Friday, December 31, 2010

Aye zindagi ke musafir...

Aye zindagi ke musafir, Ye tera makam nahin,
Is sansar ki nagri mein, Tere layak koi kaam nahin,
Kahin gum na jaana, In rishton mein bandh na jana,
Hai tera makaam aur koi, Yahan bewajeh fans na jaana,
Hai ye char dinon ki maya, Chand dinon ka khel...

Ek arsa guzar gaya hai, Tumhein rukhsat kiye hue,
Arsa beet gaya hai, Mujhe khushi se jiye hue,
Labon par vo til ki tikki, Ab bhi yaad hai,
Pyar ke khatir, Tera vo lut jana mujhe ab bhi yaad hai..

Chayi reh thi har pal, Bankar os meri zindagi mein,
Meri har khushi har dukh mein, Har acche bure mein,
Sath rehti thi mere, Bharti thi khub sara haunsala,
Mera ek sahara ek aashiyan, Mere jeevan ke har sapne mein...

Mera khwab tujhise tha, Meri zindagi tujhise thi,
Kehti thi kahin na jaun gi, Tumhein chod kar,
Yahan koi nahi, jo mujhe samajh sake,
Ek tumhi thi, jisne mujhe samjha jaana pehchana tha...

Kabhi kabhi lagta hai, Jaise tum har pal mere hi sath ho,
Aur bhala kyon jiyein is duniya mein, Jab tumhi nahin...

No comments:

Post a Comment