Sunday, December 13, 2009

Neela Neela...

Aaj jaise hi subah utha main, Tha sab kuch neela neela,
Maan ki saadi aur papa ke chai ki pyali ka rang neela,
Behan ki chudiyon ka, Ghar mein kutte ka belt neela,
Mara jab bhai ne gaal mpar tamacha, Pad gaya gal par rang neela...

Nikla baahr..
Security guard ka kameez neela, Telephone booth neela,
Busstop mein khadi ladki ki bindiya aur purse the neele,
Sadak par metroxpress aur patri par rail ka rang neela,
GHMC ke gadiyon ka aur Indrdhanush ke saat rangon mein hai ek rang neela...

SBI Canara SBH Reliance TATA Samsung FordIcon ke board neele,
shauk se pehante jeans,Ranger cycle, Luna, Passion ke rang neele,
vayusena ke jawanon ki wardi ka, Tirange jahande mein dharmchakra ka,
SierraAtlantic ke logo ka, Aaj saare sharks ke kapdon ka rang neela...

Saari duniya ka rang neela, Sach jhoot sabkuch neela,
Jo dikhta hai vo neela, jo nahin dikhta vo bhi neela,
Hai aasman neela, Behta swacch paani neela,
Meri is awaz ka, Likhte mere is kalam ka rang neela...

Dekhte hi dekhte ...

Dekhte hi dekhte na jane ye kaise ho gaya,

Maheene bhar ka arsa, Jaise ek pal mein guzar gaya,

Guzra hua haqeeqat ankhon mein sapna bankar reh gaya,

Waqt ka kanta ruk jaye abhi, Ye manzar tham jaye yahin...



Khela khuda naacha gaaya, Har kirdar ko bharpur nibhaya,

Lada jhagda hansa hansaya, Har saaz ko gun gunaaya,

Itna sab kuch na jane ek lamhe mein kaise kar guzaara,

Aur to aur kayi naye dost mile, Kayi gair apne bane...



Karta hun yaad jab is wakfe ka, Bhar aate hain aansu,

Humse ki gayi sharaarat-shikaayat, Vo gusaa vo jazba,

Jeet ke kareeb hone par dhadkanon ki badhti hui aahat,

Thodi si sharmaahat aur labon par dher saari muskuraaht...



Stallions Eagles Cheetahs, Khel mein vipakshi bhale,

Magar saare sierran hain, Hum sab bhartiya ek hain,

In mein apne kayi yaar, Kayi dil daar hain,

Ye sab dil ke acche aur sabse bhadkar nek insaan hain...



Chalo isi tarah sab milkar ek sath chalenge,

SierraAtlantic ko sunehra makaam banayenge...

Na jane kyon ...

Na jane kyon hum mile, Killers ke naam se jude,

Ab jo mile, chalo sab mil ek sath chalein,

Apne hunar ko azmayein, Sharks ko accha naam layein,

Bhale vo geet ho ya sangeet, Anatakshari ya koi natak ki kadi...


Carroms Chess Volleyball ya Basketball,

Khub baskets dalkar, kayi smashes markar,

Poker Quiz aur Dumbchrades mein dimag lagaakar,

Cricket mein khub balla jamaakar, Har khel ko jitne ki koshish karenge...


Jeet har to hoti rehti hai, Vaise inmein kya rakha hai,

Pehchaan banao jo lambe arse tak sab ke dil mein rahe,

Events bhale ho jaayein, Koi jeete koi haare,

Killers ke josh-o-junoon Ki charcha, Sabke labon par rahe,

Is team ka hissa banne ka hum sabko fakr rahe...


Jeet ki chingaari ko kayam rakho, Is pyaas ko barkarar rakho,

Hare bhi to khel mein, Jeete bhi to khel mein,

Magar dil se kabhi na harenge, Jeet ki mashal ko jalate rahenge,

Ise kabhi na bujhne denge, Kabhi na bujhne denge...

Simat kar ...

Simat kar kayi yaadein, Lekar kayi aashayein,
Badh chale hain, zindagi mein aage ki aur,
Jab karta hun thoda gaur,
Guzar gaye hain kayi daur,
Is beech chute hain kayi apne, Kayi azeez kayi anmol...


Nazdik hain na jane kyon, Dilon ke beech duri hai,
Waqt hai par na jane kyon, Har pal masruf hain,
Sab kuch hai na jane kyon, Khushi ke sab fakir hain,
Ab apne; apne na rahe, In ankhon mein vo haseen sapne na rahe...


Khokar chain, Har pal hokar bechain,
Har din kam kam kam, Na kabhi fursat na aaram,
Mile hain kuch pal khel kud ke,
Apna hunar azmane ke, Saahas dikhane ke...


Pechaan banane ke, Sharks ke liye naam kamane ke,
Jiyo hansi-khsuhi se jee bhar ke ye pal,
Bankar reh jayengi yaadein aane wale kal,
Laayenge muskurahat labon par aksar yaad aakar...

Waqt ka kanta ...

Waqt ka kanta kitni ratar se guzar jata hai,
Aaj kal aur kal parson ban jata hai,
Apna beeta hua kal aur bichde hue log,
Dil mein yaad aur dard ban reh jaate hain...


Guzra hue pal aur sagar ki lehrein,
Kabhi kisi ka intezaar nahin karti,
Unhein vapas nahin laya jaa sakta hai,
Magar beete hue lamhon ko yaadkar,
Unmein jiya ja sakta hai...


Is naye daur mein, Badalte logon ke vicharon mein,
Daudte hue waqt aur Badalte zamane mein,
Apnon ko khokar, Un sab se dur hokar,
Yaad se aankh mein ansun tapkaane ke bajaye...


Yaadon ki kitab kholkar, Un varkhon ka rukh kar,
Vo kirdaar nibhaakar, Us veshbhusha ko apnakar,
Un meethe suron ko ghulakar, Bhule bisre geet gaakar,
Dil mein unhein mehfuz rakha ja sakta hai,
In palon ko rangeen banaya ja sakate hai...

Goa ki bahaar ...

Goa ki bahaar campus mein laayenge,

Sarpe topi, gale mein phool maala dalke,

Thoda sharmaa aur thoda itraa-balkhaake,

Char pal ghulmil hansenge khil-khilaayenge...


Roz marra ki pareshaani chod,

Aur saari sharmaahat ko tod,

Themes ki khushi mein tairkar,

Chand pal raahat ke bitaayenge...


Pure josh ke saath hissa lekar,

Sharks ke khaate mein kayi points darj kar,

Vipakshiyon ko khoob Gearup Cheerup kar Tearup karenge...!

Sharks...Cheer Up, Gear Up, Tear them Up...

Log hamein! Sharks ke naam se jaante hain,

Killers se pehchaante hain,

Hamein khud ki aan hai,

Naam hi hamari shaan hai...



Sada jeet hi armaan hai,

Ispe hum meharbaan hain,


Cheer up, Gear up, Tear them up,


Hum sabki zubaan hai...



Hamse khel ke sabka nuksaan hai,


Fir bhi hum dilon mein laate muskaan hain,

Team ke liye hum hamesha qurbaan hain...!

Friday, November 27, 2009

Apnon ne ghum dekar...

Apnon ne ghum dekar khoob sata rakha hai,

Apni yaad mein dil par bojh bana rakha hai,

Dil ka alam kise bataayein,

Jise bataana chahein vahi hamse khafa hai...


Mujhe aur nahin jeena is duniya mein,

Ye iraada bana rakha hai,

Ab rehta hai har pal bas maut ka intezaar,

Tayyari se janaze mein kafan chupa rakha hai....


Bhale na mil sake hum...

Bhale na mil sake hum, Mikkar na hans sake hum,
Bhale saath nahin hum, Ab bhale aashiq nahin hum,
Par bhi tumhaar naam sunkar, Na jane kyon,
Thama ye dil phir dhadakta hai, Soye mere aankh jaag jaate hain...

Vo yaadon ki hawayein chalkar, Honton par muskuraahat laati hain,
Tumhaare khaatir bheege palkein, Chaahat mein tarsein baahein,
Tum bin chain kahan, Vo khushi vo hansi kahan,
Vo raftaar vo intezaar kahan, Vo bahar vo gulzar kahan...

Main kahan meri jaan kahan, Vo diwanapan vo apnapan kahan,
Na jane kye hue vo vade vo iraade, Vo baatein vo chandni raatein,
Tum bin main nahin mujh bin tum nahin,
Khaayi thi saath jeene marne ki kasmein, Tod kar duniya ki saari rasmein...

Jiye bhi to milkar mare bhi to milkar,
Ab kya hua un kasmon ka un palon ka,
Guzar rahi hai zindagi bas lehar ki tarah,
Jiska koi maksad na ho, jiski koi arzu na ho...

Teri yaad...

Teri yaad ayi aur na jane kya paigam de gayi,

Usmein kashish kya farman de gayi,

Magar vo sare haseen pal taaza kar gayi,

Tumse bitaye chand sunehre lamhon ka maza de gayi,

Yun roz mere khwabon mein akar needein churana gawara nahin,

Dur rehkar bhi har pal apni yaadon se, Mere paas rehna accha nahin,

Dil mein jo ishq ki aag idhar lagi hai, Vo udhar bhi lage gi,

Ye chaahat ki vo pyaas hai jo kisise bujhaaye na bujhegi,

Ismein hum bhale khushi se jalkar raakh ho jayein,

Magar lakh hasraton ke baad bhi is dil se tumhein mitana na payenge...

Dil jiske liye...

Dil jiske liye tarse unse ab tak mulaqat nahi hui hai,
Chain ki zindagi bhala aur kab tak jiyein,
Mere khoye hue josh-o-umang ko jayage,
Jhoota hi sahi kuch pal ke liye hi sahi...

Is sote ko nachaye, Meri baaton ko sune,
Kanch ke is dil ko hifazat se thame,
Hai kio aisa jo is dil ki baat ko jaane,
Hum bhi mast khism ke aashiq hain...

Mujhe samjhe, Mujhe chahe, Mujhe jaane,
Mere saath khushi se apni zindagi guzaare,
Koi aisa jo hamein raas aye,
Koi apna jo dil ke paas aakar mera chain ujaade...

Jugnu bankar ghoom rahe hain,
Har waqt use dhoondh rahe hain,
Uske sath ghoomna chahte hain,
Ghanton bhar baat karna chahte hain...

Hansna chahte hain, Uske sang rona chaahte hain,
Har rang ko chakhna chahte hain,
zindagi ke har saaz ko gaana chahte hain,
Har pal use apne aankhon mein basana chahte hain...

Chand Naghme...

