Monday, August 30, 2010

Rehna tha ek dum se chup...

Rehna tha agar ek dum se chup,
Hona tha yun ek dum se gum,
To bhala kyun banayi dosti,
Hum se kyon nibhaai apni dosti,
Kyon sajai vo chand dinon ki kashti...

Agar galti se ho gayi ho humse,
Koi bhul, Koi khata ya koi nokhta,
Dil se gilon-shikvon ko bhulakar,
Fakr ko mitaakar, Gusse ko thamakar,
Zara dil-e-haal kar izhaar karo na...

Bhala ye to nahin kehte, Ke har ghum ko mitayenge,
Hai agar koi imtehaan ki ghadi, Koi musibat,
Koi sankat, Koi bura waqt, Ya kuch aur,
Bhala ilaaj to nahin, Parwar digar se ikhtiyar karenge,
Aapki rahmati, salamti aur kamiyabi ki dua karenge...

Hain hum bhi insaan, Koi khilona nahin,
Hain hosh-o-awaz main, Koi paagal diwaane nahin,
Hai mera bhi kanch samet dil, Koi patthar nahin,
Jo ek baar tutkar bikhar jaaye, To phir kabhi jude nahin...

Aaj ye kasam kha, Rub-a-ru hokar tumse kehte hain,
Ke hai hamare beech, Sirf dosti kuch aur nahin,
Dil mein hamare, Apki khatir koi buri sonch nahin
Itna kehne manane ke baad, Ab aur kya kahein?...,

Aap ki marzi, Ab hai aapki arzi,
Hai nahin gar dil mein ko dusri sonch,
Khamoshi ko mitakar, Hamari galti maafkar,
Is saza se mukt karao na, Ab to kuch kaho, kuch to batao na...

1 comment:

  1. Dis is dedicated 2 all my frnds who hav got busy in their lyf...Nt havin a moment or a minute 2 talk n 2 knw whrabouts...@ dis point of time, am really feelin bad as thr is hardly ny one who is in touch wit me aftr i
    left my cllge..Evry one is busy in thr own lyf...!!!

    ReplyDelete