Nahin maloom tha ke bachpan ki dosti ye rang laayegi,
Lambe arse baad aapse phir yun mulaqat hogi,
Khuda ki taraf se tohfa bankar mile ho,
Gulshan mein gulab ki tarah khile ho...
Itne saal bhale humse na mile,
Par tumhari baatein yaadein bankar hamare saath thi,
Pal pal mujhse tumhara zikr karti thi,
Tumhari yaadein, muskan bankar mere labon par jhalakti thi...
Milkar tumse behad khushi mili hai,
Lagta hai aise jaise barson ki murad poori hui hai,
Khuda ke darbar mein hamari fariyad manzoor hui hai,
Itne arse baad bhale zamana badal gaya, Par na aap badle aapke vichaar...
Ab jo mile ho ye saath na chodna, Humse rooth kar dosti ka rishta todkar,
Kahin phir dur na chale jana, Zindagi mein is dost ko kabhi bhool na jana,
Aapki dosti amanat hai, jo din ba din, aeshwary bankar badhti rahegi,
Ye ik amuly virasat hai, jo noor bankar sada chamakti rahegi...
Saturday, January 9, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment