Wednesday, October 21, 2009

Sabkuch Tu...

Anjaan hai teri ye viraasat,
Aur teri ye shakhshiyat,
Saat aasmaanon par hai teri hukumat,
Shaandaar hai teri ye khudrat,
Kar de har pal hum sabki hifaazat...

Chin gayi hai mujh se meri tarbiyat,
Nahin hai mujh mein inaayat,
Hai mujhe teri zaroorat,
Tu hi hai meri amaanat,
Na jaane kab aayegi qayaamat,
Kab hogi meri yahaan se rukhsat...

De de mujhe tu itni hidaayat,
Bhar de mujh mein itni nazaaqat,
Kar de mujh par aisa karaamat,
Ke karta rahoon har parl teri ibaadat,
Karta rahoon zindagi bhar teri hi kidmat...

Ikhlaas ki daulat se malaamal farma,
Khushu-khuzoo wali namaz ata farma,
Badon se izzat choton se muhabbat,
Sabse acha pesh aane ki taufeeq ata farma,
Tera dar tera khauf ata farma...

Teri kayinat vakyi shandar hai,
Tu hi saaton zameen aur aasmaan ka malik hai,
Tu hi khaalikh hai, Tu hi raahil hai,
Tu hi yaaseen hai, Tu hi Rahmaan hai,
Har naam tera har cheez mein tu hai...

Tujhse hi ye kayinat hai,
Tujhse hi sabkuch hai,
Tu jo hai to khushi aur dil ko aram hai,
Tu nahin phir kuch nahin,
In saanson ka chalna tumbin nahin,
Mera aur jeena mumkin nahin...

No comments:

Post a Comment