Jeet na paya kuch bhi aaj tak,
Na ho paya mera koi ab tak,
Bhale mukaddar ho ya koi humsafar,
Kiye kayi jatan Kiye kayi magan
Magar banake chale gaye, Sab mujhe bemagan...
Karta tha har pal lakh hasratein,
Karne inhein pura, Mangata kayi mannatein,
Par na jane vo kaun si kami reh jati thi,
Jo phir mujhe nakamiyabi chakha ti thi,
Aur vahi chaanv har pal sar par mandrati thi...
Hota vahi jiska dar laga rehta tha,
Hota main hataash man se niraash,
Ek dam se sabr ka pahad jaise tut padta,
Banke aansu dard aankhon se hoke nikalata,
Yunhi tanhai mein aankh se aansu tapkata tha...
Ye khuda ki likhi meri taqdir thi,
Ya phir mujh par chadi koi anjaan bala,
Jo har dil ka irada pehle se sun leti thi,
Ise nakam karne mein koi kasar na chodti thi,
Mujhe nakaamyab karna, Apana maqsad banati thi...
Itna kuch hone ke baad, Itna haarne ke baad bhi,
Shuru hoti thi kaamiyabi ke liye phir nayi talash,
Ek nayi nek koshish, Phir ek nayi kashish,
Naya josh naya hosh, Nayi umanag se bhari tarang,
Phir le chalti thi sang apne kisi anjaan dagar...
Friday, December 31, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment