Sunday, December 13, 2009

Waqt ka kanta ...

Waqt ka kanta kitni ratar se guzar jata hai,
Aaj kal aur kal parson ban jata hai,
Apna beeta hua kal aur bichde hue log,
Dil mein yaad aur dard ban reh jaate hain...


Guzra hue pal aur sagar ki lehrein,
Kabhi kisi ka intezaar nahin karti,
Unhein vapas nahin laya jaa sakta hai,
Magar beete hue lamhon ko yaadkar,
Unmein jiya ja sakta hai...


Is naye daur mein, Badalte logon ke vicharon mein,
Daudte hue waqt aur Badalte zamane mein,
Apnon ko khokar, Un sab se dur hokar,
Yaad se aankh mein ansun tapkaane ke bajaye...


Yaadon ki kitab kholkar, Un varkhon ka rukh kar,
Vo kirdaar nibhaakar, Us veshbhusha ko apnakar,
Un meethe suron ko ghulakar, Bhule bisre geet gaakar,
Dil mein unhein mehfuz rakha ja sakta hai,
In palon ko rangeen banaya ja sakate hai...

No comments:

Post a Comment