Lakh sambhalun dil ko, Par sambhalta nahin,
Roz subah uthkar, Tujhe dekhe bin,
Tere is deewane ko, Chain milta nahin...
Uth te hi jaati hai, Pehli nazar tujh par,
Suraj ki pehli kiran bankar, Har roz khidki mein ugti ho,
Apne un reshmi zulfon se, Roshni bhar deti ho...
Un kirnon mein labon ki lali, Dil ko cheer kar jaati hai,
Phir tujh par marne ke liye, Majbur kar jati hai,
Kyon hun tera deewana?.., Iska jawab de jati hai...
Bade hi zehmat se, Tumhein bharpur dekh pata hun,
Zara sambhalne se pehle hi, Khidki band ho jaati hai,
Tum bin viraan nazar aati hai...
Aye Nageena, Aye Dil nashin, Aye Gulmohar, Aye Sartaj,
Ho kaun tum?...
Ho jo bhi, Vakyi Khudrat ka karishma ho,
Jo meri har subah ko roshan kar jati ho...
Friday, October 29, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment