Friday, October 29, 2010

Apna guzra kal bhulakar...

Apna guzra kal bhulakar, Chand pal khil khilana chahta hun,
Apne mann ki baat, Kisise izhaar karna chahta hun,
Par dekhte hi dekhte, Zindagi ne ye kaun si,
Anokhi mod le li, Maine ye kaun si anjan rah pakad li...

Subah hote hi, Shuru hoti hai daud meri,
Pahunch kar office, Badhti hai dhadkanon ki tezi,
Har din koi na koi issue, Koi na koi task ya meeting,
Phir din bhar system se, Hoti hai baat meri...

Dil mein bhare hain, Kayi armaan kayi iraade,
Par in sab ko sunne ke liye, Mera apna koi nahin,
Jo sunti in sab ko, Khudrat ke khele ajeeb khel se,
Ab vo paas reh kar bhi, Haqeeqat mein mere sath nahin...

Kayi din beet gaye, Asman mein sham ki laali dekh kar,
Raat ki chandni mein, Chain se baith, Taaron ka deekdar kar,
Meri us chupi pari ko, Un taron mein dhund kar,
Aati hai hansi kabhi kabhi, Meri is zindagi par...

Yaad karta hun jab is wakfe ka, Aankh se ansuon tapakte hain,
Kahin dur gagan mein panchi bankar, Ud jaane ki chah jag uthi hai...

No comments:

Post a Comment