Tuesday, November 30, 2010

Dekhun jidhar bhi...

Dekhun jidhar bhi tum hi nazar aati ho,
Jaaun jidhar vahan chali aati ho,
Parchai mein bhi tum hi rehti ho,
Ayine mein bhi tum hi te'har jati ho...

Chudiyon ki khanak aur payal ki jhanak,
Kanon mein, Ab bhi mere bajti rehti hai,
Kabhi tumhari awaz, Ek dam se aakar,
Soye mujhe, Jagaa chali jati hai...

Tumse kiye saari baton ko, Suna jati hai,
Un saare plaon ko, Haqeeqat sa bana jati hai,
Jab gaur karun chalti, In dhadkanon ko,
Vo bhi tumhaara naam lekar bajti rehti hain...

Zindagi ke is tanha safar mein,
Apnon ko gair kar dur bhaag raha hun,
Nazdikiyon ko duriyan bana raha hun,
Duniya se bachake nazrein jee raha hun...

Chupake dard-e-dil, Andheron mein jee raha hun,
Yahan bhi chain nahin hai, Meri tanhayi ko,
Aye zalim!! Andheron mein bhi roshni ban,
Mere sune pan ko dur kar chali jaati ho...

No comments:

Post a Comment