Wednesday, October 21, 2009

Maahe Ramzaan...

Phir maahe ramzaan aaya hai,
Khuda se toha bankar aaya hai,
Apni rahmaton ko barsaane aaya hai,
Khuda ke aur kareeb le jaane aaya hai,
Har waqt uske ibaadat mein masroof rakhe aaya hai...

Subah se lekar shaam tak zikr karte rahe,
Apne aakhirat ki sada fikr karte rahe,
Uski puri tayyari karte rahe,
Har pal burai se darte rahe,
Aur teri farman ka amal karte rahe...

Meri galtiyon se mujhe maaf karde,
Beshumar nek bandon mein mujhe shamil karle,
Jab tak zinda rahunga roze rakhunga,
Use mein reh kar aur teri zikr mein,
Rooh kabz karna pasand karunga...

Roze rakhne ki ijazat farmai,
Bhook se parhez, Pyaas se parhez,
Acchi cheezon se parhez rakha,
Aur apni niyamaton se nawaze rakha,
Jis din main roza nahin, samjho meri jaan nahi...

Bure khayal, Bura dekhna,
Bura bolna, Bura karna,
Inse mehfooz rakha aur ibaadat mein masroof rakha,
Har tarah ki burai se pak ho gaye hain,
Teri zikr mein saare gunah maaf ho gaye hain...

Raham kar, karam kar,
Har bala humpe se dur kar,
Duaon ko kubul kar, Gunahon ko maaf kar,
Is ramzan maheene ki badaulat,
Saal bhar zikr karne ki taufeeq ata farma,
Is par chalkar zindagi guzarne ki taufeeq ata farma...

No comments:

Post a Comment