Tuesday, November 30, 2010

Ek aurat hi hai...

Ek aurat hi hai, Jo dukh dard samajh kar,
Maa ki mamata aur pyar de sakti hai,
Jo saare ghamon ko dil mein dabakar,
Labon se har pal muskura sakti hai...

Bharat jaise ik sunehre desh mein,
Jahan stri ko devta mana jata hai,
Jiske har avtaar ko puja jata hai,
Kuch darinde ispar zulm dha rahe hain...

Kuch ayyashi ke liye, Kuch pyar ke nam,
Kuch nashe mein dhut hokar, Kuch hosh khokar,
Chand uski lachari dekh, Khilona bana rahe hain,
Takleef bhar bhar kar, Use zaleel kar rahe hain...

Har kisi TV par, Har koi channel par,
Aaj bhi har akhbar, har koi khabar,
Ye gawahi deti hai ke, Aaj ke azad desh mein bhi,
Bharat ki naari, Dar dar ke jee rahi hai...

Aye zalimon..Darindon..Haiwanon, Aye shaitanon,
Ye mat bhulo ke, Jisne tumhein paida kiya,
Pal pos bada kiya, Jisne chalna bolna sikha kar,
Aaj jo bhi ho vo banaya, Tumhein is kabil banaya,
Ek nari hi hai, Sirf ek nari ki shakti hi hai...

Bhale uska samman aadar kar, Izzat na karo,
Par kabhi lachar na karo, Use kabhi zaleel na karo...

No comments:

Post a Comment