Friday, December 31, 2010

Ek aurat hi hai...

Ek aurat hi hai, Jo dukh dard samajh kar,
Maa ka pyar de sakti hai, Saare ghamon ko,
Dil mein dabakar, Labon se muskura sakti hai...

Bharat jaise desh mein, Jahan nari ko,
Devta samet mankar, Puja jata hai,
Un par chal rahe, Anyay atyachaar jankar,
Dil ek dam se, Mayus ho jata hai...

Kuch ayyashi ke liye, Kuch pyaar ke,
Naam par khilona banakar, Kuch lachari dekh,
Zaleel kar rahe hain, Takleef bhar rahe hain...

Har kisi TV channel par, Har akhbaar mein khabar bankar,
Ye gawahi deti hai, Ke aaj ke nari is azad desh mein,
Andhreon mein seham kar, Dar dar ke jee rahi hai...

Ye mat bhulo ke, Jisne tumhein paida kiya,
Pal pos kar bada kiya, Jisne chalna bolna sikhakar,
Aaj jo kuch bhi ho vo banaya, Is kabil banaya,
Ek nari hi hai, Us nari ki shakti hi hai...

No comments:

Post a Comment