Duniya mein laakhon premi hain,
Magar na karsaka koi is pyaar ko lafze bayaan,
Yadi sab saccha pyaar karna jaante hain,
Phir ulfate bayaan se kyon mukar jaate hain,
Kyon hai sabko apne pyaar par itni fikar,
Pyaar ko jeetna zindagi nahin hai,
Pyaar mein jeena zindagi hai,Pyaar ke liye jeena zindagi hai...

----------------

Dil ko badi takleef hoti hai,
Jab hum jo chahte hain vo cheez hamein nahin milti hai,
Dil ka dard aankh mein ansun banke nikalta hai,
Aur baat labon tak aakar ruk jati hai,
Na jane kyun aksar mere sath aisa hota hai,
Lakh hasraton ke baad bhi jo chaaha vo nahin milta hai...

Tauba Tauba...

Tauba tauba kya zamana aaga ya hai,

Fashion ke naam par naya farmana aaga ya hai,

Modern zindagi ke peeche dhut hokr,

Insaan khud ki pehchaan kho gaya hai,

Ped par jaise girgit ban gaya hai...


Ladke ladki mein koi fark na raha,

Ladkiyon ke baal kat rahe hain,

Hont bandaron jaise dikh rahe hain,

Ladko ke baal badh rahe hain,

Aur inke Moonch kat rahe hain...


Bade hi sharm ke saath kehna pad raha hai,

Ladkiyon ke kapde din ba din kam ho rahe hain,

Lagta hai naam ke waaste badan dhak rahe hain,

Ab ladke-ladki mein koi fark na raha,

Jo ladka pehne vo ladki bhi pehne,

Bas ek naam ke zariye fark raha...


Pyaar ke naam par parwaane chal rahe hain,

Bageechon mein Theatron mein na jaane,

Ladke ladkiyan ishq ke nashe mein dub kar,

Ajeebo-gareeb harkatein kar rahe hain,

Dekhne waalon ko sharmindaa kar rahe hain...


Vehas mein lut hokar, ek doosre se kareeb hokar,

Apni izzat se khilwaad kar rahe hain,

Jaanwaron ki tarha bartaav kar rahe hain,

Ye dekhar kuch shaitaan, MMS bana rahe hain,

Internet ke zariye, unhein bazar mein bech rahe hain...


Apne abru ki izzat karo, Insaanon ki kadr karo,

Maan behnon ki zarra to laaj rakho,

Zamane ke saath khud ko yun na badlo,

Apne vyavhaar aur vichaaron ko na badlo,

Sar fakr se uncha rahe, Naki kabhi jhuka rahe...

Kaisi hai ye zindagi

Apne saath bhi apne baad bhi,
Kahin dhoop kahin chaanv bankar, kabhi chalti hui kabhi bhaagti,
Kabhi prerna ka srot bankar kabhi jytoi ki Kisiki aahat mein kisiki saanson mein,
Sach much ankhai anjaani paheli hai ye zindagi...

Kabhi sahara bankar kabhi sahara dekar,
Kisiki imaandari to kisiki rishwat khori mein,
Kisiki zaroorat to kisiki majboori bankar, Har pal ko apne sath liye,
Har ek pal ka hisab liye,Nirantar aage badhaati rehti hai ye zindagi...

Kabhi muskuraati khilkhilaati hui,
Kabhi gham ke saaye mein dubi hui,
Kabhi nazdikiyan to kabhi badhti duriyan,
Kabhi daraarein to kabhi man mutaav,
Kayi anjaan rishton ke dhaage banaati hai ye zindagi...

Kisi ki awaz mein, Kisi ke sangeet mein,
kisi ke chitron mein, kisi ki ada mein,
Kisi ke kawitaaon mein, kisi ki gazlon mein,
Kisi ke gaane mein, kisi ke naach mein,
Har ek amal ke pehlu mein hai ye zindagi...

Kabhi maan ke god mein, Kabhi baap ki daant mein,
Unki hifaazati-salaamti aur parvarish mein sada rehkar,
Budhaape mein kandha dekar to kabhi sahara bankar,
Har ek karam ka yahin bhugtaan karati hui,
Hazaron karvate leti rehti hai ye zindagi...

Jise aaj tak na koi samajh paya na pehchaan paya,
Na koi padh paya na jiske baare mein koi bol paya,
Kabhi uljhan mein to kabhi suljhan mein,
Sadaa premiyon ki yaadon mein,
Par aaj tak jise na koi parakh paaya vahi hai zindagi...!

Wednesday, October 21, 2009

Mann Baanwra...

Mann baanwra na jaane kahan kahan ghuma raha hai,
Haseenaon ke bageeche mein yun bhatka raha hai,
Dikhe koi kali, Akhiyan mein bithake,
Kheench le chale uski aur, Meri nazar se use sajakar,
Uski mehak mein dubakar, Phir ishi nashe mein girakar,
Baandhne lage dil ki dor, Phir usi pal dikhe koi aur,
Kheench le chale uski bhi aur,
Na jaane kab tak yunhi phirayega mujhe har aur,
Bandhega har ek se is bhanwre ki dor, Jab karta hun thodi gaur,
Jaanta hun na mila hai abtak mujhe koi chor,
Bhar diya hai mere har taraf shor,
Aye mann baanwra mila do mujhe ik aisi khoobsoorat kali se,
Ons ka boond bankar saje rahoon saka jispe,
Usi ke liye Jioonga, usi ke liye maroonga...

Maahe Ramzaan...

Phir maahe ramzaan aaya hai,
Khuda se toha bankar aaya hai,
Apni rahmaton ko barsaane aaya hai,
Khuda ke aur kareeb le jaane aaya hai,
Har waqt uske ibaadat mein masroof rakhe aaya hai...

Subah se lekar shaam tak zikr karte rahe,
Apne aakhirat ki sada fikr karte rahe,
Uski puri tayyari karte rahe,
Har pal burai se darte rahe,
Aur teri farman ka amal karte rahe...

Meri galtiyon se mujhe maaf karde,
Beshumar nek bandon mein mujhe shamil karle,
Jab tak zinda rahunga roze rakhunga,
Use mein reh kar aur teri zikr mein,
Rooh kabz karna pasand karunga...

Roze rakhne ki ijazat farmai,
Bhook se parhez, Pyaas se parhez,
Acchi cheezon se parhez rakha,
Aur apni niyamaton se nawaze rakha,
Jis din main roza nahin, samjho meri jaan nahi...

Bure khayal, Bura dekhna,
Bura bolna, Bura karna,
Inse mehfooz rakha aur ibaadat mein masroof rakha,
Har tarah ki burai se pak ho gaye hain,
Teri zikr mein saare gunah maaf ho gaye hain...

Raham kar, karam kar,
Har bala humpe se dur kar,
Duaon ko kubul kar, Gunahon ko maaf kar,
Is ramzan maheene ki badaulat,
Saal bhar zikr karne ki taufeeq ata farma,
Is par chalkar zindagi guzarne ki taufeeq ata farma...

Chand Naghme...

Daulat kabhi kisiki amanat nahi hoti,
Shohrat kisiki mohtaaj nahi hoti,
karni padti hai har ek ko Shafaqqat,
Vaise muqaddar har ek ki pehle se banai nahi hoti...
---------------------
Muqaddar se masruf hokar apnon se anjan rehkar,
Chain se bhala kaise jiya jata hai,
Dil ko yun cheerkar bedardi ka zehar bharkar,
Berehme se kaise pal pal zinda rakhkar mara jata hai...
-----------------------
Tumse dosti ko hamari majburi na samjho,
Har pal tumhara khair chahne walo ko gairon mein na gino,
Hamein chahne wale bhi kayi hain duniya mein,
Yaari ko kayam rakhne ki koshish ko lachari to na samjho...
----------------------
Haseenayein to kayi hain duniya mein,
Par unsab mein vo baat nahin,
Vaise chandni to har raat aati hai,
Par chaudahvin rat ki chandni ki to baat hi nahi...

Ankahi Baatein...

Lafzon par kuch ankahi baatein hum sun sakte hain,
Aap ke dil ka haal bin bataye hum jaan sakte hain,
Usmein chupa ehsaas pehchaan sakte hain,
Bhale hum roz na milen, Baat na kar sakein,
Par Khayalon mein meri dhadkenein,
Roz tumse baatein kiya karti hain...

Meri Aahatein har pal tumhein yaad kiya karti hain,
Meri duaein tumhaare naam se suru hoti hain,
Aur phir usi se puri hoti hain,
Ye ek dil ka rishta hi hai,
Jisne hamein baandh rakha hai, Yun hamein saath rakha hai...

Dukhana hamein nahin aata...

Kisike dil ko dukhana hamein nahin aata,
Hamein to bas hansna aur hansana aata hai,
Dil khol kar char lafz baat karna ata hai,
Aapko hansane ki kash-ma-kash mein,
Agar kuch anjane mein keh diya,
Ya ankaha kuch bol diya,
Hamein tahe dil se maaf karna,
Aapki khushi hamari khushi hai,
Ab khushi se muskurao,
Taki hum bhi muskura sakein,
Chain ki saans le sakein...

Sabkuch Tu...

Anjaan hai teri ye viraasat,
Aur teri ye shakhshiyat,
Saat aasmaanon par hai teri hukumat,
Shaandaar hai teri ye khudrat,
Kar de har pal hum sabki hifaazat...

Chin gayi hai mujh se meri tarbiyat,
Nahin hai mujh mein inaayat,
Hai mujhe teri zaroorat,
Tu hi hai meri amaanat,
Na jaane kab aayegi qayaamat,
Kab hogi meri yahaan se rukhsat...

De de mujhe tu itni hidaayat,
Bhar de mujh mein itni nazaaqat,
Kar de mujh par aisa karaamat,
Ke karta rahoon har parl teri ibaadat,
Karta rahoon zindagi bhar teri hi kidmat...

Ikhlaas ki daulat se malaamal farma,
Khushu-khuzoo wali namaz ata farma,
Badon se izzat choton se muhabbat,
Sabse acha pesh aane ki taufeeq ata farma,
Tera dar tera khauf ata farma...

Teri kayinat vakyi shandar hai,
Tu hi saaton zameen aur aasmaan ka malik hai,
Tu hi khaalikh hai, Tu hi raahil hai,
Tu hi yaaseen hai, Tu hi Rahmaan hai,
Har naam tera har cheez mein tu hai...

Tujhse hi ye kayinat hai,
Tujhse hi sabkuch hai,
Tu jo hai to khushi aur dil ko aram hai,
Tu nahin phir kuch nahin,
In saanson ka chalna tumbin nahin,
Mera aur jeena mumkin nahin...

Kamiyabi ka Jashn...

Aapka haal janne hum ye paigaam bhej rahe hain,
Jawab nahin bhi aaya to hamein koi gila nahin,
Kyonki meri rooh mujhse keh rahi hai,
Aur hum ye jaante hai,
Ke aap jahan bhi hoge sahi salamt rahoge,
Har pal muskurate rahoge,
Apne ashiyane ki banai mein pal pal masruf rahoge,
Hamari khushaamdeed sada aapke saath hai,
Ek na ek din aapko kamiyabi zaroor hasil hogi,
Aapka ashiyan hamari duawon se sajega,
Aapki kamiyabi ka jashn gulab ke phulon mein bahega,
Bas yehi ik arzu baaki hai,
Aur yehi khushi bankar mere dil mein abhi baaki hai...

Wednesday, September 9, 2009

Bachpan ke vo kal...

Aapke sang bitaaye vo pal haseen the,

Bachpan ke vo kal sach much bade haseen the,

Suraj ke pehli kiran se lekar chanda ki chandni tak,

Aap ke saath rehkar hum khush hote the...


Na jaane waqt kitni raftaar se guzar jaata tha,

Ab aapke bin waqt hi nahin guzarta,

Mano ya na mano vo tehar sa gaya hai,

Baarish ke mausam mein badal ki tarah ruk sa gaya hai...


Itne arse baad tumse milkar behad khushi mili hai,

Khoyi hui roshni khil uthi hai,

Samajh baithe the ke kho baithe hain,

Hum tumhein zindagi ki raahon mein,

Ek taara apne chand ajeez taaron mein...


Par kuch der hi sahi, Badi muddat ke baad mile ho,

Gulshan mein gulab bankar khile ho,

Ab jo mile phir kahin gum na ho jaana,

Hamar dil tod kar kahin na jana...


Ab jo tuta to phir judne ke liye,

Usmein vo yaakeen baaki nahin,

Phir tumhein dhoonde ne ke liye,

Hamari aankhon mein vo aas baaki nahin...

Asha Mukammal hogi...

Aapki aasha vakyi puri hogi,
Ek na ek din kamiyabi zaroor hasil hogi,
Bas karo nek irada dil se,
Aur phir saccha amal us pe,
Upar wala har waqt hamein dekh raha hai,
Har pal hamare dil ki baat sun raha hai,
Uske darbar mein jab hamare arzi ki peshi ho,
Rab use har kism se kubul karega,
Hamari farman puri karega,
Kyon ki mera maan na hai,
Jo dua dil se maangi jaati hai,
Vo beshak mukammal hoti hai...

Chand Naghme...

Apnon ne itna dard diya,
Ke marham lagaate lagaate thak gaye,
Unki khaatir itna roya,
Ke aansuon ke saath saare dard beh gaye,
Ab agar rona bhi chahun to aansun baaki nahin,
Dil mein mere vo dard baaki nahin...
------------
Raat bhar bhatakte rahe dar-ba-dar,
Par kahin tumhara thikaana na mila,
Sote the chain se jiski yaadon ke sahare,
Aaj vo sahara to dur, Uska ik ishaara bhi na mila...
------------
Maut aisi aaye ke marne ka koi gham na ho,
Odhne par kafan ki aan badhe,
Dafnaane par mazaar ki shaan badhe...
------------
Hamari dua unke liye dawa kar gayi,
Ye hawa na jane kya paigam de gayi,
Unki yaad aayi aur aisa laga jaise,
Vo hamare paas aate aate anjaan bankar guzar gayi...

Aur nahin jeena...

Apnon ne ghum dekar khoob sata rakha hai,

Apni yaad mein dil par bojh bana rakha hai,

Dil ka alam kise bataayein,

Jise bataana chahein vahi hamse khafa hai...


Mujhe aur nahin jeena is duniya mein,

Ye iraada bana rakha hai,

Ab rehta hai har pal bas maut ka intezaar,

Tayyari se janaze mein kafan chupa rakha hai...

Mera Bharat Mahan...

Mere hanste khelte bharat ko yun na ujado,

Apne bure khayalon aur gande iradon se,

Yahan vahan bamb lagakar aur goli chalakar,

Mere bharat wasiyon ko maut ke ghat mat utaro,

Aur unke ghar walon ko zindagi bhar ke gham mein mat utaro,

Insan ho insaniyat se jiyo haiwaniyat se nahi...

Rukhsat aisi karo,

Ke log tumhein tumhare karmon se yaad rakh sakein,

Apne dil mein tumhein basa sakein,

Tumhari yad mein apni palkein bhigo sakein,

Rukhsat ke bad jab khuda ke ghar mein peshi hogi,

Bhale use apne karmon se khush na karsako,

Magar dusht karmon se dukhi to mat karo...

Mere Apne...

Jo the kal mere apne,
Aaj reh gaye bankar meri aankhon mein sapne,
Chand chale gaye khuda ke ghar basne,
Rehgaye bankar taare aasmaane hind mein...

Chand rooth gaye baaton aur aadaton se apne,
Chand poore karne chale sapne apne,
Dil mein aas lagaa ke baithe hain,
Ke vo sab phir milenge isi jeevan safar mein...

Par mere iraade lage hain ab kuch thakne,
Na jaane kab poore honge unse milne ke ye sapne,
Lage hain hum apne khayaalon ko ab likhne,
Taaki bhool na jaayein unhein is beechke safar mein...

YSR Rocked !!!

Sabke jigar ka tukda, Sabke jeevan ka mukhda,
Ek dam se toot gaya, Na jaane kahaan bikharkar kho gaya,
Aasman mein taara bankar, Itni door chala gaya,
Jahaan koi pahunch nahin sakta, Jise koi choo nahin sakta...

