, Na kisi baat ki chinta na fikr,
Na koi bechaini na kehar, Har pal pyar ke zehar ko mil piyenge,
Mere labon par tumhaara naam,Aur tumhaare labon par sirf mera,
Maut bhi aaye to saath marenge, Tumhaari dhadkan ruke aur meri maut aaye...
Khamosh reh kar...
Chand palon mein apni dastaan suna gaye,
Apni teekhi nigahon se dar-e-deil bayan kar gaye,
Jate jate ghum mein dubokar chale gaye...
Hum bas saket hokar ankhon se sunte rahe,
Kuch keh na sake, Na kuch kar sake,
Meri majburi ne mujhe lachar kiya,
Usi ne mujhe yun giroh mein bandh diya...
Tumhaari us awaz mein chupe matlab ko janna sake,
Khamosh honton se hi sahi, Meri dil ki zubaan ne,
Rab se aapki khair ki duayein maangi,
Agar sun sako to suno, Dekh sako to peeche mud kar dekho,
Meri ankhon se nikalte ansun ye gawahi dete hain...
Ke ab bhi hum apki kitni kadr karte hain,
Tumhein pane ki kitni chah rakhte hain,
Bhale baat na kiya, Zara apni vo muskaan to deti jaao,
Apni us hansi se is rote ke ansun ponch jaao...
Varna main yahin pada rahunga, Tumhaare bin bhale mar jaunga,
Par is dard do dil mein bharkar jee nahin paunga...