Saturday, January 9, 2010

Tumhaari baaton ko...

Tumhaari baaton ko samajh na paya, Dhadkanon ko sun na paya,
Hansi ke peeche sach padh na paya, Sach much kuch kar na paya,
Apne husn se aakarshit kar, Mere dil mein apna makaam banaakar,
Mere khayalon ko chedkar, Apna deewana bana diya...

Din mein har pal tumhari yadon mein hokar, Paagal deewana hokar,
Aankhon mein basaakar, Palak band karne se kahin gum na ho jao,
Aisa sonch raaton ko jaagkar, Khud ko tumhaare ishq mein khokar,
Maine apna sab kuch kurbaan kiya, Aur tumhaare naam kiya...

Magar ye sab kuch bhulkar,
Dil se in yaadon ko na jane kaise mitaakar,
Tumne aaj yun mere pyar ko thukraakar,
Mujhe apni nigaahon se dur kar, Har tarah se chur kar diya...

Khwabon mein har pal sath kar, Jeena haram kar rakha hai,
Jise bhi dekhun tumhi nazar aati ho, Har sapne mein mil jaati ho,
Jis tarah pyaar mein haath diya, Usi haath se zehar de diya hota,
Aaj tak main chain ki neend so gaya hota, Tumse dur ho gaya hota,
Is zillat bhari zindagi se mukt ho gaya hota...

No comments:

Post a Comment