Aapne andhra mein, Pure congrees ki kaman sambhaali,
Badi muddat ke baad, Lakh koshishon ke baad,
Paada yatra ke zariye, Jageh jageh ghoom kar,
Apna paseena bahakar, Aapne babu ko gaddi se utaara,
Phir apne CM banne ke sapne ko sanwaara...

Lagaatar dusri baar, Daud jab badi hi mushkil thi,
Tab bhi himmat na haarkar, Sonia ko bharosa jataakar,
Kayi Kayi badi hanstiyon ko chunaav mein maat diya,
Apne hunar se, Un sabko ko shikast kiya,
Aur ye Saabit kar diya ke, Himmat hai to sab kuch hai...

Aam aadmi bankar, Logon mein rehkar,
Hardam harpal, Unke liye apna jeevan jeekar,
Unki baat samajh kar, Unki takleef sunkar,
Ehsaan ka zariya bankar, Kayiyon ki zindagi mein roshni bharkar,
Sabke dil mein apna aashiyaan bana baithe,
Aur ek din unhi ke liye apni jaan gawaan baithe...

Aapki Himmat, Nidarta, Zindadili, Hansi, Kabiliyat, Sonch,
Aapka Zameer, Josh, Jazaba, saadapan, Bholapan, Nek dil,
Sabko tahe dil se salaam karte hain,
Aap sabke dil mein chaagaye, Pehchaan bana gaye,
Jaate jaate, Apni muskuraahat se bhari chaap chod gaye...

Rajeev palle baata ke zariye, Har gaaun ghooma,
Indiramma illu dwara, Sab ko gharon mein basaaya,
Rendu rupayila biyyam dekar, Har bhooke ko khaana khilaaya,
Runa maafi karke, Gareebon aur lachaaron ko mukt kiya,
Pavala vaddi se, Kam pratishat mein karz diya...

Uchita karentu dekar, Kisaanon ko roshan kiya,
Rajeev arogya sree dwara kayiyon ko jeevan daan diya,
Bc scholarship; 5% reservation se, Vidyaarthiyon ko khush kiya,
Jalayagnam se andhrapradesh mein khushi ki lehar bahaai,
Jo kaha vo kiya, Aur jo kiya sach kiya...

Ab kaun gareeb logon ke aansun ponchkar, Unka dard baantega,
Kaun hai jo unhein samjhkar, Haunsle ka zariya banega,
Kaun unke saath rehkar, Apnepan ka ehsaas dega,
Kaun andhera hatakar, Unki zindagiyon mein noor bharega...

Bhaarat maan ne, Ek mahaan neta kho diya hai,
Khwaab mein bhi soncha na tha, Ke itni jaldi Khyaati paayenge,
Aur phir usi jashn mein guzar jaayenge,
Idupulapaya mein apna aashiyaan banakar,
Hamesha ke liye vahin jaakar bas gaye,
Sabka gham hatakar, Chain ki neend so gaye...


Isi tarah sabke dil mein jug jug jiyo hazaron saal,
Aap jaise acche aadmi aur neta ko hum dekh nahin payenge,
Sadaa labon par aapki hansi hum kabhi bhool nahin payenge,
Bhale kitne saal guzar jaayein, aap jaisa CM hum nahin payenge...

Monday, August 10, 2009

Vo dekh paati Kaash...

Aye Maa...

Aapke mulayam haathon mein plakar bada hua,

Aanchal aapka pakadkar chalna seekha,

Aap ko dekhkar jaana zindagi kya hoti hai,

Aapki parvarish mein jeena seekha hai,

Lori sunkar, aapki god mein sona seekha hai...


Hardam apni aankhon mein basaati hai,

Hamein khush dekhkar chain paati hai,

Chot hamein lagti hai par takleef aapko hoti hai,

Saans hum lete hain dhadkan aapki bajti hai,

Rote hum hain aur aansun aapke nikalte hain...


Mujhe chod kar kahin mat jaao,

Mamta ka rishta tod kar kabhi mat jaao,

Jo aap nahin phir kuch nahin,

Hum aap ke bina nahin reh payenge,

Is jang se bhari duniya mein nahin reh payenge,

Logon ka kaha sun nahin payenge...


Aap ko duniya se rukhsat bhi karna pade,

Hum pehle hum dum todna pasand karenge,

Aapki god mein rooh kabz karna pasand karenge,

Aap ka kiya ek zarra bhi vaapas na desakenge,

Aapki mamta ka karz na phed sakenge...


Bhale kitne hi janm guzar jaayein,

Har janam mein aap meri maa banna,

Aap ki god mein pal poskar bada karna,

Mera aayina, mera numaayina,

Mera astitva, meri pehchaan,

Mera aaj mera kal, Mera Sabkuch aap hi ho maa...


Agar is waqt bhi koi meri hifaazati-salaamti chaahtaa hai,

To vo duniya mein koi aur nahin sirf meri maa hai...

Chand dinon ki mulaqat..

Chand dinon ki mulaqat se hum par apni chaap chode gaya,
Apni ik hansi ki badaulat ek ehsaas chod gaye,
Aapse milkar jaana khushi kya hoti hai,
Aapke sang hanskar jaana hansi kya hoti hai,
Aapke sang hansne lage aur hamaare saare gham door ho gaye,
Aapki khushi mein hamare saare dard choor ho gaye,
Humein zindagi ki raahon mein kahin bhool na jaana,
Jeevan ki is daud kahin chod na jaana,
Is dosti ke rishte ko barkaraar rakhna,
Marte dam tak ise nibhaaye rakhna...

