Na jaane dil par aaj, Kayi guzri baatein asar kar rahi hain,
Na jaane kyon meri rooh aaj, Meri rooh ghut ghut kar ro rahi hai,
Mere labon par muskan ko, Door kar rahi hai,
Dil ko mere aaj, Ek dam se bahut takleef ho rahi hai...
Doosron ko khushi dekar, Badle mein uski aas rakhna meri galti hai?,
The mere jo apne, Aaj ke din gair nazar aa rahe hain,
The mere jo sapne vo aaj toote nazar aa rahe,
The haunsle buland sada, Aaj kyon kadam dagmagaa rahe hain?...
Mera zammer mujhse sawaal kar raha hai,
Jo paana tha karna tha, Kya tu vahi kar raha hai?,
Aaj bhi na jaane kyon?, Manzil ki dehleej door dikh rahi hai,
Haunsle kaanch ke tukdon ki tarah bikhar gaye hain...
Aankhon se dard ke fawware nikal rahe hain,
Mere sapnon ke phool usmein doob gaye hain,
Ye thes na jaane aur kab tak asar karegi,
Lagta kaafi dinon tak iski asar rahegi...
Ya khuda! Aaj teri khudrat par hansi aa rahi hai,
Teri saari fitrat choor choor nazar aa rahi hai...
Wednesday, June 30, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment