Tuesday, November 30, 2010

Shole jaise badan ko dekh...

Shole jaise badan ko dekh, Ek dam se jal utha hun,
Husn tera dekh, Khubsurti ko teri dekh,
Aaj phir se, Ek jeene ki chah liye,
Tujhe paane ki abru liye, Jaag utha hun...

Hont tere, Gulab ke kanwal se bhi hain komal,
Hai jism tera, Aab-e-zamzam se bhi paak,
Bhale chand mein hai daag, Par tujhe mein nahin,
Tujhe jaisi bharpur, Aur duniya mein kahin nahin...

Jiski chamak ke aage, Suraj bhi kuch nahi,
Dekh tujhe suraj bhi, Thanda pad jaata hai,
Thandi chanv ke age, Chandni bhi kuch nahi,
Ye be mausam barish, Dekh tujhe barasti hai...

Jiski khidmat ke liye, Ped raah mein rehte hain,
Bas guzarne se tere, Phul barasne lagte hain,
Ek bar chu lene, Chanv khudki tarasti hai,
Rom rom pee jane, Barish madhoshi mein barasti hai..

Hai kyon itni khubsurat, Itni dil-kash,
Na jane kismat mein meri, Tu pehle se thi,
Ya ek ittefaq, Jo bin kisi wajeh mil gayi,
Hai ye haqeeqat, Ya khwab main na janun...

Hai apna sacha ishq, Sirf yahi jaanun,
Bas tujhe har pal ke liye, Apna manun...

No comments:

Post a Comment