Savere ki Talash...

Hai mujhe jis savere ki talash na jane kab aayega,

Apne saath khushiyon ki saugaat kab laayega,

Vo raat na jane kab aayegi,

Apne thande saye mein pyas kab bujhayegi...


Aye zindagi tere gham ke saaye mein,

Na jaane humne kayi parl guzaar diye,

Teri gham ki syaahi se,

Hum aaj apna dard-e-dastan likh rahe hain...


Khushi ki aas mein na jane kahan kahan bhatakte rahe,

Uski talash mein har dar par khatakte rahe,

Tairna aata na tha, Par jeene ki aas mein,

Tere dard bhare dariya mein dubkar maut se khelte rahe...


Na koi sahara na kinara,Na jaan na pehchaan,

Hokar anjaan aur pareshaan,

Khushi to door ki baat uska saya bhi naseeb na hua,

Khaye itne thokar, Reh gaye khud ko khokar...


Aur jeene ki aas na jaane kab dafan ho gayi,

Zindagi ke ghum mein door ho gayi,

Ab to bas rukhsat ki aarzoo baaki hai,

Is duniya ko chodne ki chaah baki hai...

Nee Nestam...

Jeevita ee payanam lo malli ninnu ila kalustanani,

Mana chinnanati sneham ila chigurustundani,

Kalalo naina anukoledu,

Nammavu gani kalam maarina,

Nuvvu nee abhiprayalu assalu maara ledu,

Enadaina nee manasuni baadha petti unte kshamistaavani,

Nuvvu eppudu ilaane navvutu navvistu undalani,

Ilaane santoshanga nee jeevitam konasagalani,

Korukunna kalalanni nijam avvalani,

Aasalu asayalu neraveralani,

Manasphurti ga korukuntunnanu,

Mana sneham eppatiki ilane nilichi povalani aasistu...Nee Nestam...

Raahein Mushkil...

Rahein mushkil thi,

Tha kathin ye safar,

Andhera charon taraf ghira,

Aur anjaan ye dagar,

Na pahunchte is kagar par,

Dil mein agar na hota jigar,

Mushkilon se khela,

Kathinayion ko chooma,

Manzil ko paane ki chah liye,

Har taraf ghooma,

Aasan ho safar to saza kya hai,

Manzil ko pane ka maza kya hai...

Kabhi Kisike Hona Sake...

Zindagi mein hum kabhi kisi ke hona sake,

Jo karna chaaha vo karna sake,

Jinhe dil se chaaha vo hamaare hona sake,

Unke dil mein apna aashiyaan banaa na sake...


Apne dil ki baat izhaar na sake,

Jo Keh diya vo alfaaz na le sake,

Aapki Khamoshi jaan na sake,

Use pehchaan na sake...


Aap ko rootha dekh hum kaise sehan kar sake,

Aap bhale hamein maafna kar sake,

Magar aapki saaz-e-chuppi samajh na sake,

Ye doori aur seh na sake...


Bina guftgu kiye hum aur rehna sake,

Jo hua use bhoolkar in chand iraadon dwaara,

Aapke labon par agar muskaan laa sake,

To samjho hum chain ki saans le sake...


Bhale aapke liye jaan na de sake,

Par zindagi ke safar mein aapke saath chalto sake...

Thursday, July 9, 2009

Farmaaish...

Ugte hue suraj mein tujhe dekha hai,
Andheri raaton ke chiraagon mein tujhe dhoondha hai,
Meri raaton ke khwaabon mein tu aaya hai,
Apni maa ki god mein tujhe paaya hai,
Tere ehsaanon se bhari padi hai meri ye zindagi,
Teri khushoo-Khuzoo se saji hai ye zindagi,
Teri fitrat ka kehar mujh par sadaa rahe,
Tera Rehmo Karam isi tarah banaa rahe…

Jee rahe hain log yahaan apni jaddo jehad ki ladaai mein,
Badhe jaa rahe hain apne aashiyaane ki banaai mein,
Apnon ko apnon ki khairo khabar nahin yahaan,
Dilon mein dehshat, Aankhon mein veham yahaan,
Gunaahon ke bhanwandar mein kuch is tarah phanse,
Ke nikalna chahe phir bhi nikal na sake,
Na jaane kya paana hai, kya hai khona,
Ab aur kab tak in saanson ka chalna,
Chaar din jeena, phir ek din khuda ke ghar jaana…

Mazhab ke naam par katl ho rahe hain yahaan,
Na karsakte hain is dard-e-dastaan ko koi bayaan,
Jidhar dekho udhar bamb lagaaye jaa rahe hain,
Diwali ke pathaakon ki tarah jalaaye jaa rahe hain,
Chain ki zindagi bhala yahaan koi jeeta hai,
Apnon ko khokar ghut ghutkar marta hai…

Ab aur ye sab in aankhon se dekha nahin jaata,
Ab aur ye zulm, yahaan kisi se sahaa nahin jaata,
Agar ye sach hai ke teri banaai ye khudrat hai,
Phir ise bachaane mein hi teri fitrat hai,
Aye mere rab bas itni meharabaani karde,
Mazhab ke naam par jaan nikaalne waalon ko nast-e-naabood karde,
Dilon mein pyaar bhar kar inke beech doori kam karde,
Yahaan rahmaton ke falsafe khadaa kar de,

Likh rahaa hoon teri mehfil mein main apni ye gazal,
Chahtaa hoon ise sunkar hum sab par ho jaaye teri rahmaton ka fazal…!

