Friday, July 23, 2010

Bankar bindiya...

Bankar bindiya sajun tere maathe par,

Bankar ayina didarun teri Khubsurti ko,

Bankar laali khilun tere galon par,

Bankar muskaan jiyun tere labon par...


Bankar mehendi rangun tere hathon ko,

Bankar chudi bajte rahun dilakar apni yaad tujh ko,

Bankar chandan-pani lagun badan par,

Bankar vastr dhakun tere badan ko...


Bankar phul khilun tere balon mein,

Bankar itr mehakta rahun har pal,

Bankar kajal badhaun khubsurti aankhon ki,

Bankar pyara khilona katun har raat tere sang...


Ho agar kabhi duniya se tera rukhsat,

Main bhi usi pal tere sath duniya chod aaun,

Bankar lakdi tere hi sath jalkar raakh ban jaun,

Bankar pani tere hi sang beh jaun...


Hai mera jeena mera marna tujhise,

Aye pagli!! Tu kya jane chahata hun kitna tujhe?...


Karta hun be imtehaan muhabbat tujhse,

Na chahiye mujhe daulat na koi shohrat,

Hai tuhi meri zindagi, Tujhise hai bandagi,

Mil jaye jo tera saath, Har ghum khushi se paar karunga,

Jo koi na kare itna tujhse pyaar karunga...

No comments:

Post a Comment