Saturday, January 9, 2010

Hai kyon itna khudgarz tu?...

Hai kyon itna khudgarz tu?., kyon itna zaalim?..,
Hai kyon itna beraham?.., Itna besharam tu?..,
Hai kiski ye zameen, Kiska hai ye khula aasman,
Kiski hai ye kaaynat, Hai Kiski ye viraasat...

Kaun hai insab ka malik?.., Na janun main na jane tu,
Kya tera Kya mera, Kya apna Kya paraya,
Na kuch apna hai, Sab ek sapna hai,
Yaad rakh bas itni si baat, Karle ise zehen mein dafan,
Aya hai khali hath, Jana hai ek din khali hath...

Jo kiya jo bhara, Sab chodkar jana hai tujhe,
Aya hai jahan se, Hardam hoke vaheen ka,
Hai ye chand dinon ki maya, Chand lamhon ki haya,
Hoke bemagan ismein, Na kho apnon ko yun...

Na bant apnon mein, Na ban itna kattar yun,
Na baanto mere is jahan ko, Mere is makaam ko,
Jo hai jo nahi hai, Vo sab hai khuda ka,
Na tera na mera na Kisika, Sab kuch hai khuda ka,
Ye sara sansar hai bas ik usika, Hai haq ispe sirf usi ka....

No comments:

Post a Comment