Thursday, July 9, 2009

Farmaaish...

Ugte hue suraj mein tujhe dekha hai,
Andheri raaton ke chiraagon mein tujhe dhoondha hai,
Meri raaton ke khwaabon mein tu aaya hai,
Apni maa ki god mein tujhe paaya hai,
Tere ehsaanon se bhari padi hai meri ye zindagi,
Teri khushoo-Khuzoo se saji hai ye zindagi,
Teri fitrat ka kehar mujh par sadaa rahe,
Tera Rehmo Karam isi tarah banaa rahe…

Jee rahe hain log yahaan apni jaddo jehad ki ladaai mein,
Badhe jaa rahe hain apne aashiyaane ki banaai mein,
Apnon ko apnon ki khairo khabar nahin yahaan,
Dilon mein dehshat, Aankhon mein veham yahaan,
Gunaahon ke bhanwandar mein kuch is tarah phanse,
Ke nikalna chahe phir bhi nikal na sake,
Na jaane kya paana hai, kya hai khona,
Ab aur kab tak in saanson ka chalna,
Chaar din jeena, phir ek din khuda ke ghar jaana…

Mazhab ke naam par katl ho rahe hain yahaan,
Na karsakte hain is dard-e-dastaan ko koi bayaan,
Jidhar dekho udhar bamb lagaaye jaa rahe hain,
Diwali ke pathaakon ki tarah jalaaye jaa rahe hain,
Chain ki zindagi bhala yahaan koi jeeta hai,
Apnon ko khokar ghut ghutkar marta hai…

Ab aur ye sab in aankhon se dekha nahin jaata,
Ab aur ye zulm, yahaan kisi se sahaa nahin jaata,
Agar ye sach hai ke teri banaai ye khudrat hai,
Phir ise bachaane mein hi teri fitrat hai,
Aye mere rab bas itni meharabaani karde,
Mazhab ke naam par jaan nikaalne waalon ko nast-e-naabood karde,
Dilon mein pyaar bhar kar inke beech doori kam karde,
Yahaan rahmaton ke falsafe khadaa kar de,

Likh rahaa hoon teri mehfil mein main apni ye gazal,
Chahtaa hoon ise sunkar hum sab par ho jaaye teri rahmaton ka fazal…!

2 comments:

  1. Kya baat hai bhai ......... kya blog banaya, i think this is the best place to show ur creativity & talent.

    ReplyDelete
  2. i loved this one..suits delhi completely! 07.09.2011!

    ReplyDelete