Kya Dost Milaa...

Naaz Karta hoon, jo KHUDA se, Aap jaisa accha Dost milaa,

LAKH HASRATON ke baad bhi, jo kisiko NA Mila...

MANZIL ko Paane ka JAZBA, DIL mein Jagaa lena,

ZINDAGI ke kHWAABON ko, Apni AASHA ki Kirnon se Sajaa lena,

SITAARON ko choone ke Chaah, DIL mein sadaa rakhna,

Milegi Meri MANZIL mujhe, ye IRAADA Banaaye rakhna...

Is DOSTI ki dor ko, Kabhi TOOTNE-MAT Dena,

Zindagi ke aakhri DAM tak, ise PERFECT Rakhna,

Kat Jaaye KHUSHIYON mein, Zindagi ka ye KARWAN,

Ho Jaaye KHUDRAT ka RAHAM, tum par MEHARBAAN...

SALAAMAT rakhe tumhein har PAL mera KHUDA,

Hai usse meri yahi ILTEJAA,Kartaa hoon MAIN ye SACCHI dua...!

Kyon ye Sazaa?..

Farishte ki tarah aakar zindagi mein chagaye,
Apni kaifiyat ka jadoo ham par chalaa gaye,
Khushnuma fitrat se kayi khushiyan de gaye,
Badle mein hamare saare gham saath le gaye,
Kis bhool ki sazaa di humein..
Aakar hansaya phir khoob rulakar chale gaye !!

Meri Dua...

Apne donon haaton se aap ke liye dua kiya karte hain,

Apni saari khushiyan aapke naam kiya karte hain,

Aap jaise behtareen dost ko milaane ke liye khuda ka shukriya ada karte hain,

Aapke jazbe, kabiliyat, zameer aur usulon ko salaam karte hain,

Mil jaaye aap ko apni saari khushiyan har pal rab se yahi guftgu karte hain,

Sab se unchi hai aap se hamaari ye dosti,

Chalti rahe sadaa dosti ki hamaari kashti,

Aapse bichadne ka gham hamein bahut sataayega,

Maut ke dar se bhi zyaada rulaayega...!

Janmdin ka Ullaas...

Jeevan mein Subah to kayi aati hain,

Par Aaj ki jaisi koi Khaas nahin,

Saal ke teen sau painsat Dinon mein,

Janmdin jaisa Ullas nahin,

Hai Khuda se ek yahi Guzarish,

Poori karde vo tumhari har Sifarish,

Barsaaye aisi Khushiyon ki Baarish,

Bheeg kar jisme poori ho jaaye tumhaari har Khwaish,

Mukammal ho tumhaare saare Sapne,

Jo hain tumhaare Apne,

Khuda ka kehar tum par Nazaakat ho,

Aye Mere Dost!! Ye Saalgira tum ko Mubaarak ho....!

Aap ki Adaa...

Sadaa rakhte hain honton par phoonlon se bhari Muskuraahatein,

Barsaate hain labon se teeron ki tarah Baatein,

Hai inki apni Nihaayatein,

Fidaa hain kayi inpar jaankar inki Nazaakatein...

Hai kuch aisi inki Aadatein,

Natkhat se bhari hain inki Harkatein,

Buri kardi hai apni baaton se kayiyon ki Haalatein,

Jis par karte hain phir khud ki Shikaayatein....

Aage chalkar zindagi mein karna chaahte hain Ganeematein,

Jiske liye kar rahe khoob saari Kasratein,

Bahle le lo kitni hi Karvatein,

Magar choona kaamiyaabi ki saari Manzilein...

Padhte hain aap ke liye roz kayi Aayatein,

Jis se na aaye tum par kabhi koi Museebatein,

Aapko har amal mein mile Barkatein,

Kehti hain har pal meri Aahatein....

Ya khuda poori karde tumhaari saari Hasratein...

Bharde aapki zindagi mein hazaaron Fazeelatein,

Karte hain aap jinse Chaahatein,

Unse mukammal ho jaaye appki Mohabbatein...

Aap ka Janmdin Jo Hua...

Janaab aaj aapka janmdin jo hua,
Adhuri na rahe aap ki koi dua,
Poori ho aapki har iccha,
Saada labon par muskuraahat hai anokhi ada,
Hanste-Hansaate banaaye rakhna, ise isi tarha sadaa....

Aapke saath bitaaye vo sunehre lamhe na jaane kab guzar gaye,
Jo vaapas laut kar fir na aaye,
Reh jaayengi aap ki baatein yaadein hamare dilon mein sada,
Aur karti rahengi aane waale lamhon ko taaza,
Tal jaaye aap par se har koi haya....

Dil karta hai aapke sang hanse khilkhilaayein,
Khushi ke chaar pal guzaare,
Aur zindagi ke saare gham utaarein,
Magar mumkin nahin ye, hum jaante hain,
Jo aap nahin hain paas hamaare...

Bhale door ho tum nigaahon se,
Par dil ke kareeb ho iraadon se,
Dedo humein ik aisi sazaa,
Jisse bandha rahe ye dosti ka bandhan sadaa,
Aur ho na jaaye kabhi hum juda...

Umr ke saath hamaare dil mein aap ke liye pyaar badhtaa rahe,
Hamaari yaari ka karwan sadaa chaltaa rahe...